For them are good tidings in the worldly life and in the Hereafter. No change is there in the words of Allah . That is what is the great attainment.
Inn kay liye dunyawi zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi khushkhabri hai Allah Taalaa ki baaton mein kuch farq hua nahi kerta. Yeh bari kaamyabi hai.
उनके लिए ख़ुश-ख़बरी है दुनिया की ज़िंदगी में और आख़िरत में भी, अल्लाह की बातों में कोई तबदीली नहीं, यही बड़ी कामयाबी है।
And the reward of the Hereafter is better for those who believed and were fearing Allah .
Yaqeenan eman daron aur perhezgaron ka ukhrawi ajar boht hi behtar hai.
और आख़िरत का अज्र कहीं ज़्यादा बढ़ कर है ईमान और तक़वे वालों के लिए।
Allah keeps firm those who believe, with the firm word, in worldly life and in the Hereafter. And Allah sends astray the wrongdoers. And Allah does what He wills.
Eman walon ko Allah Taalaa pakki baat kay sath mazboot rakhta hai duniya ki zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi haan na insaf logon ko Allah behka deta hai aur Allah jo chahaye ker guzray.
अल्लाह वालों को एक पक्की बात से दुनिया और आख़िरत में मज़बूत करता है, और अल्लाह ज़ालिमों को भटका देता है, और अल्लाह करता है जो वह चाहता है।
And when it is said to them, "Believe as the people have believed," they say, "Should we believe as the foolish have believed?" Unquestionably, it is they who are the foolish, but they know [it] not.
Aur jab inn say kaha jata hai kay aur logon ( yani sahaba ) ki tarah tum bhi eman lao to jawab detay hain kay kiya hum aisa eman layen jaisa bey waqoof laye hain khabardaar hojao! yaqeenan yehi bey waqoof hain lekin jantay nahi.
और जब उनसे कहा जाता है कि तुम भी उसी तरह ईमान ले आओ जैसे दूसरे लोग ईमान लाए हैं तो वे कहते हैं कि क्या हम भी उसी तरह ईमान ले आएं जैसे बेवक़ूफ़ लोग ईमान लाए हैं ख़ूब अच्छी तरह सुन लो कि यही लोग बेवक़ूफ़ हैं लेकिन वे यह बात नहीं जानते।
So Allah gave them the reward of this world and the good reward of the Hereafter. And Allah loves the doers of good.
Allah Taalaa ney unehn duniya ka sawab bhi diya aur aakhirat kay sawab ki khoobi bhi ata farmaee aur Allah Taalaa nek logon say mohabbat kerta hai.
पस अल्लाह ने उनको दुनिया का बदला भी दिया और आख़िरत का अच्छा बदला भी, और अल्लाह नेकी करने वालों को दोस्त रखता है।
So let those fight in the cause of Allah who sell the life of this world for the Hereafter. And he who fights in the cause of Allah and is killed or achieves victory - We will bestow upon him a great reward.
Pus jo log duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay baich chukay hain unhen Allah Taalaa ki raah mein jihad kerna chahaiye aur jo shaks Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay huye shahdat paa ley ya ghalib aajaye yaqeenan hum ussay bara sawab inayat farmayen gay.
पस चाहिए कि लड़ें अल्लाह की राह में वे लोग जो आख़िरत के बदले दुनिया की ज़िंदगी को बेच देते हैं, और जो शख़्स अल्लाह की राह में लड़े फिर मारा जाए या ग़ालिब आ जाए तो हम उसको बड़ा अज्र देंगे।
And the worldly life is not but amusement and diversion; but the home of the Hereafter is best for those who fear Allah , so will you not reason?
Aur dunyawi zindagi to kuch bhi nahi ba-juz lahoo-o-laab kay. Aur daar-e-aakhirat mutaqqiyon kay liye behtar hai. Kiya tum sochtay samajhtay nahi ho.
और दुनिया की ज़िंदगी तो बस एक खेल-तमाशा है, और आख़िरत का घर बेहतर है उन लोगों के लिए जो तक़वा रखते हैं, क्या तुम नहीं समझते।
And there followed them successors who inherited the Scripture [while] taking the commodities of this lower life and saying, "It will be forgiven for us." And if an offer like it comes to them, they will [again] take it. Was not the covenant of the Scripture taken from them that they would not say about Allah except the truth, and they studied what was in it? And the home of the Hereafter is better for those who fear Allah , so will you not use reason?
Phir inn kay baad aisay log inn kay janasheen huye kay kitab ko inn say hasil kiya woh iss duniya-e-faani ka maal mataa ley letay hain aur kehtay hain kay humari zaroor maghfirat hojaye gi halankay agar inn kay pass wesa hi maal mataa aaney lagay to iss ko bhi ley len gay. Kiya inn say iss kitab kay iss mazmoon ka ehad nahi liya gaya kay Allah ki taraf ba-juz haq baat kay aur kissi baat ki nisbat na keren aur enhon ney iss kitab mein jo kuch tha uss ko parh liya aur aakhirat wala ghar unn logon kay liye behtar hai jo taqwa rakhtay hain phri kiya tum nahi samajhtay.
फिर उनके पीछे ना-अहल लोग आए जो किताब के वारिस बने, वे इसी दुनिया के सामान लेते हैं और कहते हैं कि हम यक़ीनन बख़्श दिए जाएंगे, और अगर ऐसा ही सामान उनके सामने फिर आए तो वे उसको ले लेंगे, क्या उनसे किताब में इसका अहद नहीं लिया गया है कि अल्लाह के नाम पर हक़ के सिवा कोई और बात न कहें, और उन्होंने पढ़ा है जो कुछ उसमें लिखा है, और आख़िरत का घर बेहतर है डरने वालों के लिए, क्या तुम समझते नहीं?