And within the land are neighboring plots and gardens of grapevines and crops and palm trees, [growing] several from a root or otherwise, watered with one water; but We make some of them exceed others in [quality of] fruit. Indeed in that are signs for a people who reason.
Aur zamin mein mukhtalif tukray aik doosray say lagtay lagatay hain aur angooron kay baghaat hain aur khet hain aur khujooron kay darakht hain shaakh daar aur baaz aisay hain jo bey shaakh hain sab aik hi pani pilaye jatay hain. Phir bhi hum aik ko aik per phalon mein bartari detay hain iss mein aql madon kay liye boht si nishaniyan hain.
और ज़मीन में मुख़्तलिफ़ टुकड़े एक-दूसरे से लगते-लगाते हैं और अंगूरों के बाग़ात हैं और खेत हैं और खजूरों के दरख़्त हैं टहनी वाले हैं और बअज़ ऐसे हैं जो बग़ैर टहनी के हैं, सब एक ही पानी पिलाए जाते हैं फिर भी हम एक को एक पर फलों में बरतरी देते हैं, इसमें अक़्लमंदों के लिए बहुत-सी निशानियाँ हैं।
He causes to grow for you thereby the crops, olives, palm trees, grapevines, and from all the fruits. Indeed in that is a sign for a people who give thought.
Issi say woh tumharay liye kheti aur zaitoon aur khujoor aur angoor aur her qisam kay phal ugata hai be-shak unn logon kay liye iss mein bari nishani hai jo ghor-o-fikar kertay hain.
वह उसी से तुम्हारे लिए खेती और ज़ैतून और खजूर और अंगूर और हर क़िस्म के फल उगाता है, बेशक इसके अंदर निशानी है उन लोगों के लिए जो ग़ौर करते हैं।
And He has subjected for you the night and day and the sun and moon, and the stars are subjected by His command. Indeed in that are signs for a people who reason.
Ussi ney raat din aur sooraj chand ko tumharay liye tabey ker diya hai aur sitaray bhi ussi kay hukum kay matehat hain. Yaqeenan iss mein aqal mand logon kay liye kaee aik nishaniyan mojood hain.
और उसने तुम्हारे काम में लगा दिया रात को और दिन को और सूरज और चाँद को, और सितारे भी उसके हुक्म के ताबे हैं, बेशक इसमें निशानियाँ हैं अक़्लमंद लोगों के लिए।
Eat [therefrom] and pasture your livestock. Indeed, in that are signs for those of intelligence.
Tum khud khao aur apney chopayon ko bhi charao. Kuch shak nahi kay iss mein aqalmandon kay liye boht si nishaniyan hain.
खाओ और अपने चौपायों को भी चराओ! निस्संदेह इसमें बुद्धिमानों के लिए बहुत-सी निशानियाँ हैं
Allah alternates the night and the day. Indeed in that is a lesson for those who have vision.
Allah Taalaa hi din aur raat ko rad-o-badal kerta rehta hai aankhon walon kay liye to iss mein yaqeenan bari bari ibraten hain.
अल्लाह ही रात और दिन का उलट-फेर करता है। निश्चय ही आँखें रखने वालों के लिए इसमें एक शिक्षा है
Did they not look at the earth - how much We have produced therein from every noble kind?
Kiya enhon ney zamin per nazaren nahi daalen? Kay hum ney iss mein her tarah kay nafees joray kiss qadar ugaye hain?
क्या उन्होंने धरती को नहीं देखा कि हम ने उस में कितने ही प्रकार की उमदा चीज़ें पैदा की है?
Allah created the heavens and the earth in truth. Indeed in that is a sign for the believers.
Allah Taalaa ney aasmano aur zamin ko masleyhat aur haq kay sath peda kiya hai eman walon kay liye to iss mein bari bhari daleel hai.
अल्लाह ने आकाशों और धरती को सत्य के साथ पैदा किया। निश्चय ही इसमें ईमान वालों के लिए एक बड़ी निशानी है