Allah presents an example: a slave [who is] owned and unable to do a thing and he to whom We have provided from Us good provision, so he spends from it secretly and publicly. Can they be equal? Praise to Allah ! But most of them do not know.
Allah Taalaa aik misal biyan farmata hai kay aik ghulam hai doosray ki milkiyat ka jo kissi baat ka ikhtiyar nahi rakhta aur aik aur shaks hai jissay hum ney apney pass say maqool rozi dey rakhi hai. Kiya yeh sab barabar ho saktay hain? Allah Taalaa hi kay liye sab tareef hai bulkay inn mein say aksar nahi jantay.
और अल्लाह मिसाल बयान करता है एक ग़ुलाम ममलूक की जो किसी चीज़ पर इख़्तियार नहीं रखता, और एक शख़्स जिसको हमने अपने पास से अच्छा रिज़्क़ दिया है पस वे उसमें से छुपा कर और ज़ाहिर करके ख़र्च करता है, क्या ये बराबर होंगे, सारी तारीफ़ अल्लाह के लिए है, लेकिन अकसर लोग नहीं जानते।
Who break the covenant of Allah after contracting it and sever that which Allah has ordered to be joined and cause corruption on earth. It is those who are the losers.
Jo log Allah Taalaa kay mazboot ehad ko tor detay hain aur Allah Taalaa ney jin cheezon kay jorney ka hukum diya hai unhen kaattay aur zamin mein fasaad phelatay hain yehi log nuksan uthaney walay hain.
जो अल्लाह के अहद को उसके बांधने के बाद तोड़ते हैं, और उस चीज़ को तोड़ते हैं जिसको अल्लाह ने जोड़ने का हुक्म दिया है और ज़मीन में बिगाड़ पैदा करते हैं, यही लोग नुक़सान उठाने वाले हैं।
And establish prayer and give zakah and obey the Messenger - that you may receive mercy.
Namaz ki pabandi kero zakat ada kero aur Allah Taalaa kay rasool ki farman bardaari mein lagay raho takay tum per reham kiya jaye.
नमाज़ का आयोजन करो और ज़कात दो और रसूल की आज्ञा का पालन करो, ताकि तुम पर दया की जाए
Never will you attain the good [reward] until you spend [in the way of Allah ] from that which you love. And whatever you spend - indeed, Allah is Knowing of it.
Jab tak tum apni pasandeedah cheez say Allah Taalaa ki raah mein kharach na kero gay hergiz bhalaee na pao gay aur tum jo kharach kero ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai.
तुम हरगिज़ नेकी के मर्तबे को नहीं पहुँच सकते जब तक तुम उन चीज़ों में से ख़र्च न करो जिनको तुम महबूब रखते हो, और जो चीज़ भी तुम ख़र्च करोगे उससे अल्लाह बाख़बर है।
Believe in Allah and His Messenger and spend out of that in which He has made you successors. For those who have believed among you and spent, there will be a great reward.
Allah per aur uss kay raool per eman ley aao aur uss maal mein say kharch kero jiss mein Allah ney tumhen doosron ka janasheen banaya hai pus jo tum mein say eman leyen aur kheraat keren unhen boht bara sawab milay ga.
ईमान लाओ अल्लाह और उस के रसूल पर और उस में से ख़र्च करो जिस का उस ने तु्म्हें अधिकारी बनाया है। तो तुम में से जो लोग ईमान लाए और उन्होंने ख़र्च किया, उन के लिए बड़ा प्रतिदान है
And decree for us in this world [that which is] good and [also] in the Hereafter; indeed, we have turned back to You." [ Allah ] said, "My punishment - I afflict with it whom I will, but My mercy encompasses all things." So I will decree it [especially] for those who fear Me and give zakah and those who believe in Our verses -
Aur hum logon kay naam duniya mein bhi nek haali likh dey aur aakhirat mein bhi hum teri taraf rujoo kertay hain. Allah Taalaa ney farmaya kay mein apna azab ussi per waqey kerta hun aur meri rehmat tamam ashiya per moheet hai. To woh rehmat unn logon kay naam zaroor likhon ga jo Allah say dartay hain aur zakat detay hain aur jo humari aayaton per eman latay hain.
और आप हमारे लिए इस दुनिया में भी भलाई लिख दीजिए और आख़िरत में भी, हमने आपकी तरफ़ रुजूअ़ किया, अल्लाह ने कहाः मैं अपने अज़ाब में मुब्तला करता हूँ जिसको चाहता हूँ और मेरी रहमत शामिल है हर चीज़ को, पस मैं उसको लिख दूँगा उनके लिए जो डर रखते हैं और ज़कात अदा करते हैं और जो हमारी निशानियों पर ईमान लाते हैं।
But among the bedouins are some who believe in Allah and the Last Day and consider what they spend as means of nearness to Allah and of [obtaining] invocations of the Messenger. Unquestionably, it is a means of nearness for them. Allah will admit them to His mercy. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Aur baaz ehal-e-dehaat mein aisay bhi hain jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain aur jo kuch kharach kertay hain inn ko indallah qurb hasil honey ka zariya aur rasool ki dua ka zariya banatay hain yaad rakho kay inn kay yeh kharach kerna be-shak inn kay liye mojib-e-qurbat hai inn ko Allah Taalaa zaroor apni remat mein dakhil keray ga Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.
और देहातियों में से कुछ वे भी हैं जो अल्लाह पर और आख़िरत के दिन पर ईमान रखते हैं और जो कुछ ख़र्च करते हैं उसको अल्लाह के यहाँ क़ुर्ब का और रसूल की दुआएं लेने का ज़रिया बनाते हैं, हाँ बेशक वह उनके लिए क़ुर्ब का ज़रिया है। अल्लाह उनको अपनी रहमत में दाख़िल करेगा, यक़ीनन अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।