You will surely find the most intense of the people in animosity toward the believers [to be] the Jews and those who associate others with Allah ; and you will find the nearest of them in affection to the believers those who say, "We are Christians." That is because among them are priests and monks and because they are not arrogant.
Yaqeenan aap eman walon ka sab say ziyada dushman yahudiyon aur mushrikon ko payen gay aur eman walon say sab say ziyada dosti kay qareeb aap yaqeenan unhen payen gay jo apney aap ko nasaara kehtay hain yeh iss liye kay inn mein ulama aur ibadat kay liye gosha nasheen afraad paye jatay hain aur iss waja say kay woh takabbur nahi kertay.
ईमान वालों के साथ दुश्मनी में आप सबसे बढ़कर यहूद और मुशरिकीन को पाओगे, और ईमान वालों के साथ दोस्ती में आप सबसे ज़्यादा उन लोगों को पाओगे जो अपने आपको नसारा कहते हैं, यह इसलिए कि उनमें आलिम और राहिब हैं और इसलिए कि वे तकब्बुर नहीं करते।
Indeed, those who are near your Lord are not prevented by arrogance from His worship, and they exalt Him, and to Him they prostrate.
Yaqeenan jo teray rab kay nazdeek hain woh uss ki ibadat say takabbur nahi kertay aur uss ki paki biyan kertay hain aur uss ko sajda kertay hain.
जो (फ़रिश्ते) आपके रब के पास हैं वह उसकी इबादत से तकब्बुर नहीं करते और वे उसकी पाक ज़ात को याद करते हैं और उसी को सज्दा करते हैं।
And to Allah prostrates whatever is in the heavens and whatever is on the earth of creatures, and the angels [as well], and they are not arrogant.
Yaqeenan aasman-o-zamin kay kul jandar aur tamam farishtay Allah Taalaa kay samney sajday kertay hain aur zara bhi takabbur nahi kertay.
और अल्लाह ही को सज्दा करती हैं जितनी चीज़ें चलने वाली हैं आसमानों में और ज़मीन में और फ़रिश्ते भी और वे तकब्बुर नहीं करते।
Only those believe in Our verses who, when they are reminded by them, fall down in prostration and exalt [ Allah ] with praise of their Lord, and they are not arrogant.
Humari aayaton per wohi eman latay hain jinhen jab kabhi inn say naseehat ki jati hai to woh sajday mein gir partay hain aur apnay rab ki hamd kay sath uss ki tasbeeh parhtay hain aur takabbur nahi kertay hain.
हमारी आयतों पर तो बस वही लोग ईमान लाते हैं, जिन्हें उन के द्वारा जब याद दिलाया जाता है तो सजदे में गिर पड़ते हैं और अपने रब का गुणगान करते हैं और घमंड नहीं करते
Indeed they, when it was said to them, "There is no deity but Allah ," were arrogant
Yeh woh ( log ) hain kay jab inn say kaha jata hai kay Allah kay siwa koi mabood nahi to yeh sirkashi kertay thay.
उन का हाल यह था कि जब उन से कहा जाता कि "अल्लाह के सिवा कोई पूज्य-प्रभु नहीं है।" तो वे घमंड में आ जाते थे
And your Lord says, "Call upon Me; I will respond to you." Indeed, those who disdain My worship will enter Hell [rendered] contemptible.
Aur tumharay rab ka farman ( sirzad ho chuka ) hai kay mujh say dua kero mein tumhari duaon ko qabool keroon ga yaqeen mano kay jo log meri ibadat say khudsari kertay hain woh abhi abhi zaleel hoker jahannum mein phonch jayen gay.
तुम्हारे रब ने कहा कि "तुम मुझे पुकारो, मैं तुम्हारी प्रार्थनाएँ स्वीकार करूँगा।" जो लोग मेरी बन्दगी के मामले में घमंड से काम लेते हैं निश्चय ही वे शीघ्र ही अपमानित होकर जहन्नम में प्रवेश करेंगे