Indeed, Allah is the cleaver of grain and date seeds. He brings the living out of the dead and brings the dead out of the living. That is Allah ; so how are you deluded?
Be-shak Allah Taalaa daaney ko aur guthliyon ko phaarney wala hai woh jaandaar ko bey jaan say nikal laata hai aur woh bey jaan ko jaandaar say nikalney wala hai Allah Taalaa yeh hai so tum kahan ultay chalay jarahey ho.
बेशक अल्लाह दाने और गुठली को फाड़ने वाला है, वह जानदार को बेजान से निकालता है और वही बेजान को जानदार से निकालने वाला है, वही तुम्हारा अल्लाह है फिर तुम किधर बहके चले जा रहे हो?
[He is] the cleaver of daybreak and has made the night for rest and the sun and moon for calculation. That is the determination of the Exalted in Might, the Knowing.
Woh subha ka nikalney wala hai aur uss ney raat ko rahat ki cheez banaya hai aur sooraj aur chand ko hisab say rakha hai. Yeh thehraee baat hai aisi zaat ki jo kay qadir hai baray ilm wala hai.
वही निकालने वाला है सुबह का और उसने रात को सुकून का वक़्त बनाया और सूरज और चाँद को हिसाब से रखा है, यह मुक़र्रर किया हुआ है बड़े ग़ल्बे वाले, बड़े इल्म वाले की तरफ़ से।
And it is He who placed for you the stars that you may be guided by them through the darknesses of the land and sea. We have detailed the signs for a people who know.
Aur woh aisay hai jiss ney sitaron ko peda kiya takay tum unn kay zariye say andheron mein khushki mein aur darya mein bhi raasta maloom ker sako. Be-shak hum ney dalaeel khoob khol khol ker biyan ker diye hain unn logon kay liye jo khabar rakhtay hain.
और वही है जिसने तुम्हारे लिए सितारे बनाए; ताकि तुम उनके ज़रिए से ख़ुश्की और तरी के अंधेरों में राह पाओ, बेशक हमने दलीलों को खोलकर बयान कर दिया है उन लोगों के लिए जो जानना चाहते हैं।
And it is He who produced you from one soul and [gave you] a place of dwelling and of storage. We have detailed the signs for a people who understand.
Aur woh aisa hai jiss ney tum ko aik shaks say peda kiya phir aik jagah ziyada rehney ki hai aur aik jagah chanday rehney ki be-shak hum ney dalaeel khoob khoob khol khol ker biyan ker diye unn logon kay liye jo samajh boojh rakhtay hain.
और वही है जिसने तुमको पैदा किया एक जान से फिर हर एक के लिए एक ठिकाना है और हर एक के लिए उसके सौंपे जाने की जगह है, हमने दलीलों को खोलकर बयान कर दिया है उन लोगों के लिए जो समझते हैं।
And it is He who sends down rain from the sky, and We produce thereby the growth of all things. We produce from it greenery from which We produce grains arranged in layers. And from the palm trees - of its emerging fruit are clusters hanging low. And [We produce] gardens of grapevines and olives and pomegranates, similar yet varied. Look at [each of] its fruit when it yields and [at] its ripening. Indeed in that are signs for a people who believe.
Aur woh aisa hai jiss ney aasman say pani barsaya phir hum ney uss kay zariye say her qisam kay nabaat ko nikala phir hum ney uss say sabz shaakh nikali kay uss say hum upper talay daaney charhay huye nikaltay hain aur khujoor kay darakhton say yani unn kay guphay mein say khoshay hain jo neechay ko latkay jatay hain aur angooron kay baagh aur zaitoon aur anaar kay baaz aik doosray say miltay jultay hotay hain aur kuch aik doosray say miltay jultay nahi hotay. Her aik kay phal ko dekho jab woh phalta hai aur iss kay pakney ko dekho iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.
और वही है जिसने आसमान से पानी बरसाया फिर हमने उससे निकाली उगने वाली हर चीज़ फिर हमने उससे सरसब्ज़ शाख़ निकाली जिससे हम तह-ब-तह दाने पैदा कर देते हैं, और खजूर के गाभे में से फल के गुच्छे झुके हुए और बाग़ अंगूर के और ज़ैतून के और अनार के आपस में मिलते-जुलते और जुदा-जुदा भी, हर एक फल को देखो जब वह फलता है और उसके पकने को देखो जब वह पकता है, बेशक इनके अंदर निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो ईमान की तलब रखते हैं।
But they have attributed to Allah partners - the jinn, while He has created them - and have fabricated for Him sons and daughters without knowledge. Exalted is He and high above what they describe.
Aur logon ney shayateen ko Allah Taalaa ko shareek qarar dey rakha hai halankay inn logon ko Allah hi ney peda kiya hai aur inn logon ney Allah kay haq mein betay aur betiyan bila sanad tarash rakhi hain aur woh pak aur bartar hai unn baaton say jo yeh kertay hain.
और उन्होंने जिन्नात को अल्लाह का शरीक क़रार दिया हालाँकि उसी ने उनको पैदा किया है, और बग़ैर सोचे-समझे उसके लिए बेटे और बेटियाँ तराशीं, पाक और बरतर है वह ज़ात उन बातों से जो ये बयान करते हैं।