And do not say about those who are killed in the way of Allah , "They are dead." Rather, they are alive, but you perceive [it] not.
Aur Allah Taalaa ki raah kay shaheedon ko murda mat kaho woh zinda hain lekin tum nahi samajhtay.
और जो लोग अल्लाह की राह में मारे जाएं उनको मुर्दा मत कहो; बल्कि वे ज़िंदा हैं मगर तुमको ख़बर नहीं।
And those who emigrated for the cause of Allah and then were killed or died - Allah will surely provide for them a good provision. And indeed, it is Allah who is the best of providers.
Aur jin logon ney raah-e-khuda mein tarq-e-watan kiya phir woh shaheed ker diye gaye ya apni maut marr gaye Allah Taalaa unhen behtareen rizq ata farmaye ga. Aur be-shak Allah Taalaa rozi denay walon mein sab say behtar hai.
और जिन लोगों ने अल्लाह के मार्ग में घरबार छोड़ा, फिर मारे गए या मर गए, अल्लाह अवश्य उन्हें अच्छी आजीविका प्रदान करेगा। और निस्संदेह अल्लाह ही उत्तम आजीविका प्रदान करने वाला है
Beautified for people is the love of that which they desire - of women and sons, heaped-up sums of gold and silver, fine branded horses, and cattle and tilled land. That is the enjoyment of worldly life, but Allah has with Him the best return.
Marghoob cheezon ki mohabbat logon kay liye muzayyen ker di gaee hai jaisay aurten aur betay aur soney aur chandi kay jama kiye huye khazaney aur nishandaar ghoray aur chopaye aur kheti yeh duniya ki zidagi ka saman hai aur lotney ka acha thikana to Allah Taalaa hi kay pass hai.
लोगों के लिए ख़ुशनुमा कर दी गई है ख़्वाहिशों की मुहब्बत, औरतें और बेटे, सोने और चाँदी के ढेर, निशान लगे हुए घोड़े, और जानवर और खेती, ये सब दुनियावी ज़िंदगी के सामान हैं, और अल्लाह के पास अच्छा ठिकाना है।
Among the believers are men true to what they promised Allah . Among them is he who has fulfilled his vow [to the death], and among them is he who awaits [his chance]. And they did not alter [the terms of their commitment] by any alteration -
Momino mein ( aisay ) log bhi hain jinhon ney jo ehad Allah Taalaa say kiya tha unhen sacha ker dikhaya baaz ney to apna ehad poora ker diya aur baaz ( moqay kay ) muntazir hain aur unhon ney koi tabdeeli nahi ki.
ईमान वालों के रूप में ऐसे पुरुष मौजूद हैं कि जो प्रतिज्ञा उन्होंने अल्लाह से की थी उसे उन्होंने सच्चा कर दिखाया। फिर उन में से कुछ तो अपना प्रण पूरा कर चुके और उन में से कुछ प्रतीक्षा में हैं। और उन्होंने अपनी बात तनिक भी नहीं बदली
And whoever obeys Allah and the Messenger - those will be with the ones upon whom Allah has bestowed favor of the prophets, the steadfast affirmers of truth, the martyrs and the righteous. And excellent are those as companions.
Aur jo bhi Allah Taalaa ki aur rasool ( PBUH ) ki farmanbardari keray woh unn logon kay sath hoga jin per Allah Taalaa ney inam kiya hai jaisay nabi aur siddique aur shaheed aur nek log yeh behtareen rafiq hain.
और जो अल्लाह और रसूल की इताअत करेगा वह उन लोगों के साथ होगा जिन पर अल्लाह ने ईनाम किया है, यानी पैग़म्बरों और सच्चों और शहीदों और नेक लोगों के साथ, और कितना ही अच्छा है उनके साथ रहना।
Allah has promised the believing men and believing women gardens beneath which rivers flow, wherein they abide eternally, and pleasant dwellings in gardens of perpetual residence; but approval from Allah is greater. It is that which is the great attainment.
Inn eman daar mardon aur aurton say Allah ney unn jannaton ka wada farmaya hai jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha hamesh rehney walay hain aur inn saaf suthray pakeezah mehallaat ka jo unn hameshgi wali jannaton mein hain aur Allah ki raza mandi sab say bari cheez hai yehi zabardast kaamyabi hai.
मोमिन मर्दों और मोमिन औरतों से अल्लाह का वादा है ऐसे बाग़ात का कि उनके नीचे से नहरें जारी होंगी उनमें वे हमेशा रहेंगे, और वादा है पाकीज़ा मकानों का हमेशा रहने वाले बाग़ात में, और अल्लाह की रज़ामंदी का जो सबसे बढ़कर है, यही बड़ी कामयाबी है।