And let not those who disbelieve ever think that [because] We extend their time [of enjoyment] it is better for them. We only extend it for them so that they may increase in sin, and for them is a humiliating punishment.
Kafir log humari di hui mohlat ko apney haq mein behtar na samjhen yeh mohlat to iss liye hai kay woh gunahon mein aur barh jayen inn hi kay liye zaleel kerney wala azab hai.
और जो लोग कुफ़्र कर रहे हैं यह ख़्याल न करें कि हम जो उनको मोहलत दे रहे हैं यह उनके हक़ में बेहतर है, हम तो बस इसलिए मोहलत दे रहे हैं कि वह जुर्म में और बढ़ जाएं, और उनके लिए ज़लील करने वाला अज़ाब है।
Indeed, Allah does not forgive association with Him, but He forgives what is less than that for whom He wills. And he who associates others with Allah has certainly fabricated a tremendous sin.
Yaqeenan Allah Taalaa apney sath sahreek kiye janey ko nahi bakshta aur iss kay siwa jissay chahaye baksh deta hai aur jo Allah Taalaa kay sath shareek muqarrar keray uss ney boht bara gunah aur bohtan bandha.
बेशक अल्लाह उसको नहीं बख़्शेगा कि उसके साथ शिर्क किया जाए, लेकिन इसके अलावा जो कुछ है उसको जिसके लिए चाहेगा बख़्श देगा, और जिसने अल्लाह के साथ शिर्क ठहराया उसने बड़ा ज़बरदस्त गुनाह किया।
Look how they invent about Allah untruth, and sufficient is that as a manifest sin.
Dekho yeh log Allah Taalaa per kiss tarah jhoot bandhtay hain aur yeh ( harkat ) sareeh gunah honey kay liye kafi hai.
ज़रा देखिए कि ये कैसे अल्लाह पर झूठ बाँध रहे हैं, और खुला गुनाह होने के लिए तो यही बात काफ़ी है।
And whoever commits a sin only earns it against himself. And Allah is ever Knowing and Wise.
Aur jo gunah kerta hai uss ka bojh ussi per hai aur Allah bakhoobi janney wala aur poori hikmat wala hai.
और जो शख़्स कोई गुनाह करता है तो वह अपने ही हक़ में (बुरा) करता है, और अल्लाह जानने वाला, हिकमत वाला है।
But whoever earns an offense or a sin and then blames it on an innocent [person] has taken upon himself a slander and manifest sin.
Aur jo shaks koi gunah ya khata ker kay kissi bey gunah kay zimmay thop dey uss ney boht bara bohtaan uthaya aur khula gunah kiya.
और जो शख़्स कोई ग़लती या गुनाह करे फिर उसकी तोहमत किसी बेगुनाह पर लगा दे तो उसने एक बड़ा बोहतान और खुला हुआ गुनाह अपने सर ले लिया।
But if it is found that those two were guilty of perjury, let two others stand in their place [who are] foremost [in claim] from those who have a lawful right. And let them swear by Allah , "Our testimony is truer than their testimony, and we have not transgressed. Indeed, we would then be of the wrongdoers."
Phir gar iss ki itlaa ho kay woh dono gawah kissi gunah kay murtakib huye hain to inn logon mein say jin kay muqablay mein gunah ka irtakaab hua tha woh do shaks jo sab mein qareeb tar hain jahan woh dono kharay huye thay yeh dono kharay hon phir dono Allah ki qasam khayen kay bil yaqeen humari yeh qasam inn dono ki uss qasam say ziyada raast hai aur hum ney zara tajawuz nahi kiya hum iss halat mein sakht zalim hongay.
फिर अगर पता चले कि उन दोनों ने कोई हक़-तलफ़ी की है तो उनकी जगह दूसरे दो शख़्स उन लोगों में से खड़े हों जिनका हक़ पिछले दो गवाहों ने मारना चाहा था, वे अल्लाह की क़सम खाएं कि हमारी गवाही उन दोनों की गवाही से ज़्यादा सच्ची है और हमने ज़्यादती नहीं की, अगर हम ऐसा करें तो हम ज़ालिमों में से होंगे।