And We have not created the heavens and earth and that between them except in truth. And indeed, the Hour is coming; so forgive with gracious forgiveness.
Hum ney aasmanon aur zamin ko aur inn kay darmiyan ki sabb cheezon ko haq kay sath peda farmaya hai aur qayamat zaroor zaroor aaney wali hai. Pus tu husn-o-khoobi ( aur achai ) say dar guzar kerley.
और हमने आसमानों और ज़मीन को और जो कुछ उनके दरमियान है हिकमत के बग़ैर नहीं बनाया, और यक़ीनन क़यामत आने वाली है पस आप ख़ूबी के साथ दरगुज़र कीजिए।
And to Allah belongs the unseen [aspects] of the heavens and the earth. And the command for the Hour is not but as a glance of the eye or even nearer. Indeed, Allah is over all things competent.
Aasmanon aur zamin ka ghaib sirf Allah Taalaa hi ko maloom hai aur qayamat ka amar to aisa hi hai jaisay aankh ka jhapakna bulkay iss say bhi ziyada qarib. Be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और अल्लाह ही के लिए हैं आसमानों और ज़मीन की पोशीदा बातें, और क़यामत का मामला बस ऐसा होगा जैसे आँख झपकना बल्कि उससे भी जल्द, बेशक अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
And similarly, We caused them to be found that they [who found them] would know that the promise of Allah is truth and that of the Hour there is no doubt. [That was] when they disputed among themselves about their affair and [then] said, "Construct over them a structure. Their Lord is most knowing about them." Said those who prevailed in the matter, "We will surely take [for ourselves] over them a masjid."
Hum ney iss tarah logon ko unn kay haal say aagah ker diya kay woh jaan len kay Allah ka wada bilkul sacha hai aur qayamat mein koi shuba nahi. Jabkay woh apney amar mein aapas mein ikhtilaf ker rahey thay kehney lagay inn kay ghaar per aik emaarat bana lo. Unn ka rab hi unn kay haal ka ziyada aalim hai. Jin logon ney unn kay baray mein ghalba paya woh kehney lagay kay hum to inn kay aas pass masjod bana len gay.
इस तरह हम ने लोगों को उन की सूचना दे दी, ताकि वे जान लें कि अल्लाह का वादा सच्चा है और यह कि क़ियामत की घड़ी में कोई सन्देह नहीं है। वह समय भी उल्लेखनीय है जब वे आपस में उन के मामले में छीन-झपट कर रहे थे। फिर उन्होंने कहा, "उन पर एक भवन बना दे। उन का रब उन्हें भली-भाँति जानता है।" और जो लोग उन के मामले में प्रभावी रहे उन्होंने कहा, "हम तो उन पर अवश्य एक उपासना गृह बनाएँगे।"
And [that they may know] that the Hour is coming - no doubt about it - and that Allah will resurrect those in the graves.
Aur yeh kay qayamat qata’an aaney wali hai jiss mein koi shak-o-shuba nahi aur yaqeenan Allah Taalaa qabron walon ko doobara zinda farmaye ga.
और यह कि क़ियामत की घड़ी आने वाली है, इसमें कोई सन्देह नहीं है। और यह कि अल्लाह उन्हें उठाएगा जो क़ब्रों में हैं
And for every nation is a [specified] term. So when their time has come, they will not remain behind an hour, nor will they precede [it].
Aur her giroh kay liye aik miyaad-e-moyyen hai so jiss waqt inn ki miyaad-e-moyyen aajayegi uss waqt aik sa’at na peechay hatt saken gay aur na aagay barh saken gay.
और हर क़ौम के लिए एक मुक़र्ररह मुद्दत है, फिर जब उनकी मुद्दत आ जाएगी तो वह न एक लम्हा भर पीछे हट सकेंगे और न आगे बढ़ सकेंगे।