Say, [O Muhammad], "O people, if you are in doubt as to my religion - then I do not worship those which you worship besides Allah ; but I worship Allah , who causes your death. And I have been commanded to be of the believers
Aap keh dijiye kay aey logo! Tum meray deen ki taraf say shak mein ho to mein inn maboodon ki ibadat nahi kerta jin ki tum Allah ko chor ker ibadat kertay ho lekin haan uss Allah ki ibadat kerta hun jo tumhari jaan qabz kerta hai. Aur mujh ko yeh hukum hua hai kay mein eman laney walon mein say hun.
कह दीजिए कि ऐ लोगो! अगर तुम मेरे दीन के मुतअल्लिक़ शक में हो तो मैं उनकी इबादत नहीं करता जिनकी इबादत तुम करते हो अल्लाह के सिवा; बल्कि मैं उस अल्लाह की इबादत करता हूँ जो तुमको वफ़ात देता है और मुझको हुक्म मिला है कि मैं ईमान वालों में से रहूँ।
And [commanded], 'Direct your face toward the religion, inclining to truth, and never be of those who associate others with Allah ;
Aur yeh kay apna rukh yaksoo hoker ( iss ) deen ki taraf ker lena aur kabhi mushrikon mein say na hona.
और यह कि अपना रुख़ यकसू होकर (उस) दीन की तरफ़ कर लेना, और कभी मुशरिकों में से न होना।
And do not invoke besides Allah that which neither benefits you nor harms you, for if you did, then indeed you would be of the wrongdoers.'"
Aur Allah ko chor ker aisi cheez ki ibadat mat kerna jo tujh ko na koi nafa phoncha sakay aur na koi zarrar phoncha sakay. Phir agar aisa kiya to tum iss halat mein zalimon mein say ho jao gay.
और अल्लाह के अलावा उनको न पुकारो जो तुमको न नफ़ा पहुँचा सकते हैं और न नुक़सान, फिर अगर तुम ऐसा करोगे तो यक़ीनन ज़ालिमों में से हो जाओगे।
And if Allah should touch you with adversity, there is no remover of it except Him; and if He intends for you good, then there is no repeller of His bounty. He causes it to reach whom He wills of His servants. And He is the Forgiving, the Merciful
Aur agar tum ko Allah koi takleef phonchaye to ba-juz uss kay aur koi uss ko door kerney wala nahi hai aur agar woh tum ko koi khair phonchana chahaye to uss kay fazal ka koi hataney wala nahi woh apna fazal apney bandon mein say jiss per chahaye nichawar kerdey aur woh bari maghfirat bari rehmat wala hai.
और अगर अल्लाह तुमको किसी तकलीफ़ में पकड़ ले तो उसके सिवा कोई नहीं जो उसको दूर कर सके, और अगर वे तुमको कोई भलाई पहुँचाना चाहे तो उसके फ़ज़्ल को कोई रोकने वाला नहीं, वह अपना फ़ज़्ल अपने बंदों में से जिसको चाहता है देता है, और वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Say, "O mankind, the truth has come to you from your Lord, so whoever is guided is only guided for [the benefit of] his soul, and whoever goes astray only goes astray [in violation] against it. And I am not over you a manager."
Aap keh dijiye kay aey logo! Tumharay pass haq tumharay rab ki taraf say phonch chuka hai iss liye jo shaks raah-e-raast per aajaye so woh apney wastay raah-e-raast per aaye ga aur jo shaks bey raah rahey ga uss ka bey raah hona ussi per paray ga aur mein tum per musallat nahi kiya gaya.
कह दीजिए कि ऐ लोगो! तुम्हारे रब की तरफ़ से तुम्हारे पास हक़ आ गया है, पस जो हिदायत क़बूल कर लेगा तो वह अपने ही लिए करेगा और जो भटकेगा तो उसका वबाल उसी पर आएगा, और मैं तुम्हारे ऊपर ज़िम्मेदार नहीं हूँ।
And follow what is revealed to you, [O Muhammad], and be patient until Allah will judge. And He is the best of judges.
Aur aap uss ki ittabaa kertay rahiye jo kuch aap kay pass wahee bheji jati hai aur sabar kijiye yahan tak kay Allah faisla ker dey aur woh sab faisla kerney walon mein acha hai.
और आप उसकी पैरवी करें जो आप पर वह्य की जाती है और सब्र कीजिए, यहाँ तक कि अल्लाह फ़ैसला कर दे और वह बेहतरीन फ़ैसला करने वाला है।