And the polytheists assign to Allah from that which He created of crops and livestock a share and say, "This is for Allah ," by their claim, " and this is for our partners [associated with Him]." But what is for their "partners" does not reach Allah , while what is for Allah - this reaches their "partners." Evil is that which they rule.
Aur Allah Taalaa ney jo kheti aur mawashi peda kiye hain inn logon ney inn mein say kuch hissa Allah ka muqarrar kiya aur ba-zom khud kehtay hain kay yeh to Allah ka hai aur yeh humaray maboodon ka hai phir jo cheez inn kay maboodon ki hoti hai woh to Allah ki taraf nahi phonchti aur jo cheez Allah ki hoti hai woh inn kay maboodon ki taraf phonch jati hai kiya bura faisla woh kertay hain.
और अल्लाह ने जो खेती और चौपाये पैदा किए उसमें से उन्होंने अल्लाह का कुछ हिस्सा मुक़र्रर किया है, पस वे कहते हैं कि यह हिस्सा अल्लाह का है उनके गुमान के मुताबिक़ और यह हिस्सा हमारे शरीकों का है, फिर जो हिस्सा उनके शरीकों का होता है वह तो अल्लाह को नहीं पहुँचता और जो हिस्सा अल्लाह के लिए है वह उनके शरीकों को पहुँच जाता है, कैसा बुरा फ़ैसला है जो ये लोग करते हैं।
And likewise, to many of the polytheists their partners have made [to seem] pleasing the killing of their children in order to bring about their destruction and to cover them with confusion in their religion. And if Allah had willed, they would not have done so. So leave them and that which they invent.
Aur issi tarah boht say mushrikeen kay khayal mein unn kay maboodon ney unn ki aulad kay qatal kerney ko mustehsan bana rakha hai takay woh inn ko barbad keren aur takay inn kay deen ko inn per mushtaba ker den aur agar Allah ko manzoor hota to yeh aisa kaam na kertay to aap inn ko aur jo kuch ghalat baaten yeh bana rahey hain yun hi rehney dijiye.
और इस तरह बहुत-से मुशरिकों की नज़र में उनके शरीकों ने अपनी औलाद के क़त्ल को ख़ुशनुमा बना दिया; ताकि उनको बरबाद कर दें और उन पर उनके दीन को मुश्तबह बना दें, और अगर अल्लाह चाहता तो वे ऐसा न करते, पस उनको छोड़ दीजिए कि अपनी मन-घड़त बातों में लगे रहें।
And they say, "These animals and crops are forbidden; no one may eat from them except whom we will," by their claim. And there are those [camels] whose backs are forbidden [by them] and those upon which the name of Allah is not mentioned - [all of this] an invention of untruth about Him. He will punish them for what they were inventing.
Aur woh apney khayal per yeh bhi kehtay hain kay yeh kuch mawashi hain aue khet hain jin ka isteymaal her shaks ko jaeez nahi inn ko koi nahi kha sakta siwaye unn kay jin ko hum chahayen aur mawashi hain jin per sawari ya baar bardari haram ker di gaee aue kuch mawashi hain jin per yeh log Allah Taalaa ka naam nahi letay mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Abhi Allah Taalaa inn ko inn kay iftra ki saza diye deta hai.
और कहते हैं कि यह जानवर और खेती ममनूअ है उन्हें कोई नहीं खा सकता सिवाए उसके जिसको हम चाहें उनके अपने गुमान के मुताबिक़, और फ़लाँ चौपाये हैं कि उनकी पीठ (पर सवारी) हराम कर दी गई है और कुछ चौपाये हैं जिन पर वे अल्लाह का नाम नहीं लेते, यह सब उन्होंने अल्लाह पर झूठ बाँधा है, अल्लाह जल्द उनको इस झूठ बाँधने का बदला देगा।
And they say, "What is in the bellies of these animals is exclusively for our males and forbidden to our females. But if it is [born] dead, then all of them have shares therein." He will punish them for their description. Indeed, He is Wise and Knowing.
Aur woh kehtay hain kay jo cheez inn mawashi kay pet mein hai woh khalis humaray mardon kay liye hai aur humari aurton per haram hai. Aur agar woh murda hai to iss mein sab barabar hain abhi Allah inn ko inn ki ghalat biyani ki saza diye deta hai bila shuba woh hikmat wala hai aur woh bara ilm wala hai.
और कहते हैं कि फलाँ क़िस्म के जानवरों के पेट में जो है वह हमारे मर्दों के लिए ख़ास है और वह हमारी औरतों के लिए हराम है, और अगर वह मुर्दा हो तो उसमें सब शरीक हैं, अल्लाह जल्द उनको इस कहने की सज़ा देगा, बेशक अल्लाह हिकमत वाला, इल्म वाला है।
Those will have lost who killed their children in foolishness without knowledge and prohibited what Allah had provided for them, inventing untruth about Allah . They have gone astray and were not [rightly] guided.
Waqaee kharabi mein parr gaye woh log jinhon ney apni aulad ko mehaz barah-e-himaqat bila kiss sanad kay qatal ker dala aur jo cheez inn ko Allah ney khaney peeney ko di thin unn ko haram ker liya mehaz Allah per iftra bandhney kay tor per. Be-shak yeh log gumrahi mein parr gaye aur kabhi raah-e-raast per chalney walay nahi huye.
वे लोग घाटे में पड़ गए जिन्होंने अपनी औलाद को क़त्ल किया नादानी से बग़ैर किसी इल्म के और उन्होंने उस रिज़्क़ को हराम कर लिया जो अल्लाह ने उनको दिया था अल्लाह पर बोहतान बाँधते हुए, वे गुमराह हो गए और हिदायत पाने वाले न बने।