And whoever commits a sin only earns it against himself. And Allah is ever Knowing and Wise.
Aur jo gunah kerta hai uss ka bojh ussi per hai aur Allah bakhoobi janney wala aur poori hikmat wala hai.
और जो शख़्स कोई गुनाह करता है तो वह अपने ही हक़ में (बुरा) करता है, और अल्लाह जानने वाला, हिकमत वाला है।
They said, "If he steals - a brother of his has stolen before." But Joseph kept it within himself and did not reveal it to them. He said, "You are worse in position, and Allah is most knowing of what you describe."
Enhon ney kaha kay agar iss ney chori ki ( to koi tajjub ki baat nahi ) iss ka bhai bhi pehlay chori ker chuka hai yousuf ( alh-e-salam ) ney iss baat ko apney dil mein rakh liya aur inn kay samney bilkul zahir na kiya. Kaha kay tum bad tar jagah mein ho aur jo tum biyan kertay ho ussay Allah hi khoob janta hai.
उन्होंने कहाः अगर यह चोरी करे तो इससे पहले इसका एक भाई भी चोरी कर चुका है, पस यूसुफ़ (अलै॰) ने इस बात को अपने दिल में रखा और उसको उन पर ज़ाहिर नहीं किया, उसने अपने दिल में कहा कि तुम ख़ुद ही बुरे लोग हो और जो कुछ तुम बयान कर रहे हो अल्लाह उसको ख़ूब जानता है।
And he sensed within himself apprehension, did Moses.
Pus musa ( alh-e-salam ) ney apney dil hi dil mein darr mehsoos kiya.
और मूसा अपने जी में डरा
Indeed, those who pledge allegiance to you, [O Muhammad] - they are actually pledging allegiance to Allah . The hand of Allah is over their hands. So he who breaks his word only breaks it to the detriment of himself. And he who fulfills that which he has promised Allah - He will give him a great reward.
Jo log tujh say bait kertay hain woh yaqeenan Allah say bait kertay hain, unkay hathon per Allah ka hath hai, to jo shaks ehad shikni keray woh apnay nafs per hi ehad shikni kerta hai aur jo shaks iss iqrar ko poora keray jo uss ney Allah kay sath kiya hai to ussay unqareeb Allah boht bara ajar deyga.
(ऐ नबी) वे लोग जो तुम से बैअत करते हैं वे तो वास्तव में अल्लाह ही से बैअत करते हैं। उन के हाथों के ऊपर अल्लाह का हाथ होता है। फिर जिस किसी ने वचन भंग किया तो वह वचन भंग करके उस का बवाल अपने ही सिर लेता है, किन्तु जिस ने उस प्रतिज्ञा को पूरा किया जो उस ने अल्लाह से की है तो उसे वह बड़ा बदला प्रदान करेगा
And [also for] those who were settled in al-Madinah and [adopted] the faith before them. They love those who emigrated to them and find not any want in their breasts of what the emigrants were given but give [them] preference over themselves, even though they are in privation. And whoever is protected from the stinginess of his soul - it is those who will be the successful.
Aur ( unn kay liye ) jinhon ney iss ghar mein ( yani madina ) aur eman mein inn say pehlay jagah bana li hai aur apni taraf hijrat ker kay aaney walon say mohabbat kertay hain aur mohajireen ko jo kuch dey diya jaye iss say woh apney dilon mein koi tangi nahi rakhtay bulkay khud apney upper enhen tarjeeh detay hain go khud ko kitni hi sakht haajat ho ( baat yeh hai ) kay jo bhi apney nafs kay bukhul say bachaya gaya wohi kaamyaab ( aur baa murad ) hai.
और उन के लिए जो उन से पहले ही से हिजरत के घर (मदीना) में ठिकाना बनाए हुए हैं और ईमान पर जमे हुए हैं, वे उन से प्रेम करते हैं जो हिजरत करके उन के यहाँ आए हैं और जो कुछ भी उन्हें दिया गया उस से वे अपने सीनों में कोई खटक नहीं पाते और वे उन्हें अपने मुक़ाबले में प्राथमिकता देते हैं, यद्यपि अपनी जगह वे स्वयं मुहताज ही हों। और जो अपने मन के लोभ और कृपणता से बचा लिया जाए ऐसे लोग ही सफल हैं
So fear Allah as much as you are able and listen and obey and spend [in the way of Allah ]; it is better for your selves. And whoever is protected from the stinginess of his soul - it is those who will be the successful.
Pus jahan tak tum say ho sakay Allah say dartay raho aur suntay aur maantay chalay jao aur Allah ki raah mein kheyraat kertay raho jo tumhara liye behtar hai aur jo shaks apney nafs ki hirss say mehfooz rakha jaye wohi kaamyab hai.
अतः जहाँ तक तुम्हारे बस में हो अल्लाह का डर रखो और सुनो और आज्ञापालन करो और ख़र्च करो अपनी भलाई के लिए। और जो अपने मन के लोभ एवं कृपणता से सुरक्षित रहा तो ऐसे ही लोग सफल हैं
Rather, man, against himself, will be a witness,
Bulkay insan khud apney upper aap hujjat hai
नहीं, बल्कि मनुष्य स्वयं अपने हाल पर निगाह रखता है,