Then is he who knows that what has been revealed to you from your Lord is the truth like one who is blind? They will only be reminded who are people of understanding -
Kiya woh aik shaks jo yeh ilm rakhta ho kay aap ki taraf aap kay rab ki janib say jo utara gaya hai woh haq hai uss shaks jaisa ho sakta hai jo andha ho naseehat to woh qabool kertay hain jo aqal mand hon.
जो शख़्स यह जानता है कि जो कुछ आपके रब की तरफ़ से आप पर उतारा गया है वह हक़ है क्या वह उसके मानिंद हो सकता है जो अंधा है, नसीहत तो अक़्ल वाले लोग ही क़बूल करते हैं।
Those who fulfill the covenant of Allah and do not break the contract,
Jo Allah kay ehad ( o-paymaan ) ko poora kertay hain aur qol-o-qarar ko tortay nahi.
वे लोग जो अल्लाह के अहद को पूरा करते हैं और उसके अहद को नहीं तोड़ते।
And those who join that which Allah has ordered to be joined and fear their Lord and are afraid of the evil of [their] account,
Aur Allah ney jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai woh ussay jortay hain aur woh apney perwerdigar say dartay hain aur hisab ki sakhti ka andesha rakhtay hain.
और जो उसको जोड़ते हैं जिसको अल्लाह ने जोड़ने का हुक्म दिया है और वे अपने रब से डरते हैं और वे बुरे हिसाब का अंदेशा रखते हैं।
And those who are patient, seeking the countenance of their Lord, and establish prayer and spend from what We have provided for them secretly and publicly and prevent evil with good - those will have the good consequence of [this] home -
Aur woh apney rab ki raza mandi ki talab kay liye sabar kertay hain aur namazon ko barabar qaeem rakhtay hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai ussay chuppay khulay kharach kertay hain aur buraee ko bhi bhalee say taaltay hain inn hi kay liye aaqibat ka ghar hai.
और जिन्होंने अपने रब की रज़ा के लिए सब्र किया और नमाज़ क़ायम की और हमारे दिए हुए में से छुपकर और खुलेआम ख़र्च किया और जो बुराई को भलाई से दफ़ा करते हैं, आख़िरत का घर उन्हीं लोगों के लिए है।
Gardens of perpetual residence; they will enter them with whoever were righteous among their fathers, their spouses and their descendants. And the angels will enter upon them from every gate, [saying],
Hamesha rehnay kay baghaat jahan yeh khud jayen gay aur inn kay baap dadon aur biwiyon aur auladon mein say bhi jo neko kaar hongay inn kay pass farishtay her her darwazay say aayen gay.
हमेशा रहने वाले बाग़ात जिन में वे दाख़िल होंगे और वे भी जो उसके अहल बनेंगे उनके बाप-दादा और उनकी बीवियों और उनकी औलाद में से, और फ़रिश्ते हर दरवाज़े से उनके पास आएंगे।
"Peace be upon you for what you patiently endured. And excellent is the final home."
Kahen gay tum per salamti ho sabar kay badlay kiya hi acha ( badla ) hai iss daar-e-aakhirat ka.
(कहेंगे कि) तुम लोगों पर सलामती हो उस सब्र के बदले जो तुमने किया, पस क्या ही ख़ूब है यह आख़िरत का घर।