Say, "Is it other than Allah I should take as a protector, Creator of the heavens and the earth, while it is He who feeds and is not fed?" Say, [O Muhammad], "Indeed, I have been commanded to be the first [among you] who submit [to Allah ] and [was commanded], 'Do not ever be of the polytheists.' "
Aap kahiye kay kiya Allah kay siwa jo kay aasmanon aur zamin ka peda kerney wala hai aur jo kay khaney ko deta hai aur uss ko koi khaney ko nahi deta aur kissi ko mabood qarar doon aap farma dijiye kay mujh ko yeh hukum hua hai kay sab say pehlay mein islam qabool keroon aur tu mushrikeen mein say hergiz na hona.
कह दीजिए कि क्या में अल्लाह के सिवा किसी और को मददगार बनाऊँ जो बनाने वाला है आसमानों का और ज़मीन का और वह सबको खिलाता है और उसको नहीं खिलाया जा सकता, कहिए कि मुझको हुक्म मिला है कि मैं सबसे पहले इस्लाम लाने वाला बनूँ और तुम हरगिज़ मुशरिकों में से न बनो।
No partner has He. And this I have been commanded, and I am the first [among you] of the Muslims."
Uss ka koi shareek nahi aur mujh ko issi ka hukum hua hai aur mein sab mannay walon mein say pehla hun.
कोई उसका शरीक नहीं, और मुझे इसी का हुक्म मिला है और मैं सबसे पहला फरमाँबरदार हूँ।
And [the believers among] those to whom We have given the [previous] Scripture rejoice at what has been revealed to you, [O Muhammad], but among the [opposing] factions are those who deny part of it. Say, "I have only been commanded to worship Allah and not associate [anything] with Him. To Him I invite, and to Him is my return."
Jinhen hum ney kitab di hai woh to jo kuch aap per utara jata hai uss say khush hotay hain aur doosray fiqay iss ki baaz baaton say munkir hain. Aap ailaan ker dijiye kay mujhay to sirf yehi hukum diya gaya hai kay mein Allah ki ibadat keroon aur uss kay sath shareek na keroon mein ussi ki taraf bula raha hun aur ussi ki janib mera lotna hai.
और जिन लोगों को हमने किताब दी थी वे उस चीज़ पर ख़ुश हैं जो आप पर उतारी गई है, और उन गिरोहों में ऐसे भी हैं जो उसके बअज़ हिस्से का इनकार करते हैं, कह दीजिए कि मुझे हुक्म दिया गया है कि मैं अल्लाह की इबादत करूँ और किसी को उसका शरीक न ठहराऊँ, मैं उसी की तरफ़ बुलाता हूँ और उसी की तरफ़ मेरा लौटना है।
[Say, O Muhammad], "I have only been commanded to worship the Lord of this city, who made it sacred and to whom [belongs] all things. And I am commanded to be of the Muslims [those who submit to Allah ]
Mujhay to bus yehi hukum diya gaya hai kay mein iss shehar kay perwerdigar ki ibadat kerta rahon jiss ney issay hurmat wala banaya hai jiss ki milkiyat her cheez hai aur mujhay yeh bhi farmaya gaya hai kay mein farmanbardaron mein say ho jaon.
मुझे तो बस यही आदेश मिला है कि इस नगर (मक्का) के रब की बन्दगी करूँ, जिस ने इसे आदरणीय ठहराया और उसी की हर चीज़ है। और मुझे आदेश मिला है कि मैं आज्ञाकारी बनकर रहूँ
Say, [O Muhammad], "Indeed, I have been commanded to worship Allah , [being] sincere to Him in religion.
Aap keh dijiye! Kay mujhay hukum diya gaya hai kay Allah Taalaa ki iss tarah ibadat keroon kay ussi kay liye ibadat ko khalis ker loon.
कह दो, "मुझे तो आदेश दिया गया है कि मैं अल्लाह की बन्दगी करूँ, धर्म (भक्तिभाव एवं निष्ठान) को उसी के लिए विशुद्ध करते हुए