Or that He would not seize them during their [usual] activity, and they could not cause failure?
Ya unhen chaltay phirtay pakar ley. Yeh kissi soorat mein Allah Taalaa ko aajiz nahi ker saktay.
या उनको चलते-फिरते पकड़ ले तो वे लोग अल्लाह को आजिज़ नहीं कर सकते।
And it is He who has made the night for you as clothing and sleep [a means for] rest and has made the day a resurrection.
Aur wohi hai jiss ney raat ko tumharay liye parda banaya aur neend ko rahat banaee aur din ko uth kharay honey ka waqt.
वही है जिस ने रात्रि को तुम्हारे लिए वस्त्र और निद्रा को सर्वथा विश्राम एवं शान्ति बनाया और दिन को जी उठने का समय बनाया
And of His signs is your sleep by night and day and your seeking of His bounty. Indeed in that are signs for a people who listen.
Aur ( bhi ) uss ki ( qudrat ki ) nishani tumhari raton aur din ki neend mein hai aur uss kay fazal ( yani rozi ) ko tumhara talash kerna bhi hai. Jo log ( kaan laga ker ) sunnay kay aadi hain unn kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.
और उस की निशानियों में से तुम्हारा रात और दिन का सोना और तुम्हारा उस के अनुग्रह की तलाश करना भी है। निश्चय ही इसमें निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो सुनते हैं
Allah takes the souls at the time of their death, and those that do not die [He takes] during their sleep. Then He keeps those for which He has decreed death and releases the others for a specified term. Indeed in that are signs for a people who give thought.
Allah hi roohon ko unn ki mot kay waqt aur jin ki mot nahi aai unhen unn ki neend kay waqt qabz ker leta hai phir jin per mot ka hukum lag chuka hai unhen to rok leta hai aur doosri ( roohon ) ko aik muqarrar waqt kay liye chor deta hai. Ghor kerney walon kay liye iss mein yaqeenan boht si nishaniyan hain.
अल्लाह ही प्राणों को उन की मृत्यु के समय ग्रस्त कर लेता है और जिस की मृत्यु नहीं आई उसे उस की निद्रा की अवस्था में (ग्रस्त कर लेता है) । फिर जिस की मृत्यु का फ़ैसला कर दिया है उसे रोक रखता है। और दूसरों को एक नियत समय तक के लिए छोड़ देता है। निश्चय ही इसमें कितनी ही निशानियाँ हैं सोच-विचार करने वालों के लिए
They used to sleep but little of the night,
Woh raat ko boht kum soya kertay thay.
रातों को थोड़ा ही सोते थे,
Have they not seen how many generations We destroyed before them which We had established upon the earth as We have not established you? And We sent [rain from] the sky upon them in showers and made rivers flow beneath them; then We destroyed them for their sins and brought forth after them a generation of others.
Kiya enhon ney dekha nahi kay hum inn say pehlay kitni jamaton ko halak ker chukay hain jin ko hum ney duniya mein aisi qooat di thi kay tum ko woh qooat nahi di aur hum ney unn per khoob barishen barsaeen aur hum ney unn kay neechay say nehren jari kin. Phir hum ney unn ko unn kay gunahon kay sabab halak ker daala aur unn kay baad doosri jamaton ko peda ker diya.
क्या उन्होंने नहीं देखा कि हमने उनसे पहले कितनी क़ौमों को हलाक कर दिया, उनको हमने ज़मीन में उतनी ताक़त दी थी जितनी तुमको नहीं दी और हमने उन पर आसमान से ख़ूब बारिश बरसाई, और हमने नहरें जारी कीं जो उनके नीचे बहती थीं फिर हमने उनको उनके गुनाहों की वजह से हलाक कर डाला और उनके बाद हमने दूसरी क़ौमों को उठाया।
Then, did the people of the cities feel secure from Our punishment coming to them at night while they were asleep?
Kiya phir bhi inn bastiyon kay rehney walay iss baat say bey fikar ho gaye hain kay unn per humara azab shab kay waqt aa paray jiss waqt woh sotay hon.
फिर क्या बस्ती वाले उससे बे-ख़ौफ़ हो गए हैं कि उन पर हमारा अज़ाब रात के वक़्त आ पड़े जबकि वे सोते हों।
And made your sleep [a means for] rest
Aur hum nay tumhari nend ko aram ka sabab banaya
और तुम्हारी नींद को थकन दूर करने वाली बनाया,