Satan threatens you with poverty and orders you to immorality, while Allah promises you forgiveness from Him and bounty. And Allah is all-Encompassing and Knowing.
Shetan tumhen faqeeri say dhamkata hai aur bey hayaee ka hukum deta hai aur Allah Taalaa tum say apni bakshish aur fazal ka wada kerta hai Allah Taalaa wusat wala aur ilm wala hai.
शैतान तुमको मोहताजी से डराता है और बुरी बात की तलक़ीन करता है और अल्लाह तुमसे वादा करता है अपनी बख़्शिश का और फ़ज़्ल का, और अल्लाह वुसअत वाला है, जानने वाला है।
Repel, by [means of] what is best, [their] evil. We are most knowing of what they describe.
Buraee ko iss tareeqay say door keren jo sirasir bhalaee wala ho jo kuch yeh biyan kertay hain hum ba-khoobi waqif hain.
बुराई को उस ढंग से दूर करो, जो सबसे उत्तम हो। हम भली-भाँति जानते हैं जो कुछ बातें वे बनाते हैं
He has sent down upon you, [O Muhammad], the Book in truth, confirming what was before it. And He revealed the Torah and the Gospel.
Jiss ney aap per haq kay sath iss kitab ko nazil farmaya hai jo apney say pehlay ki tasdeeq kerney wali hai ussi ney iss say pehlay toraat aur injeel ko utara tha.
उसने तुम पर किताब उतारी हक़ के साथ, सच्चा करने वाली उस चीज़ को जो उसके आगे है और उसने तौरात और इंजील उतारी।
The ways into the heavens - so that I may look at the deity of Moses; but indeed, I think he is a liar." And thus was made attractive to Pharaoh the evil of his deed, and he was averted from the [right] way. And the plan of Pharaoh was not except in ruin.
( unn ) darwazon tak phonch jaon aur musa kay mabood ko jhaank loon aur be-shak mein samjhta hun woh jhoota hai aur issi tarah firaon ki bad-kirdariyan ussay bhali dikhaee gaeen aur raah say rok diya gaya aur firaon ki ( her ) heela saazi tabahee mein hi rahee.
आकाशों के साधनों (और क्षत्रों) तक। फिर मूसा के पूज्य को झाँककर देखूँ। मैं तो उसे झूठा ही समझता हूँ।" इस प्रकार फ़िरऔन के लिए उस का दुष्कर्म सुहाना बना दिया गया और उसे मार्ग से रोक दिया गया। फ़िरऔन की चाल तो बस तबाही के सिलसिले में रही
And the evil consequences of what they did will appear to them, and they will be enveloped by what they used to ridicule.
Aur unn per apnay aemaal ki burayian khul gaeen aur jiss ka woh mazak ura rahey thay uss ney unhen gher liya.
और जो कुछ वे करते रहे उस की बुराइयाँ उन पर प्रकट हो गई और जिस चीज़ का वे परिहास करते थे उसी ने उन्हें आ घेरा
Say, "To whom belongs whatever is in the heavens and earth?" Say, "To Allah ." He has decreed upon Himself mercy. He will surely assemble you for the Day of Resurrection, about which there is no doubt. Those who will lose themselves [that Day] do not believe.
Aap kahiye kay jo kuch aasmano aur zamin mein mojood hai yeh sab kiss ki milkiyat hai aap keh dijiye kay sab Allah hi ki milkiyat hai Allah ney meharbani farmana apney upper laazim farma liya hai tum ko Allah qayamat kay roz jama keray ga iss mein koi shak nahi jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay.
(उनसे) पूछिए कि किसका है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, आप कह दीजिए कि सब कुछ अल्लाह का है, उसने अपने ऊपर रहमत लिख ली है, वह ज़रूर तुमको जमा करेगा क़यामत के दिन जिसमें कोई शक नहीं, जिन लोगों ने अपने आपको घाटे में डाला वही हैं जो उस पर ईमान नहीं लाते।
And Allah presents an example of those who believed: the wife of Pharaoh, when she said, "My Lord, build for me near You a house in Paradise and save me from Pharaoh and his deeds and save me from the wrongdoing people."
Aur Allah Taalaa ney eman walon kay liye firaon ki biwi ki misal biyan farmaee jabkay uss ney dua ki aey meray rab! Meray liye apney pass jannat mein muqam bana aur mujhay firaon say aur uss kay amal say bacha aur mujhay zalim logon say khulasi dey.
और ईमान लाने वालों के लिए अल्लाह ने फ़िरऔन की स्त्री की मिसाल पेश की है, जबकि उस ने कहा, "ऐ मेरे रब! तू मेरे लिए अपने पास जन्नत में एक घर बना और मुझे फ़िरऔन और उस के कर्म से छुटकारा दे, और छुटकारा दे मुझे ज़ालिम लोगों से।"
Indeed, the postponing [of restriction within sacred months] is an increase in disbelief by which those who have disbelieved are led [further] astray. They make it lawful one year and unlawful another year to correspond to the number made unlawful by Allah and [thus] make lawful what Allah has made unlawful. Made pleasing to them is the evil of their deeds; and Allah does not guide the disbelieving people.
Meheenon ka aagey peechay ker dena kufur ki ziyadti hai iss say woh log gumrahi mein dalay jatay hain jo kafir hain. Aik saal to issay halal ker letay hain aur aik saal issi ko hurmat wala ker letay hain kay Allah ney jo hurmat rakhi hai uss kay shumar mein to moafiqat ker len phir ussay halal bana len jissay Allah ney haram kiya hai enhen inn kay buray kaam bhalay dikha diye gaye hain aur qom-e-kuffaar ki Allah rehnumaee nahi farmata.
महीनों को आगे-पीछे करना कुफ़्र में एक इज़ाफ़ा है उससे कुफ़्र करने वाले गुमराही में पड़ते हैं, वे किसी साल हराम महीने को हलाल कर लेते हैं और किसी साल उसको हराम कर देते हैं; ताकि अल्लाह के हराम किए हुए की गिनती पूरी करके उसके हराम किए हुए को हलाल कर लें, उनके बुरे आमाल उनके लिए ख़ुशनुमा बना दिए गए हैं, और अल्लाह इनकार करने वालों को रास्ता नहीं दिखाता।