And [mention] when your Lord declared that He would surely [continue to] send upon them until the Day of Resurrection those who would afflict them with the worst torment. Indeed, your Lord is swift in penalty; but indeed, He is Forgiving and Merciful.
Aur woh waqt yaad kerna chahaiye kay aap kay rab ney yeh baat batla di kay woh inn yahud per qayamat tak aisay shaks ko zaroor musallat kerta rahey ga jo inn ko sazay-e-shadeed ki takleef phonchata rahey ga bila shuba aap ka rab jaldi hi saza dey deta hai aur bila shuba woh waqaee bari maghfirat aur bari rehmat wala hai.
और जब आपके रब ने ऐलान कर दिया कि वे उन (यहूद) पर क़यामत के दिन तक ज़रूर ऐसे लोग भेजता रहेगा जो उनको निहायत बुरा अज़ाब देंगे, बेशक आप का रब जल्द सज़ा देने वाला है और बेशक वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And We divided them throughout the earth into nations. Of them some were righteous, and of them some were otherwise. And We tested them with good [times] and bad that perhaps they would return [to obedience].
Aur hum ney duniya mein inn ki mukhtalif jamaten ker den. Baaz inn mein nek thay aur baaz inn mein aur tarah thay aur hum inn ko khushaliyon aur bad haliyon say aazmatay rahey kay shayad baaz aajayen.
और हमने उनको गिरोह-गिरोह करके ज़मीन में फैला दिया, उनमें से कुछ नेक हैं और उनमें से कुछ उससे मुख़्तलिफ़, और हमने उनको आज़माया अच्छे हालात से और बुरे हालात से ताकि वे बाज़ आएं।
And there followed them successors who inherited the Scripture [while] taking the commodities of this lower life and saying, "It will be forgiven for us." And if an offer like it comes to them, they will [again] take it. Was not the covenant of the Scripture taken from them that they would not say about Allah except the truth, and they studied what was in it? And the home of the Hereafter is better for those who fear Allah , so will you not use reason?
Phir inn kay baad aisay log inn kay janasheen huye kay kitab ko inn say hasil kiya woh iss duniya-e-faani ka maal mataa ley letay hain aur kehtay hain kay humari zaroor maghfirat hojaye gi halankay agar inn kay pass wesa hi maal mataa aaney lagay to iss ko bhi ley len gay. Kiya inn say iss kitab kay iss mazmoon ka ehad nahi liya gaya kay Allah ki taraf ba-juz haq baat kay aur kissi baat ki nisbat na keren aur enhon ney iss kitab mein jo kuch tha uss ko parh liya aur aakhirat wala ghar unn logon kay liye behtar hai jo taqwa rakhtay hain phri kiya tum nahi samajhtay.
फिर उनके पीछे ना-अहल लोग आए जो किताब के वारिस बने, वे इसी दुनिया के सामान लेते हैं और कहते हैं कि हम यक़ीनन बख़्श दिए जाएंगे, और अगर ऐसा ही सामान उनके सामने फिर आए तो वे उसको ले लेंगे, क्या उनसे किताब में इसका अहद नहीं लिया गया है कि अल्लाह के नाम पर हक़ के सिवा कोई और बात न कहें, और उन्होंने पढ़ा है जो कुछ उसमें लिखा है, और आख़िरत का घर बेहतर है डरने वालों के लिए, क्या तुम समझते नहीं?
But those who hold fast to the Book and establish prayer - indeed, We will not allow to be lost the reward of the reformers.
Aur jo log kitab kay paband hain aur namaz ki pabandi kertay hain hum aisay logon ko jo apni islah keren sawab zaya na keren gay.
और जो लोग अल्लाह की किताब को मज़बूती से पकड़ते हैं और नमाज़ क़ायम करते हैं, बेशक हम ऐसे नेक काम करने वालों का अज्र ज़ाया नहीं करेंगे।
And [mention] when We raised the mountain above them as if it was a dark cloud and they were certain that it would fall upon them, [and Allah said], "Take what We have given you with determination and remember what is in it that you might fear Allah ."
Aur woh waqt bhi qabil-e-zikar hai jab hum ney pahar ko utha ker sayebaan ki tarah unn per moalliq ker diya aur inn ko yaqeen hogaya kay abb inn per gira aur kaha kay jo kitab hum ney tum ko di hai ussay mazbooti kay sath qabool kero aur yaad rakho jo ehkaam iss mein hain uss say tawaqqa hai kay tum mutaqqi bann jao.
और जब हमने पहाड़ को उनके ऊपर उठाया गोया कि वह सायबान है, और उन्होंने गुमान किया कि वह उन पर आ पड़ेगा, पकड़ो उस चीज़ को जो हमने तुमको दी है मज़बूती से, और याद रखो जो उसमें है ताकि तुम बचो।