And those who are patient, seeking the countenance of their Lord, and establish prayer and spend from what We have provided for them secretly and publicly and prevent evil with good - those will have the good consequence of [this] home -
Aur woh apney rab ki raza mandi ki talab kay liye sabar kertay hain aur namazon ko barabar qaeem rakhtay hain aur jo kuch hum ney unhen dey rakha hai ussay chuppay khulay kharach kertay hain aur buraee ko bhi bhalee say taaltay hain inn hi kay liye aaqibat ka ghar hai.
और जिन्होंने अपने रब की रज़ा के लिए सब्र किया और नमाज़ क़ायम की और हमारे दिए हुए में से छुपकर और खुलेआम ख़र्च किया और जो बुराई को भलाई से दफ़ा करते हैं, आख़िरत का घर उन्हीं लोगों के लिए है।
[O Muhammad], tell My servants who have believed to establish prayer and spend from what We have provided them, secretly and publicly, before a Day comes in which there will be no exchange, nor any friendships.
Meray eman walay bandon say keh dijiye kay namazon ko qaeem rakhen aur jo kuch hum ney dey rakha hai uss mein say kuch na kuch posheeda aur zahir kharach kertay rahen iss say pehlay kay woh din aajaye jiss mein na kharid-o-farokht hogi na dosti aur mohabbat.
मेरे जो बंदे ईमान लाए हैं उनसे कह दीजिए कि वह नमाज़ क़ायम करें और जो कुछ हमने उनको दिया है उसमें से खुले और छुपे ख़र्च करें इससे पहले कि वह दिन आए जिसमें न ख़रीद-व-फ़रोख़्त होगी और न दोस्ती काम आएगी।
Allah presents an example: a slave [who is] owned and unable to do a thing and he to whom We have provided from Us good provision, so he spends from it secretly and publicly. Can they be equal? Praise to Allah ! But most of them do not know.
Allah Taalaa aik misal biyan farmata hai kay aik ghulam hai doosray ki milkiyat ka jo kissi baat ka ikhtiyar nahi rakhta aur aik aur shaks hai jissay hum ney apney pass say maqool rozi dey rakhi hai. Kiya yeh sab barabar ho saktay hain? Allah Taalaa hi kay liye sab tareef hai bulkay inn mein say aksar nahi jantay.
और अल्लाह मिसाल बयान करता है एक ग़ुलाम ममलूक की जो किसी चीज़ पर इख़्तियार नहीं रखता, और एक शख़्स जिसको हमने अपने पास से अच्छा रिज़्क़ दिया है पस वे उसमें से छुपा कर और ज़ाहिर करके ख़र्च करता है, क्या ये बराबर होंगे, सारी तारीफ़ अल्लाह के लिए है, लेकिन अकसर लोग नहीं जानते।
There is no blame upon you for that to which you [indirectly] allude concerning a proposal to women or for what you conceal within yourselves. Allah knows that you will have them in mind. But do not promise them secretly except for saying a proper saying. And do not determine to undertake a marriage contract until the decreed period reaches its end. And know that Allah knows what is within yourselves, so beware of Him. And know that Allah is Forgiving and Forbearing.
Tum per iss mein koi gunah nahi kay tum isharatan kanayatan inn aurton say nikkah ki babat kaho ya apney dil mein posheeda irada kero Allah Taalaa ko ilm hai kay kay tum zaroor inn ko yaad kero gay lekin tum inn say posheeda waday na ker lo haan yeh aur baat hai kay tum bhali baat bola kero aur aqad nikkah jab tak kay iddat khatam na hojaye pukhta na kero jaan rakho kay Allah Taalaa ko tumharay dilon ki baaton ka bhi ilm hai tum uss say khof khatay raha kero aur yeh bhi jaan rakho kay Allah Taalaa bakshish aur hilm wala hai.
और कोई गुनाह नहीं तुम पर इस बात में कि उन औरतों को पैग़ाम देने में कोई बात इशारे में कह दो या अपने दिल में छुपाए रखो, अल्लाह को मालूम है कि तुम उनका तज़किरा ज़रूर करोगे, मगर छुप कर उनसे कोई वादा न करो सिवाए इसके कि तुम उनसे कोई मुनासिब बात कह दो, और निकाह के रिश्ते का इरादा उस वक़्त तक पक्का न करो जब तक मुक़र्ररह मुद्दत अपनी इंतिहा को न पहुँच जाए, और जान लो कि अल्लाह जानता है जो कुछ तुम्हारे दिलों में है, पस उससे डरो और याद रखो कि अल्लाह बहुत बख़्शने वाला, बड़ा बुर्दबार है।
Have you not considered that Allah knows what is in the heavens and what is on the earth? There is in no private conversation three but that He is the fourth of them, nor are there five but that He is the sixth of them - and no less than that and no more except that He is with them [in knowledge] wherever they are. Then He will inform them of what they did, on the Day of Resurrection. Indeed Allah is, of all things, Knowing.
Kiya tu ney nahi dekha kay Allah aasmanon ki aur zamin ki her cheez say waqif hai. Teen aadmiyon ki sirgoshi nahi hoti magar Allah unn ka chotha hota hai na paanch ki magar unn ka chatha ( 6th ) woh hota hai aur na iss say kum ki aur na ziyada ki magar woh sath hi hota hai jahan bhi woh hon phir qayamat kay din unhen unn ka aemaal say aagah keray ga be-shak Allah Taalaa her cheez say waqif hai.
क्या तुम ने इसको नहीं देखा कि अल्लाह जानता है जो कुछ आकाशों में है और जो कुछ धरती में है। कभी ऐसा नहीं होता कि तीन आदमियों की गुप्त वार्ता हो और उन के बीच चौथा वह (अल्लाह) न हो। और न पाँच आदमियों की होती है जिस में छठा वह न होता हो। और न इससे कम की कोई होती है और न इससे अधिक की भी, किन्तु वह उन के साथ होता है, जहाँ कहीं भी वे हो; फिर जो कुछ भी उन्होंने किया होगा क़ियामत के दिन उस से वह उन्हें अवगत करा देगा। निश्चय ही अल्लाह को हर चीज़ का ज्ञान है
Call upon your Lord in humility and privately; indeed, He does not like transgressors.
Tum log apney perwerdigar say dua kiya kero girr gira kerkay bhi aur chupkay chupkay bhi. Waqaee Allah Taalaa unn logon ko na pasand kerta hai jo hadd say nikal jayen.
अपने रब को पुकारो गिड़गिड़ाते हुए और चुपके-चुपके, यक़ीनन वह हद से गुज़रने वालों को पसंद नहीं करता।