And it is He who created the heavens and the earth in six days - and His Throne had been upon water - that He might test you as to which of you is best in deed. But if you say, "Indeed, you are resurrected after death," those who disbelieve will surely say, "This is not but obvious magic."
Allah hi woh hai jiss ney cheh din mein aasman-o-zamin ko peda kiya aur uss ka arsh pani per tha takay woh tumhen aazmaye kay tum mein say achay amal wala kaun hai agar aap inn say kahen kay tum log marney kay baad utha kharay kiye jaogay to kafir log palat ker jawab den gay kay yeh to nira saaf saaf jadoo hi hai.
और वही है जिसने आसमानों और ज़मीन को छः दिनों में पैदा किया और उसका अर्श पानी पर था; ताकि तुमको आज़माए कि कौन तुम में से अच्छा काम करता है, और अगर आप कहो कि मरने के बाद तुम लोग उठाए जाओगे तो मुनकिरीन कहते हैं कि यह तो एक खुला हुआ जादू है।
Allah - there is no deity except Him, the Ever-Living, the Sustainer of [all] existence. Neither drowsiness overtakes Him nor sleep. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. Who is it that can intercede with Him except by His permission? He knows what is [presently] before them and what will be after them, and they encompass not a thing of His knowledge except for what He wills. His Kursi extends over the heavens and the earth, and their preservation tires Him not. And He is the Most High, the Most Great.
Allah Taalaa hi mabood-e-bar haq hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab kay thamney wala hai jissay na oongh aaye na neend uss ki milkiyat mein zamin aur aasmanon ki tamam cheezen hain. Kaun hai jo uss ki ijazat kay baghair uss kay samney shifaat ker sakay woh janta hai jo inn kay samney hai aur jo inn kay peechay hai aur woh iss kay ilm mein say kissi cheez ka ehaata nahi ker saktay magar jitna woh chahaye uss ki kursi ki wusat ney zamin-o-aasman ko gher rakha hai aur Allah Taalaa inn ki hifazat say na thakta na uktata hai woh to boht buland aur boht bara hai.
अल्लाह वह है कि उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह ज़िन्दा है, सबका थामने वाला है, उसे न ऊँघ आती है और न ही नींद, उसी का है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, कौन है जो उसके पास उसकी इजाज़त के बग़ैर सिफ़ारिश करे, वह जानता है जो कुछ उनके आगे है और जो कुछ उनके पीछे है, और वे किसी चीज़ को जान नहीं सकते उसके इल्म में से मगर जो वह चाहे, उसकी हकूमत छाई हुई है आसमानों और ज़मीन पर, और उस पर भारी नहीं है ज़मीन व आसमान की हिफ़ाज़त करना, और वही है बुलंद मर्तबे वाला, अज़मतों वाला।
And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth, and Allah is over all things competent.
Aasmanon aur zamin ki badshahi Allah hi kay liye hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और अल्लाह ही के लिए है आसमानों और ज़मीनों की बादशाहत, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
To Allah belongs the dominion of the heavens and the earth; He creates what he wills. He gives to whom He wills female [children], and He gives to whom He wills males.
Aasmano ki aur zamin ki saltanat Allah Taalaa hi kay liye hai woh jo chahata hai peda kerta hai jiss ko chahata hai betyian deta hai aur jissay chahata hai betay deta hai.
अल्लाह ही की है आकाशों और धरती की बादशाही। वह जो चाहता है पैदा करता है, जिसे चाहता है लड़कियाँ देता है और जिसे चाहता है लड़के देता है।
And blessed is He to whom belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is between them and with whom is knowledge of the Hour and to whom you will be returned.
Aur woh boht barkaton wala hai jiss kay pass aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki badshahat hai aur qayamat ka ilm bhi ussi kay pass hai aur ussi ki janib tum sab lotaye jao gay.
बड़ी ही बरकत वाली है वह सत्ता, जिस के अधिकार में है आकाशों और धरती की बादशाही और जो कुछ उन दोनों के बीच है उस की भी। और उसी के पास उस घड़ी का ज्ञान है, और उसी की ओर तुम लौटाए जाओगे।
And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth. And the Day the Hour appears - that Day the falsifiers will lose.
Aur aasmano aur zamin ki badshahi Allah hi ki hai aur jiss din qayamat qaeem hogi uss din ehl-e-batil baray nuksan mein paren gay.
आकाशों और धरती की बादशाही अल्लाह ही की है। और जिस दिन वह घड़ी घटित होगी उस दिन झूठ वाले घाटे में होंगे
And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth. He forgives whom He wills and punishes whom He wills. And ever is Allah Forgiving and Merciful.
Aur zamin aur aasmano ki badshaat Allah hi kay liye hai jissay chahye bakhshayaur jissay chahye azab keray. Aur Allah bara bakhshney wala meharban hai.
अल्लाह ही की है आकाशों और धरती की बादशाही। वह जिसे चाहे क्षमा करे और जिसे चाहे यातना दे। और अल्लाह बड़ा क्षमाशील, अत्यन्त दयावान है
His is the dominion of the heavens and earth. He gives life and causes death, and He is over all things competent.
Aasmanon aur zamin ki badshahat ussi ki hai.woh hi zindagi deta hai aur mot bhi aur woh her cheez per qadir hai.
आकाशों और धरती की बादशाही उसी की है। वही जीवन प्रदान करता है और मृत्यु देता है, और उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है