And [I have come] confirming what was before me of the Torah and to make lawful for you some of what was forbidden to you. And I have come to you with a sign from your Lord, so fear Allah and obey me.
Aur mein toraat ki tasdeeq kerney wala hun jo meray samney hai aur mein iss liye aaya hun kay tum per baaz woh cheezen halal keroon jo tum per haram ker di gaeen hain aur mein tumharay pass tumharay rab ki nishani laya hun iss liye tum Allah Taalaa say daro aur meri farmanbardari kero!.
और मैं तस्दीक़ करने वाला हूँ मुझसे पहले आने वाली किताब तौरात की, और ताकि उन बअज़ चीज़ों को तुम्हारे लिए हलाल ठहराऊँ जो तुम पर हराम कर दी गई हैं, और मैं तुम्हारे पास तुम्हारे रब की तरफ़ से निशानी लेकर आया हूँ, पस तुम अल्लाह से डरो और मेरी इताअत करो।
And We sent, following in their footsteps, Jesus, the son of Mary, confirming that which came before him in the Torah; and We gave him the Gospel, in which was guidance and light and confirming that which preceded it of the Torah as guidance and instruction for the righteous.
Aur hum ney unn kay peechay essa bin marium ko bheja jo apney say pehlay ki kitab yaani toraat ki tasdeeq kerney walay thay aur hum ney unhen injeel ata farmaee jiss mein noor aur hidayat thi aur woh apney say pehlay ki kitab toraat ki tasdeeq kerti thi aur woh sira sir hidayat-o-naseehat thi paarsa logon kay liye.
और हमने उनके पीछे ईसा बिन मरियम को भेजा तस्दीक़ करते हुए अपने से पहले की किताब तौरात की और हमने उनको इंजील दी जिसमें हिदायत और रौशनी है और वह तस्दीक़ करने वाली थी अपने से पहली किताब तौरात की और हिदायत और नसीहत डरने वालों के लिए।
And We sent, following in their footsteps, Jesus, the son of Mary, confirming that which came before him in the Torah; and We gave him the Gospel, in which was guidance and light and confirming that which preceded it of the Torah as guidance and instruction for the righteous.
Aur hum ney unn kay peechay essa bin marium ko bheja jo apney say pehlay ki kitab yaani toraat ki tasdeeq kerney walay thay aur hum ney unhen injeel ata farmaee jiss mein noor aur hidayat thi aur woh apney say pehlay ki kitab toraat ki tasdeeq kerti thi aur woh sira sir hidayat-o-naseehat thi paarsa logon kay liye.
और हमने उनके पीछे ईसा बिन मरियम को भेजा तस्दीक़ करते हुए अपने से पहले की किताब तौरात की और हमने उनको इंजील दी जिसमें हिदायत और रौशनी है और वह तस्दीक़ करने वाली थी अपने से पहली किताब तौरात की और हिदायत और नसीहत डरने वालों के लिए।
Those who follow the Messenger, the unlettered prophet, whom they find written in what they have of the Torah and the Gospel, who enjoins upon them what is right and forbids them what is wrong and makes lawful for them the good things and prohibits for them the evil and relieves them of their burden and the shackles which were upon them. So they who have believed in him, honored him, supported him and followed the light which was sent down with him - it is those who will be the successful.
Jo log aisay rasool nabi ummi ka ittabaa kertay hain jin ko woh log apney pass toraat-o-injeel mein likha hua patay hain. Woh inn ko nek baaton ka hukum farmatay hain aur buri baaton say mana kertay hain aur pakeezah cheezon ko halal batatay hain aur gandi cheezon ko inn per haram farmatay hain aur inn logon per jo bojh aur toq thay unn ko door kertay hain. So jo log iss nabi per eman latay hain aur inn ki himayat kertay hain aur inn ki madad kertay hain aur iss noor ka ittabaa kertay hain jo inn kay sath bheja gaya hai aisay log poori falah paney walay hain.
जो लोग पैरवी करेंगे उस रसूल की जो नबी उम्मी है, जिसको वे लिखा हुआ पाते हैं अपने यहाँ तौरात और इंजील में, वह उनको नेकी का हुक्म देता है और उनको बुराई से रोकता है और उनके लिए पाकीज़ा चीज़ें जायज़ ठहराता है और नापाक चीज़ें उन पर हराम करता है और उन पर से वह बोझ और तौक़ उतारता है जो उन पर थीं, पस जो लोग उस पर ईमान लाए और जिन्होंने उसकी इज़्ज़त की और उसकी मदद की और उस नूर (क़ुरआन) की पैरवी की जो उसके साथ उतारा गया है तो वही लोग कामयाबी पाने वाले हैं।
Indeed, Allah has purchased from the believers their lives and their properties [in exchange] for that they will have Paradise. They fight in the cause of Allah , so they kill and are killed. [It is] a true promise [binding] upon Him in the Torah and the Gospel and the Qur'an. And who is truer to his covenant than Allah ? So rejoice in your transaction which you have contracted. And it is that which is the great attainment.
Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai.
बेशक अल्लाह ने मोमिनों से उनकी जान और उनके माल को ख़रीद लिया है जन्नत के बदले, वे अल्लाह की राह में लड़ते हैं फिर मारते हैं और मारे जाते हैं, यह अल्लाह के ज़िम्मे एक सच्चा वादा है तौरात में और इंजील में और क़ुरआन में, और अल्लाह से बढ़कर अपने वादे को पूरा करने वाला कौन है, पस तुम ख़ुशियाँ मनाओ उस मामले पर जो तुमने अल्लाह से किया है, और यही सबसे बड़ी कामयाबी है।
Muhammad is the Messenger of Allah ; and those with him are forceful against the disbelievers, merciful among themselves. You see them bowing and prostrating [in prayer], seeking bounty from Allah and [His] pleasure. Their mark is on their faces from the trace of prostration. That is their description in the Torah. And their description in the Gospel is as a plant which produces its offshoots and strengthens them so they grow firm and stand upon their stalks, delighting the sowers - so that Allah may enrage by them the disbelievers. Allah has promised those who believe and do righteous deeds among them forgiveness and a great reward.
Muhammad ( PBUH ) Allah kay rasool hain aur jo log unn kay sath hain kafiron per sakht hain aapas mein reham dil hain tu enhen dekhay ga kay rukoo aur sajday ker rahey hain Allah Taalaa kay fazal aur raza mandi ki justujoo mein hain inn ka nishan inn kay chehron per sajdon kay asar say hai inn ki yeh hi misal toraat mein hai aur inn ki misal injeel mein hai misil uss kheti kay jiss ney apna ankhwa nikala phir ussay mazboot kiya aur woh mota hogaya phir apnay tanay per seedha khara hogaya aur kisano ko khush kernay laga takay inn ki waja say kafiron ko chiraye inn eman walon aur nek aemaal walon say Allah ney bakhsish ka aur boht baray sawab ka wada kiya hai.
अल्लाह के रसूल मुहम्मद और जो लोग उन के साथ हैं, वे इनकार करने वालों पर भारी हैं, आपस में दयालु हैं। तुम उन्हें रुकू में, सजदे में, अल्लाह का उदार अनुग्रह और उस की प्रसन्नता चाहते हुए देखोगे। वे अपने चहरों से पहचाने जाते हैं जिन पर सजदों का प्रभाव है। यही उन की विशेषता तौरात में और उन की विशेषता इंजील में उस खेती की तरह उल्लिखित है जिस ने अपना अंकुर निकाला; फिर उसे शक्ति पहुँचाई तो वह मोटा हुआ और वह अपने तने पर सीधा खड़ा हो गया। खेती करने वालों को भा रहा है, ताकि उन से इनकार करने वालों का जी जलाए। उन में से जो लोग ईमान लाए और उन्होंने अच्छे कर्म किए उन से अल्लाह ने क्षमा और बदले का वादा किया है
And [mention] when Jesus, the son of Mary, said, "O children of Israel, indeed I am the messenger of Allah to you confirming what came before me of the Torah and bringing good tidings of a messenger to come after me, whose name is Ahmad." But when he came to them with clear evidences, they said, "This is obvious magic."
Aur jab marium kay betay essa ney kaha aey ( meri qom ) bani israeel! Mein tum sab ki taraf Allah ka rasool hun mujh say pehlay ki kitab toraat ki mein tasdeeq kerney wala hun aur apney baad aaney walay aik rasool ki mein tumhen khushkhabri sunaney wala hun jin ka naam ahmed hai phir jab woh unn kay pass khuli daleelen laye to yeh kehney lagay yeh to khula jadoo hai.
और याद करो जबकि मरयम के बेटे ईसा ने कहा, "ऐ इसराईल की संतान! मैं तुम्हारी ओर भेजा हुआ अल्लाह का रसूल हूँ। मैं तौरात की (उस भविष्यवाणी की) पुष्टि करता हूँ जो मुझ से पहले से विद्यमान है और एक रसूल की शुभ सूचना देता हूँ जो मेरे बाद आएगा, उस का नाम अहमद होगा।" किन्तु वह जब उन के पास स्पष्ट प्रमाणों के साथ आया तो उन्होंने कहा, "यह तो जादू है।"