Say, "O Allah , Owner of Sovereignty, You give sovereignty to whom You will and You take sovereignty away from whom You will. You honor whom You will and You humble whom You will. In Your hand is [all] good. Indeed, You are over all things competent.
Aap keh dijiye aey Allah ! Aey tamam jahaan kay maalik! Tu jissay chahaye badshahi dey aur jiss say chahaye saltanat cheen ley aur tu jissay chahaye izzat dey aur jissay chahaye zillat dey teray hi haath mein sab bhalaiyan hain be-shak tu her cheez per qadir hai.
(ऐ नबी) आप कहिए कि ऐ अल्लाह! आप सलतनत के मालिक हैं, आप जिसे चाहें सलतनत से नवाज़ें और जिससे चाहें सल्तनत छीन लें, और आप जिसे चाहें इज़्ज़त दें और जिसे चाहें ज़लील कर दें, आप ही के हाथ में हैं सब भलाई, बेशक आप हर चीज़ पर क़ादिर हैं।
Or have they a share of dominion? Then [if that were so], they would not give the people [even as much as] the speck on a date seed.
Kiya inn ka koi hissa saltanat mein hai? Agar aisa ho to phir yeh kissi ko aik khujoor ki guthli kay shigaaf kay barabar bhi kuch na den gay.
क्या अल्लाह की हुकूमत में उनका भी कुछ हिस्सा है? फिर (अगर ऐसा होता) तो ये लोगों को एक तिल के दाने के बराबर भी न दें।
My Lord, You have given me [something] of sovereignty and taught me of the interpretation of dreams. Creator of the heavens and earth, You are my protector in this world and in the Hereafter. Cause me to die a Muslim and join me with the righteous."
Aey meray perwerdigar! Tu ney mujhay mulk ata farmaya aur tu ney mujhay khuwab ki tabeer sikhlaee. Aey aasman-o-zamin kay peda kerney walay! Tu hi duniya aur aakhirat mein mera wali ( dost ) aur kaar saaz hai tu mujhay islam ki halat mein fot ker aur neko mein mila dey.
ऐ मेरे रब! आपने मुझको हुकूमत में से हिस्सा दिया और मुझको ख़्वाबों की ताबीर करना सिखाया, ऐ आसमानों और ज़मीन के पैदा करने वाले! आप ही मेरा काम बनाने वाले हैं दुनिया में भी और आख़िरत में भी मुझको फ़रमाँबरदारी की हालत में वफ़ात दीजिए और मुझको नेक बंदों में शामिल फ़रमाईए।
And say, "Praise to Allah , who has not taken a son and has had no partner in [His] dominion and has no [need of a] protector out of weakness; and glorify Him with [great] glorification."
Aur yeh keh dijiye kay tamam tareefen Allah hi kay liye hain jo na aulad rakhta hai na apni badshaat mein kissi ko shareek aur saajhi rakhta hai aur na woh kamzor hai kay ussay kissi himayati ki zaroorat ho aur tu uss ki poori poori baraee biyan kerta reh.
और कहो, "प्रशंसा अल्लाह के लिए है, जिस ने न तो अपना कोई बेटा बनाया और न बादशाही में उस का कोई सहभागी है और न ऐसा ही है कि वह दीन-हीन हो जिस के कारण बचाव के लिए उस का कोई सहायक मित्र हो।" और बड़ाई बयान करो उस की, पूर्ण बड़ाई
He to whom belongs the dominion of the heavens and the earth and who has not taken a son and has not had a partner in dominion and has created each thing and determined it with [precise] determination.
Ussi Allah ki saltanat hai aasmano aur zamin ki aur woh koi aulad nahi rakhta na uss ki saltanat mein koi uss ka sajhi hai aur her cheez ko uss ney peda ker kay aik munasib andaza thera diya hai.
वह जिस का राज्य है आकाशों और धरती पर, और उस ने न तो किसी को अपना बेटा बनाया और न राज्य में उस का कोई साझी है। उस ने हर चीज़ को पैदा किया; फिर उसे ठीक अन्दाजें पर रखा