To Him is your return all together. [It is] the promise of Allah [which is] truth. Indeed, He begins the [process of] creation and then repeats it that He may reward those who have believed and done righteous deeds, in justice. But those who disbelieved will have a drink of scalding water and a painful punishment for what they used to deny.
Tum sab ko Allah hi kay pass jana hai Allah ney sacha wada ker rakha hai. Be-shak wohi pehli baar bhi peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga takay aisay logon ko jo kay eman laye aur unhon ney nek kaam kiye insaf kay sath jaza dey aur jin logon ney kufur kiya unn kay wastay kholta hua pani peenay ko milay ga aur dard naak azab hoga unn kay kufur ki waja say.
उसी की तरफ़ तुम सबको लौट कर जाना है, यह अल्लाह का पक्का वादा है, बेशक वह पैदाइश की इब्तिदा करता है फिर वह दोबारा पैदा करेगा; ताकि जो लोग ईमान लाए और उन्होंने नेक काम किए उनको इंसाफ़ के साथ बदला दे, और जिन्होंने इनकार किया उनके इनकार के बदले उनके लिए खौलता हुआ पानी और दर्दनाक अज़ाब है।
And they swear by Allah their strongest oaths [that] Allah will not resurrect one who dies. But yes - [it is] a true promise [binding] upon Him, but most of the people do not know.
Woh log bari sakht sakht qasmen kha kha ker kehtay hain kay murdon ko Allah Taalaa zinda nahi keray ga. Kiyon nahi zaroor zinda keray ga yeh to uss ka bar haq lazmi wada hai leki aksar log jantay nahi.
और ये लोग अल्लाह की क़समें खाते हैं सख़्त क़समें कि जो शख़्स मर जाएगा अल्लाह उसको दोबारा नहीं उठाएगा, क्यों नहीं! यह उसके ऊपर एक पक्का वादा है लेकिन अकसर लोग नहीं जानते।
And [when] the true promise has approached; then suddenly the eyes of those who disbelieved will be staring [in horror, while they say], "O woe to us; we had been unmindful of this; rather, we were wrongdoers."
Aur sacha wada qareeb aa lagay ga uss waqt kafirion ki nigahen phati ki phati reh jayen gi kay haye afsos! Hum iss haal say ghafil thay bulkay fil-waqey hum qusoor waar thay.
और सच्चा वादा निकट आ लगेगा, तो क्या देखेंगे कि उन लोगों की आँखें फटी की फटी रह गई हैं, जिन्होंने इनकार किया था, "हाय, हमारा दुर्भाग्य! हम इस की ओर से असावधान रहे, बल्कि हम ही अत्याचारी थे।"
Wherein they abide eternally; [it is] the promise of Allah [which is] truth. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Jahan woh humesha rahen gay. Allah ka sacha wada hai woh boht bari izzat-o-ghalbay wala aur kamil hikmat wala hai.
जिनमें वे सदैव रहेंगे। यह अल्लाह का सच्चा वादा है और वह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
And when the believers saw the companies, they said, "This is what Allah and His Messenger had promised us, and Allah and His Messenger spoke the truth." And it increased them only in faith and acceptance.
Aur eman daron ney jab ( kuffar kay ) lashkaron ko dekha ( bay saakhta ) keh uthay! Kay enhin ka wada humen Allah Taalaa ney aur uss kay rasool ney diya tha aur Allah Taalaa aur uss kay rasool ney sach farmaya aur iss ( cheez ) ney unn kay eman mein aur shewa-e-faman bardari mein aur izafa ker diya.
और जब ईमान वालों ने सैन्य दलों को देखा तो वे पुकार उठे, "यह तो वही चीज़ है, जिस का अल्लाह और उस के रसूल ने हम से वादा किया था। और अल्लाह और उस के रसूल ने सच कहा था।" इस चीज़ ने उन के ईमान और आज्ञाकारिता ही को बढ़ाया
Allah - there is no deity except Him. He will surely assemble you for [account on] the Day of Resurrection, about which there is no doubt. And who is more truthful than Allah in statement.
Allah woh hai jiss kay siwa koi mabood ( bar haq ) nahi woh tum sab ko yaqeenan qayamat kay din jama keray ga jiss kay ( aaney ) mein koi shak nahi Allah Taalaa say ziyada sachi baat wala aur kaun hoga.
अल्लाह वह (माबूद) है जिसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह ज़रूर तुम सबको क़यामत के दिन जमा करेगा जिसके आने में कोई शुब्हा नहीं, और अल्लाह की बात से बढ़ कर सच्ची बात और किस की हो सकती है।
Those are the ones from whom We will accept the best of what they did and overlook their misdeeds, [their being] among the companions of Paradise. [That is] the promise of truth which they had been promised.
Yehi woh log hain jinn kay nek aemaal to hum qabool farma letay hain aur jinn kay bad aemaal say darguzar ker letay hain ( yeh ) jannati logon mein hain. Iss sachay waday kay mutabiq jo inn say kiya jata tha.
ऐसे ही लोग हैं जिनसे हम अच्छे कर्म, जो उन्होंने किए होंगे, स्वीकार कर लेगें और उन की बुराइयों को टाल जाएँगे। इस हाल में कि वे जन्नत वालों में होंगे, उस सच्चे वादे के अनुरूप जो उन से किया जाता रहा है
Indeed, Allah has purchased from the believers their lives and their properties [in exchange] for that they will have Paradise. They fight in the cause of Allah , so they kill and are killed. [It is] a true promise [binding] upon Him in the Torah and the Gospel and the Qur'an. And who is truer to his covenant than Allah ? So rejoice in your transaction which you have contracted. And it is that which is the great attainment.
Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai.
बेशक अल्लाह ने मोमिनों से उनकी जान और उनके माल को ख़रीद लिया है जन्नत के बदले, वे अल्लाह की राह में लड़ते हैं फिर मारते हैं और मारे जाते हैं, यह अल्लाह के ज़िम्मे एक सच्चा वादा है तौरात में और इंजील में और क़ुरआन में, और अल्लाह से बढ़कर अपने वादे को पूरा करने वाला कौन है, पस तुम ख़ुशियाँ मनाओ उस मामले पर जो तुमने अल्लाह से किया है, और यही सबसे बड़ी कामयाबी है।