And do not be grieved, [O Muhammad], by those who hasten into disbelief. Indeed, they will never harm Allah at all. Allah intends that He should give them no share in the Hereafter, and for them is a great punishment.
Kufur mein aagay barhney walay log tumhen ghum naak naa keren yaqeen maano kay yeh Allah Taalaa ka kuch na bigar saken gay Allah Taalaa ka irada hai kay inn ka liye aakhirat ka koi hissa ata na keray aur inn kay liye bara azab hai.
और वे लोग तुम्हारे लिए ग़म का सबब न बनें जो इनकार करने में आगे बढ़ रहे हैं, वे अल्लाह को हरगिज़ कोई नुक़सान नहीं पहुँचा सकेंगे, अल्लाह चाहता है कि उनके लिए आख़िरत में कोई हिस्सा न रखे, और उनके लिए बड़ा अज़ाब है।
O Messenger, let them not grieve you who hasten into disbelief of those who say, "We believe" with their mouths, but their hearts believe not, and from among the Jews. [They are] avid listeners to falsehood, listening to another people who have not come to you. They distort words beyond their [proper] usages, saying "If you are given this, take it; but if you are not given it, then beware." But he for whom Allah intends fitnah - never will you possess [power to do] for him a thing against Allah . Those are the ones for whom Allah does not intend to purify their hearts. For them in this world is disgrace, and for them in the Hereafter is a great punishment.
Aey rasool! Aap inn logon kay peechay na kurhiye jo kufur mein sabqat ker rahey hain khuwa woh inn ( munfiqon ) mein say hon jo zabani to eman ka dawa kertay hain lekin haqeeqatan unn kay dil ba eman nahi aur yahundiyon mein say kuch log aisay hain jo ghalat baaten sunnay kay aadi hain aur inn logon kay jasoos hain jo abb tak aap kay pass nahi aaye woh kalmaat kay asli moqay ko chor ker enhen mutaghayyur ker diya kertay hain kehtay hain kay agar tum yehi hukum diye jao to qabool ker lena aur agar yeh hukum na diye jao to alag thalag rehna aur jiss ka kharab kerna Allah ko manzoor ho to aap uss kay liye khudaee hidayat mein kissi cheez kay mukhtaar nahi. Allah Taalaa ka irada inn kay dilon ko pak kerney ka nahi inn kay liye duniya mein bhi bari zillat aur ruswaee hai aur aakhirat mein bhi inn kay liye bari sakht saza hai.
ऐ (प्यारे) नबी! आपको वे लोग रंज में न डालें जो कुफ़्र की राह में बड़ी तेज़ी दिखा रहे हैं चाहे वह उन लोगों में से हों जो अपने मुँह से कहते हों कि हम ईमान लाए; हालाँकि उनके दिल ईमान नहीं लाए या उनमें से हों जो यहूदी हैं, झूठ के बड़े सुनने वाले, सुनने वाले दूसरे लोगों की ख़ातिर जो आपके पास नहीं आए, वे गुफ़्तगू को उसकी जगह से हटा देते हैं, वे लोगों से कहते हैं कि अगर तुमको यह हुक्म मिले तो क़बूल कर लेना और अगर यह हुक्म न मिले तो उससे बचकर रहना, और जिसको अल्लाह फ़ित्ने में डालना चाहे तो आप अल्लाह के मुक़ाबले में उसके मामले में कुछ नहीं कर सकते, यही वे लोग हैं कि अल्लाह ने नहीं चाहा कि उनके दिलों को पाक करे, उनके लिए दुनिया में रुसवाई है और आख़िरत में उनके लिए बड़ा अज़ाब है।
And if they break their oaths after their treaty and defame your religion, then fight the leaders of disbelief, for indeed, there are no oaths [sacred] to them; [fight them that] they might cease.
Agar yeh log ehad-o-paymaan kay baad bhi apni qasmon ko tor den aur tumharay deen mein taana zani keren to tum bhi unn sardaraan-e-kufur say bhir jao. Unn ki qasmen koi cheez nahi mumkin hai kay iss tarah woh baaz aajayen.
और अगर ये अपनी क़समों को तोड़ डालें अहद के बाद और तुम्हारे दीन में ऐब लगाएं तो कुफ़्र के इन सरदारों से लड़ो, बेशक उनकी क़समें कुछ नहीं; ताकि वे बाज़ आ जाएं।
Indeed, the postponing [of restriction within sacred months] is an increase in disbelief by which those who have disbelieved are led [further] astray. They make it lawful one year and unlawful another year to correspond to the number made unlawful by Allah and [thus] make lawful what Allah has made unlawful. Made pleasing to them is the evil of their deeds; and Allah does not guide the disbelieving people.
Meheenon ka aagey peechay ker dena kufur ki ziyadti hai iss say woh log gumrahi mein dalay jatay hain jo kafir hain. Aik saal to issay halal ker letay hain aur aik saal issi ko hurmat wala ker letay hain kay Allah ney jo hurmat rakhi hai uss kay shumar mein to moafiqat ker len phir ussay halal bana len jissay Allah ney haram kiya hai enhen inn kay buray kaam bhalay dikha diye gaye hain aur qom-e-kuffaar ki Allah rehnumaee nahi farmata.
महीनों को आगे-पीछे करना कुफ़्र में एक इज़ाफ़ा है उससे कुफ़्र करने वाले गुमराही में पड़ते हैं, वे किसी साल हराम महीने को हलाल कर लेते हैं और किसी साल उसको हराम कर देते हैं; ताकि अल्लाह के हराम किए हुए की गिनती पूरी करके उसके हराम किए हुए को हलाल कर लें, उनके बुरे आमाल उनके लिए ख़ुशनुमा बना दिए गए हैं, और अल्लाह इनकार करने वालों को रास्ता नहीं दिखाता।
They swear by Allah that they did not say [anything against the Prophet] while they had said the word of disbelief and disbelieved after their [pretense of] Islam and planned that which they were not to attain. And they were not resentful except [for the fact] that Allah and His Messenger had enriched them of His bounty. So if they repent, it is better for them; but if they turn away, Allah will punish them with a painful punishment in this world and the Hereafter. And there will not be for them on earth any protector or helper.
Yeh Allah ki qasmen kha ker kehtay hain kay enhon ney nahi kaha halankay yaqeenan kufur ka kalma inn ki zaban say nikal chuka aur yeh apney islam kay baad kafir hogaye hain aur enhon ney iss kaam ka qasad bhi kiya jo poora na ker sakay. Yeh sirf issi baat ka intiqam ley rahey hain kay enhen Allah ney apney fazal say aur uss kay rasool ney dolat mand ker diya agar yeh abb bhi toba ker len to yeh inn kay haq mein behtar hai aur agar mun moray rahen to Allah Taalaa enhen duniya-o-aakhirat mein dard naak azab dey ga aur zamin bhar mein inn ka koi himayati aur madadgar na khara hoga.
वे अल्लाह की क़सम खाते हैं कि उन्होंने नहीं कहा; हालाँकि उन्होंने कुफ़्र की बात कही और वे इस्लाम लाने के बाद काफ़िर हो गए और उन्होंने वह चाहा जो उन्हें हासिल न हो सका, और यह सिर्फ़ उसका बदला था कि उनको अल्लाह और उसके रसूल ने अपने फ़ज़्ल से ग़नी कर दिया, अगर वे तौबा करें तो यह उनके हक़ में बेहतर है और अगर वे मुँह फेर लें तो अल्लाह उनको दर्दनाक अज़ाब देगा दुनिया में भी और आख़िरत में भी, और ज़मीन में उनका न कोई हिमायती होगा और न मददगार।