And those who emigrated for the cause of Allah and then were killed or died - Allah will surely provide for them a good provision. And indeed, it is Allah who is the best of providers.
Aur jin logon ney raah-e-khuda mein tarq-e-watan kiya phir woh shaheed ker diye gaye ya apni maut marr gaye Allah Taalaa unhen behtareen rizq ata farmaye ga. Aur be-shak Allah Taalaa rozi denay walon mein sab say behtar hai.
और जिन लोगों ने अल्लाह के मार्ग में घरबार छोड़ा, फिर मारे गए या मर गए, अल्लाह अवश्य उन्हें अच्छी आजीविका प्रदान करेगा। और निस्संदेह अल्लाह ही उत्तम आजीविका प्रदान करने वाला है
Or do you, [O Muhammad], ask them for payment? But the reward of your Lord is best, and He is the best of providers.
Kiya aap inn say koi ujrat chahatay hain? Yaad rakhiye kay aap kay rab ki ujrat boht hi behtar hai aur woh sab say behtar rozi rasan hai.
या तुम उन से कुछ शुल्क माँग रहे हो? तुम्हारे रब का दिया ही उत्तम है। और वह सबसे अच्छी रोज़ी देने वाला है
Say, "Indeed, my Lord extends provision for whom He wills of His servants and restricts [it] for him. But whatever thing you spend [in His cause] - He will compensate it; and He is the best of providers."
Keh dijiye! kay mera rab apnay bandon mein jiss kay liye chahaye rozi kushada kerta hai aur jiss kay liye chahata hai tang ker deta hai tum jo kuch bhi Allah ki raah mein kharach kero gay Allah uss ka ( poora poora ) badla dey ga aur woh sab say behtar rozi denay wala hai.
कह दो, "मेरा रब ही है जो अपने बन्दों में से जिस के लिए चाहता है रोज़ी कुशादा कर देता है और जिस के लिए चाहता है नपी-तुली कर देता है। और जो कुछ भी तुम ने ख़र्च किया, उस की जगह वह तुम्हें और देगा। वह सबसे अच्छा रोज़ी देने वाला है।"
Said Jesus, the son of Mary, "O Allah , our Lord, send down to us a table [spread with food] from the heaven to be for us a festival for the first of us and the last of us and a sign from You. And provide for us, and You are the best of providers."
Essa ibn-e-marium ney dua ki kay aey Allah aey humaray perwerdigar! Hum per aasman say khana nazil farma! Kay woh humara liye yaani hum mein jo awwal hain aur jo baad kay hain sabb kay liye aik khushi ki baat ho jaye aur teri taraf say aik nishani hojaye aur tu hum ko rizq ata farma dey aur tu sab ata kerney walon say acha hai.
ईसा बिन मरियम ने दुआ कीः ऐ अल्लाह हमारे रब! आप आसमान से हम पर एक दस्तरख़्वान उतारिए जो हमारे लिए एक ईद बन जाए हमारे अगलों के लिए और हमारे पिछलों के लिए और आप की तरफ़ से एक निशानी हो, और हमें अता करिए आप ही बेहतरीन अता फ़रमाने वाले हैं।
But when they saw a transaction or a diversion, [O Muhammad], they rushed to it and left you standing. Say, "What is with Allah is better than diversion and than a transaction, and Allah is the best of providers."
Aur jab koi soda biktay dekhen ya koi tamasha nazar aajaye to uss ki taraf dortay jatay hain aur aap ko khara hi chor detay hain aap keh dijiye kay Allah kay pass jo hai woh khel aur tijarat say behtar hai. Aur Allah Taalaa behtareen rozi rasan hai.
किन्तु जब वे व्यापार और खेल-तमाशा देखते हैं तो उस की ओर टूट पड़ते हैं और तुम्हें खड़ा छोड़ देते हैं। कह दो, "जो कुछ अल्लाह के पास है वह तमाशे और व्यापार से कहीं अच्छा है। और अल्लाह सबसे अच्छा आजीविका प्रदान करने वाला है।"