And whoever turns away from My remembrance - indeed, he will have a depressed life, and We will gather him on the Day of Resurrection blind."
Aur ( haan ) jo meri yaad say roo gardani keray ga uss ki zindagi tangi mein rahey gi aur hum ussay baroz qayamat andha ker kay uthayen gay.
और जिस किसी ने मेरी स्मृति से मुँह मोडा़ तो उस का जीवन संकीर्ण होगा और क़ियामत के दिन हम उसे अंधा उठाएँगे।"
He will say, "My Lord, why have you raised me blind while I was [once] seeing?"
Woh kahey ga kay elahee! Mujhay tu ney andha bana ker kiyon uthaya? Halankay mein to dekhta bhalta tha.
वह कहेगा, "ऐ मेरे रब! तूने मुझे अंधा क्यों उठाया, जबकि मैं आँखोंवाला था?"
[ Allah ] will say, "Thus did Our signs come to you, and you forgot them; and thus will you this Day be forgotten."
( jawab milay ga kay ) issi tarah hona chahye tha tu meri aaee hui aayaton ko bhool gaya to aaj tu bhi bhula diya jata hai.
वह कहेगा, "इसी प्रकार (तू संसार में अंधा रहा था) । तेरे पास मेरी आयतें आई थी, तो तूने उन्हें भूला दिया था। उसी प्रकार आज तुझे भुलाया जा रहा है।"
And thus do We recompense he who transgressed and did not believe in the signs of his Lord. And the punishment of the Hereafter is more severe and more enduring.
Hum aisa hi badla her uss shaks ko diya kertay hain jo hadd say guzar jaye aur apney rab ki aayaton per eman na laye aur be-shak aakhirat ka azab nihayat hi sakht aur baqi rehney wala hai.
इसी प्रकार हम उसे बदला देते हैं जो मर्यादा का उल्लंघन करे और अपने रब की आयतों पर ईमान न लाए। और आख़िरत की यातना तो अत्यन्त कठोर और अधिक स्थायी है
Then, has it not become clear to them how many generations We destroyed before them as they walk among their dwellings? Indeed in that are signs for those of intelligence.
Kiya inn ki rehbari iss baat ney bhi nahi ki kay hum ney inn say pehlay boht si bastiyan halak ker di hain jin kay rehney sehney ki jaga yeh chal phir rahey hain. Yaqeenan iss mein aqal mandon kay liye boht si nishaniyan hain.
फिर क्या उन को इससे भी मार्ग न मिला कि हम उन से पहले कितनी ही नस्लों को विनष्ट कर चुके हैं, जिनकी बस्तियों में वे चलते-फिरते हैं? निस्संदेह बुद्धिमानों के लिए इसमें बहुत-सी निशानियाँ हैं