And Allah has said, "Do not take for yourselves two deities. He is but one God, so fear only Me."
Allah Taalaa irshad farma chuka hai kay do mabood na banao. Mabood to sirf wohi akela hai pus tum sab mera hi darr khof rakho.
और अल्लाह ने फ़रमाया कि दो माबूद मत बनाओ, वह एक ही माबूद है तो मुझ ही से डरो।
That is from what your Lord has revealed to you, [O Muhammad], of wisdom. And, [O mankind], do not make [as equal] with Allah another deity, lest you be thrown into Hell, blamed and banished.
Yeh bhi munjmila uss wahee kay hai jo teri janib teray rab ney hikmat say utari hai tu Allah kay sath kissi aur ko mabood na banana kay malamat khorda aur raand-e-dargah hoker dozakh mein daal diya jaye.
ये वे बातें हैं जो आपके रब ने हिकमत में से आपकी तरफ़ वह्य की हैं, और (ऐ इंसान) अल्लाह के साथ किसी और को माबूद न बना वर्ना तुझे मलामत करके धक्के देकर दोज़ख़ में फेंक दिया जाएगा।
And of the people is he who disputes about Allah without knowledge and follows every rebellious devil.
Baaz log Allah kay baray mein batein banatay hain aur woh bhi bey ilmi kay sath aur her sirkash shetan ki pairwee kertay hain.
लोगों में कोई ऐसा भी है, जो ज्ञान के बिना अल्लाह के विषय में झगड़ता है और प्रत्येक सरकश शैतान का अनुसरण करता है
Allah has promised those who believe and do righteous deeds [that] for them there is forgiveness and great reward.
Allah Taalaa ka wada hai jo eman layen aur nek kaam keren unn kay liye wasee maghfirat aur boht bara ajar-o-sawab hai.
जो लोग ईमान लाए और उन्होंने नेक काम किए उनसे अल्लाह का वादा है कि उनके लिए बख़्शिश और बड़ा अज्र है।
Say, "Come, I will recite what your Lord has prohibited to you. [He commands] that you not associate anything with Him, and to parents, good treatment, and do not kill your children out of poverty; We will provide for you and them. And do not approach immoralities - what is apparent of them and what is concealed. And do not kill the soul which Allah has forbidden [to be killed] except by [legal] right. This has He instructed you that you may use reason."
Aap kahiye kay aao mein tum ko woh cheezen parh ker sunaon jin ( yani jin ki mukhalifat ) ko tumharay rab ney tum per haram farma diya hai woh yeh kay Allah kay sath kissi cheez ko shareek mat thehrao aur maa baap kay sath ehsan kero aur apni aulad ko aflaas kay sabab qatal mat kero. Hum tum ko aur unn ko rizk detay hain aur bey hayaee kay jitney tareeqay hain unn kay pass bhi mat jao khuwa woh aelaaniya hon khuwa posheeda aur jiss ka khoon kerna Allah Taalaa ney haram ker diya hai uss ko qatal mat kero haan magar haq kay sath inn ka tum ko takeedi hukum diya hai takay tum samjho.
आप कहिए कि आओ मैं सुनाऊँ वे चीज़ें जो तुम्हारे रब ने तुम पर हराम की हैं, यह कि तुम उसके साथ किसी चीज़ को शरीक न करो, और माँ-बाप के साथ नेक सलूक करो और अपनी औलाद को मुफ़्लिसी के डर से क़त्ल न करो, हम तुमको भी रोज़ी देते हैं और उनको भी, और बेहयाई के कामों के पास न जाओ चाहे वे खुलेआम हों या छुपे हुए, और जिस जान को अल्लाह ने हराम ठहराया उसको नाहक़ क़त्ल न करो, ये बातें हैं जिनकी अल्लाह ने तुम्हें हिदायत फ़रमाई है ताकि तुम अक़्ल से काम लो।
Say, "My Lord has only forbidden immoralities - what is apparent of them and what is concealed - and sin, and oppression without right, and that you associate with Allah that for which He has not sent down authority, and that you say about Allah that which you do not know."
Aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain aur her gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm kerney ko aur iss baat ko kay tum Allah kay sath kissi aisi cheez ko shareek thehrao jiss ki Allah ney koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko kay tum log Allah kay zimmay aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi.
कह दीजिए कि मेरे रब ने तो बस फ़हश बातों को हराम ठहराया है वे खुली हों या छुपी और गुनाह को और नाहक़ की ज़्यादती को और इस बात को कि तुम अल्लाह के साथ किसी को शरीक करो जिसकी उसने कोई दलील नहीं उतारी और यह कि तुम अल्लाह के ज़िम्मे ऐसी बात लगाओ जिसका तुम इल्म नहीं रखते।