Who are certain that they will meet their Lord and that they will return to Him.
Jo jantay hain kay be-shak woh apney rab say mulaqat kerney walay aur yaqeenan woh ussi ki taraf lot ker janey walay hain.
जो गुमान रखते हैं कि उनको अपने रब से मिलना है और वे उसी की तरफ़ लौटने वाले हैं।
And among them are unlettered ones who do not know the Scripture except in wishful thinking, but they are only assuming.
Inn mein say baaz un parh aisay bhi hain kay jo kitab kay sirf zahiri alfaaz ko hi jantay hain aur sirf guman aur atkal hi per hain.
और उनमें कुछ लोग अनपढ़ हैं जो नहीं जानते किताब को मगर आरज़ूएँ, उनके पास ख़्याली दुनिया के सिवा और कुछ नहीं।
And when Saul went forth with the soldiers, he said, "Indeed, Allah will be testing you with a river. So whoever drinks from it is not of me, and whoever does not taste it is indeed of me, excepting one who takes [from it] in the hollow of his hand." But they drank from it, except a [very] few of them. Then when he had crossed it along with those who believed with him, they said, "There is no power for us today against Goliath and his soldiers." But those who were certain that they would meet Allah said, "How many a small company has overcome a large company by permission of Allah . And Allah is with the patient."
Jab ( hazrat ) taloot lashkaron ko ley ker niklay to kaha suno Allah Taalaa tumhen aik nehar say aazmaney wala hai jiss ney uss mein say pani pi liya woh mera nahi aur jo ussay na chakhay woh mera hai haan yeh aur baat hai kay apney haath say aik chillo bhar ley. Lekin siwaye chand kay baqi sab ney woh pani pi liya ( hazrat ) taloot momineen samet jab nehar say guzar gaye to woh kehney lagay aaj to hum mein taqat nahi kay jaloot aur uss kay lashkaron say laren. Lekin Allah Taalaa ki mulaqat ka yaqeen rakhney walon ney kaha basa oqat choti aur thori si jamaten bari aur boht si jamaton per Allah kay hukum say ghalba paa leti hain Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath hai.
फिर जब निकले तालूत फ़ौजों को लेकर तो उन्होंने कहाः अल्लाह तुमको एक नदी के ज़रिए आज़माने वाला है, पस जिसने उसका पानी पिया वह मेरा साथी नहीं रहेगा, और जिसने उसको न चखा वह मेरा साथी होगा, मगर यह कि कोई एक-आध चुल्लू भर ले अपने हाथ से, तो उन्होंने उसमें से ख़ूब पी लिया सिवाए थोड़े आदमियों के, फिर जब तालूत और जो उसके साथ ईमान पर क़ायम रहे थे दरिया पार कर चुके तो उन लोगों ने कहा कि आज हमको “जालूत” और उसकी फ़ौजों से लड़ने की ताक़त नहीं, जो लोग यह जानते थे कि वे अल्लाह से मिलने वाले हैं उन्होंने कहाः कितनी ही बार छोटी जमातें अल्लाह के हुक्म से बड़ी जमातों पर ग़ालिब आई हैं, और अल्लाह तो सब्र करने वालों के साथ है।
Then after distress, He sent down upon you security [in the form of] drowsiness, overcoming a faction of you, while another faction worried about themselves, thinking of Allah other than the truth - the thought of ignorance, saying, "Is there anything for us [to have done] in this matter?" Say, "Indeed, the matter belongs completely to Allah ." They conceal within themselves what they will not reveal to you. They say, "If there was anything we could have done in the matter, some of us would not have been killed right here." Say, "Even if you had been inside your houses, those decreed to be killed would have come out to their death beds." [It was] so that Allah might test what is in your breasts and purify what is in your hearts. And Allah is Knowing of that within the breasts.
Phir uss ney iss ghum kay baad tum per aman nazil farmaya aur tum mein say aik jamat ko aman ki neend aaney lagi. Haan kuch woh log bhi thay kay unhen apni janon ki pari hui thi woh Allah Taalaa kay sath na haq jahalat bhari bad gumani ker rahey thay aur kehtay thay kiya humen bhi kissi cheez ka ikhtiyar hai? Aap keh dijiye kay kaam kul ka kul Allah hi kay ikhtiyar mein hai yeh log apney dilon kay bhed aap ko nahi batatay kehtay hain kay agar humen kuch bhi ikhtiyar hota to yahan qatal na kiye jatay. Aap keh dijiye kay go tum apney gharon mein hotay phir bhi jin ki qismat mein qatal hona tha woh to maqtal ki taraf chal kharay hotay Allah Taalaa ko tumharay seenon ki andar ki cheez ka aazmana aur jo kuch tumharay dilon mein hai uss ko pak kerna tha aur Allah Taalaa seenon kay bhed say aagah hai.
फिर अल्लाह ने तुम्हारे ऊपर ग़म के बाद इत्मीनान उतारा यानी ऐसी ऊँघ कि उसका तुम में से एक जमात पर ग़लबा हो रहा था और एक जमात वह थी कि उसको अपनी जानों की फ़िक्र पड़ी हुई थी, वह अल्लाह के बारे में ख़िलाफ़े-हक़ीक़त ख़्यालात, जाहिलियत के ख़्यालात क़ायम कर रहे थे, वे कहते थेः क्या हमारा भी कुछ इख़्तियार है? आप कह दीजिए कि सारा मामला अल्लाह के इख़्तियार में है, वे अपने दिलों में ऐसी बात छुपाए हुए हैं जो तुम पर ज़ाहिर नहीं करते, वे कहते हैं कि अगर इस मामले में हमारा भी कुछ दख़ल होता तो हम यहाँ न मारे जाते, आप कह दीजिएः अगर तुम अपने घरों में होते तब भी जिनका क़त्ल होना लिखा जा चुका वे अपनी क़त्ल की जगहों की तरफ़ निकल पड़ते, यह इसलिए हुआ कि अल्लाह को आज़माना था जो कुछ तुम्हारे सीनों में है और निखारना था जो कुछ तुम्हारे दिलों में है, और अल्लाह जानता है सीनों में छुपी बातों को।
And they say, "There is not but our worldly life; we die and live, and nothing destroys us except time." And they have of that no knowledge; they are only assuming.
Kiya abb bhi tum naseehat nahi pakartay. Unhon ney kaha humari zindagi to sirf duniya ki zindagi hi hai. Hum martay aur jeetay hain aur humen sirf zamana hi maar dalta hai ( dar-asal ) unhen iss ka kuch ilm hi nahi. Yeh to sirf ( qayas aur ) atkal say hi kaam ley rahey hain.
वे कहते हैं, "वह तो बस हमारा सांसारिक जीवन ही है। हम मरते और जीते हैं। हमें तो बस काल (समय) ही विनष्ट करता है।" हालाँकि उन के पास इसका कोई ज्ञान नहीं। वे तो बस अटकलें ही दौड़ाते हैं