Say, "To whom belongs whatever is in the heavens and earth?" Say, "To Allah ." He has decreed upon Himself mercy. He will surely assemble you for the Day of Resurrection, about which there is no doubt. Those who will lose themselves [that Day] do not believe.
Aap kahiye kay jo kuch aasmano aur zamin mein mojood hai yeh sab kiss ki milkiyat hai aap keh dijiye kay sab Allah hi ki milkiyat hai Allah ney meharbani farmana apney upper laazim farma liya hai tum ko Allah qayamat kay roz jama keray ga iss mein koi shak nahi jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay.
(उनसे) पूछिए कि किसका है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, आप कह दीजिए कि सब कुछ अल्लाह का है, उसने अपने ऊपर रहमत लिख ली है, वह ज़रूर तुमको जमा करेगा क़यामत के दिन जिसमें कोई शक नहीं, जिन लोगों ने अपने आपको घाटे में डाला वही हैं जो उस पर ईमान नहीं लाते।
And to Him belongs that which reposes by night and by day, and He is the Hearing, the Knowing.
Aur Allah hi kay mulk hain woh sab kuch jo raat mein aur din mein rehti hain aur wohi bara sunnay wala bara jannay wala hai.
और अल्लाह ही का है जो कुछ ठहरता है रात में और दिन में, और वह सब कुछ सुनने वाला, जानने वाला है।
Say, "Is it other than Allah I should take as a protector, Creator of the heavens and the earth, while it is He who feeds and is not fed?" Say, [O Muhammad], "Indeed, I have been commanded to be the first [among you] who submit [to Allah ] and [was commanded], 'Do not ever be of the polytheists.' "
Aap kahiye kay kiya Allah kay siwa jo kay aasmanon aur zamin ka peda kerney wala hai aur jo kay khaney ko deta hai aur uss ko koi khaney ko nahi deta aur kissi ko mabood qarar doon aap farma dijiye kay mujh ko yeh hukum hua hai kay sab say pehlay mein islam qabool keroon aur tu mushrikeen mein say hergiz na hona.
कह दीजिए कि क्या में अल्लाह के सिवा किसी और को मददगार बनाऊँ जो बनाने वाला है आसमानों का और ज़मीन का और वह सबको खिलाता है और उसको नहीं खिलाया जा सकता, कहिए कि मुझको हुक्म मिला है कि मैं सबसे पहले इस्लाम लाने वाला बनूँ और तुम हरगिज़ मुशरिकों में से न बनो।
Say, "Indeed I fear, if I should disobey my Lord, the punishment of a tremendous Day."
Aap keh dijiye kay mein agar apney rab ka kehna na manon to mein aik baray din kay azab say darta hun.
कहिए कि अगर मैंने अपने रब की नाफ़रमानी की तो मैं एक बड़े दिन के अज़ाब से डरता हूँ।
He from whom it is averted that Day - [ Allah ] has granted him mercy. And that is the clear attainment.
Jiss shaks say uss roz woh azab hata diya jaye to uss per Allah ney bara reham kiya aue yeh sareeh kaamyabi hai.
जिस शख़्स से वह उस दिन हटा लिया गया उस पर अल्लाह ने बड़ा रहम फ़रमाया, और यही खुली कामयाबी है।
And if Allah should touch you with adversity, there is no remover of it except Him. And if He touches you with good - then He is over all things competent.
Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi takleef phonchaye to uss ka door kerney wala siwaye Allah Taalaa kay aur koi nahi. Aur agar tujh ko Allah Taalaa koi nafa phonchaye to woh her cheez per poori qudrat rakhney wala hai.
और अगर अल्लाह तुमको कोई नुक़सान पहुँचाए तो उसके सिवा कोई उसका दूर करने वाला नहीं, और अगर अल्लाह तुमको कोई भलाई पहुँचाए तो वह हर चीज़ पर क़ादिर है।
And He is the subjugator over His servants. And He is the Wise, the Acquainted [with all].
Aur wohi Allah apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur wohi bari hikmat wala aue poori khabar rakhney wala hai.
और उसी का ज़ोर है अपने बंदों पर, और वह हिकमत वाला, सबकी ख़बर रखने वाला है।
Say, "What thing is greatest in testimony?" Say, " Allah is witness between me and you. And this Qur'an was revealed to me that I may warn you thereby and whomever it reaches. Do you [truly] testify that with Allah there are other deities?" Say, "I will not testify [with you]." Say, "Indeed, He is but one God, and indeed, I am free of what you associate [with Him]."
Aap kahiye kay sab say bari cheez gawahi denay kay liye kaun hai aap kahiye kay meray aur tumharay darmiyan Allah gawah hai aur meray pass yeh quran bator wahee kay bheja gaya hai takay mein iss quran kay zariye say tum ko aur jiss ko yeh quran phonchay unn sab ko daraon kiya tum sach much yehi gawahi do gay kay Allah Taalaa kay sath kuch aur mabood bhi hain aap keh dijiye kay mein to gawahee nahi deta. Aap farma dijiye kay bus woh to aik hi mabood hai aur be-shak mein tumharay shirk say bey zaar hun.
पूछिए कि सबसे बड़ा गवाह कौन है, कह दीजिए कि अल्लाह है जो मेरे और तुम्हारे दरमियान गवाह है और मुझ पर यह क़ुरआन उतारा गया ताकि मैं तुमको उसके ज़रिए से ख़बरदार करता रहूँ और उसको जिस तक यह पहुँचे, क्या तुम इसकी गवाही देते हो कि अल्लाह के साथ कुछ और माबूद भी हैं? कह दें कि मैं इसकी गवाही नहीं देता, नीज़ कह दें कि वह तो बस एक ही माबूद है और मैं बरी हूँ तुम्हारे शिर्क से।