And it is He who created the heavens and earth in truth. And the day He says, "Be," and it is, His word is the truth. And His is the dominion [on] the Day the Horn is blown. [He is] Knower of the unseen and the witnessed; and He is the Wise, the Acquainted.
Aur wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko bar haq peda kiya aur jiss waqt Allah Taalaa itna keh dey ga tu ho ja bus woh ho paray ga. Uss ka kehna haq aur ba-asar hai. Aur sari hakoomat khaas ussi ki hogi jab kay soor mein phoonk maari jayegi woh jannay wala hai posheeda cheezon ka aur zahir cheezon ka aur wohi hai bari hikmat wala poori khabar rakhney wala.
और वही है जिसने आसमानों और ज़मीन को हक़ के साथ पैदा किया है और जिस दिन वह कहेगा कि हो जा तो वह हो जाएगा, उसकी बात हक़ है और उसी की हुकूमत होगी उस रोज़ जब सूर फूँका जाएगा, वह छुपी हुई और खुली हुई बातों का जानने वाला और हिकमत वाला, ख़बर रखने वाला है।
They will make excuses to you when you have returned to them. Say, "Make no excuse - never will we believe you. Allah has already informed us of your news. And Allah will observe your deeds, and [so will] His Messenger; then you will be taken back to the Knower of the unseen and the witnessed, and He will inform you of what you used to do."
Yeh log tumharay samney uzur paish keren gay jab tum inn kay pass wapis jaogay. Aap keh dijiye kay yeh uzur paish mat kero hum kabhi tum ko sacha na samjhen gay Allah Taalaa hum ko tumhari khabar dey chuka hai aur aaenda bhi Allah aur uss ka rasool tumhari kaar guzari dekh len gay phir aisay kay pass lotaye jaogay jo posheeda aur zahir sab ka jannay wala hai phir woh tum ko bata dey ga jo kuch tum kertay thay.
तुम जब उनकी तरफ़ पलटोगे तो वे तुम्हारे सामने आज़ार पेश करेंगे, कह दीजिए कि बहाने न बनाओ, हम हरगिज़ तुम्हारी बात न मानेंगे, बेशक अल्लाह ने हमको तुम्हारे हालात बता दिए हैं, अब अल्लाह और उसका रसूल तुम्हारे अमल को देखेंगे फिर तुम उसकी तरफ़ लोटाए जाओगे जो खुले और छुपे का जानने वाला है, पस वह तुमको बता देगा जो कुछ तुम कर रहे थे।
And say, "Do [as you will], for Allah will see your deeds, and [so, will] His Messenger and the believers. And you will be returned to the Knower of the unseen and the witnessed, and He will inform you of what you used to do."
Keh dijiye kay tum amal kiye jao tumharay amal Allah khud dekh ley ga aur uss ka rasool aur eman walay ( bhi dekh len gay ) aur zaroor tum ko aisay kay pass jana hai jo tamam chupi aur khuli cheezon ka jannay wala hai. So woh tum ko tumhara sab kiya hua batla dey ga.
कह दीजिए कि अमल करो, अल्लाह और उसके रसूल और अहले-ईमान तुम्हारे अमल को देखेंगे, और तुम जल्द उसके पास लौटाए जाओगे जो तमाम खुले और छुपे को जानता है पस वह तुमको बता देगा जो कुछ तुम कर रहे थे।
[He is] Knower of the unseen and the witnessed, the Grand, the Exalted.
Zahir-o-posheeda ka woh aalim hai ( sab say ) bara aur ( sab say ) buland-o-bala.
वह पोशीदा और ज़ाहिर को जानने वाला है, सबसे बड़ा और (सबसे) बुलंद व बाला है।
[He is] Knower of the unseen and the witnessed, so high is He above what they associate [with Him].
Woh ghaeeb hazir ka jannay wala hai aur jo shirk yeh kertay hain uss say bala tar hai.
जानने वाला है छुपे और खुले का। सो वह उच्चतर है वह शिर्क से जो वे करते हैं!
That is the Knower of the unseen and the witnessed, the Exalted in Might, the Merciful,
Yehi hai chupay khullay ka jannay wala zabardast ghalib boht hi meharban.
वही है परोक्ष और प्रत्यक्ष का जानने वाला अत्यन्त प्रभुत्वशाली, दयावान है
Say, "O Allah , Creator of the heavens and the earth, Knower of the unseen and the witnessed, You will judge between your servants concerning that over which they used to differ."
Aap keh dijiye! Kay aey Allah ! Aasmano aur zamin kay peda kerney walay chupay khulay ka jannay walay tu hi apnay bandon mein inn umoor ka faisla farmaye ga jin mein who ulajh rahey thay.
कहो, "ऐ अल्लाह, आकाशो और धरती को पैदा करने वाले; परोक्ष और प्रत्यक्ष के जानने वाले! तू ही अपने बन्दों के बीच उस चीज़ का फ़ैसला करेगा, जिस में वे विभेद कर रहे हैं।"
He is Allah , other than whom there is no deity, Knower of the unseen and the witnessed. He is the Entirely Merciful, the Especially Merciful.
Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi chupay khulay ka jannay wala meharban aur reham kerney wala.
वही अल्लाह है जिस के सिवा कोई पूज्य-प्रभु नहीं, परोक्ष और प्रत्यक्ष को जानता है। वह बड़ा कृपाशील, अत्यन्त दयावान है
Say, "Indeed, the death from which you flee - indeed, it will meet you. Then you will be returned to the Knower of the unseen and the witnessed, and He will inform you about what you used to do."
Keh dijiye kay jiss maut say tum bhagtay phirtay ho woh to tumhen phonch ker rahey gi pohir tum sab chupay khulay kay jannay walay ( Allah ) ki taraf lotaye jao gay aur woh tumhen tumharay kiye huye tamam kaam batla dey ga.
कह दो, "मृत्यु जिस से तुम भागते हो, वह तो तुम्हें मिलकर रहेगी, फिर तुम उस की ओर लौटाए जाओगे जो छिपे और खुले का जानने वाला है। और वह तुम्हें उस से अवगत करा देगा जो कुछ तुम करते रहे होगे।" -
Knower of the unseen and the witnessed, the Exalted in Might, the Wise.
Woh posheeda aur zahir ka jannay wala hai zabardast hikmat wala ( hai ) .
परोक्ष और प्रत्यक्ष को जानता है, प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है