Or that He would not seize them gradually [in a state of dread]? But indeed, your Lord is Kind and Merciful.
Ya unhen dara dhamka ker pakar ley pus yaqeenan tumhara perwerdigar aala shafqat aur intehaee reham wala hai.
या उनको अंदेशे की हालत में पकड़ ले, पस तुम्हारा रब मेहरबान है, रहमत वाला है।
And thus we have made you a just community that you will be witnesses over the people and the Messenger will be a witness over you. And We did not make the qiblah which you used to face except that We might make evident who would follow the Messenger from who would turn back on his heels. And indeed, it is difficult except for those whom Allah has guided. And never would Allah have caused you to lose your faith. Indeed Allah is, to the people, Kind and Merciful.
Hum ney issi tarah tumhen aadil ummat banaya hai takay tum logon per gawah hojao aur rasool ( PBUH ) tum per gawah hojayen jiss qiblay per tum pehlay say thay ussay hum ney iss liye muqarrar kiya tha kay hum jaan len kay rasool ka sacha tabey daar kaun hai aur kaun hai jo apni aeyrhiyon kay ball palat jata hai go yeh kaam mushkil hai magar jinhen Allah ney hidayat di hai ( unn per koi mushkil nahi ) Allah Taalaa tumharay aemaal zaya na keray ga Allah Taalaa logon kay sath shafqat aur meharbani kerney wala hai.
और इस तरह हमने तुमको बीच की उम्मत बना दिया, ताकि तुम गवाह रहो लोगों पर और रसूल रहे तुम पर गवाह, और जिस क़िबले पर तुम थे हमने उसको सिर्फ़ इसलिए मुतअय्यन किया था ताकि हम जान लें कि कौन रसूल की पैरवी करता है और कौन उससे उलटे पाँव फिर जाता है, और बेशक यह बात भारी है मगर उन लोगों पर जिनको अल्लाह ने हिदायत दी, और अल्लाह ऐसा नहीं कि तुम्हारे ईमान को ज़ाया कर दे, बेशक अल्लाह लोगों के साथ शफ़क़त करने वाला मेहरबान है।
He has sent down upon you, [O Muhammad], the Book in truth, confirming what was before it. And He revealed the Torah and the Gospel.
Jiss ney aap per haq kay sath iss kitab ko nazil farmaya hai jo apney say pehlay ki tasdeeq kerney wali hai ussi ney iss say pehlay toraat aur injeel ko utara tha.
उसने तुम पर किताब उतारी हक़ के साथ, सच्चा करने वाली उस चीज़ को जो उसके आगे है और उसने तौरात और इंजील उतारी।
Allah is Subtle with His servants; He gives provisions to whom He wills. And He is the Powerful, the Exalted in Might.
Allah Taalaa apnay bandon per bara hi lutf kerney wala hai jissay chahata hai kushada rozi deta hai aur woh bari taqat baray ghalbay wala hai.
अल्लाह अपने बन्दों पर अत्यन्त दयालु है। वह जिसे चाहता है रोज़ी देता है। वह शक्तिमान, अत्यन्त प्रभुत्वशाली है
It is He who sends down upon His Servant [Muhammad] verses of clear evidence that He may bring you out from darknesses into the light. And indeed, Allah is to you Kind and Merciful.
Woh ( ALLAH ) hi hai jo apney banday per wazeh aayaten utaarta hai takay who tumhen andheron say noor ki taraf ley jaye yaqeenan ALLAH taalaa tum per narmi kernay wala reham kernay wala hai.
वही है जो अपने बन्दों पर स्पष्ट आयतें उतार रहा है, ताकि वह तुम्हें अंधकारों से प्रकाश की ओर ले आए। और वास्तविकता यह है कि अल्लाह तुम पर अत्यन्त करुणामय, दयावान है
Whatever is in the heavens and whatever is on the earth exalts Allah , and He is the Exalted in Might, the Wise.
Aasmanon aur zamin ki her cheez Allah Taalaa ki paki biyan kerti hai aur woh ghalib ba hikmat hai.
अल्लाह की तसबीह की है हर उस चीज़ ने जो आकाशों और धरती में है, और वही प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी है
Vision perceives Him not, but He perceives [all] vision; and He is the Subtle, the Acquainted.
Uss ko to kissi ki nigah moheet nahi ho sakti aur woh sab nigahon ka moheet ho jata hai aur wohi bara bareek been ba khabar hai.
उसको निगाहें नहीं पातीं मगर वह निगाहों को पा लेता है और वह बड़ा बारीक-बीं, बड़ा बाख़बर है।
And He is the Forgiving, the Affectionate,
Wo bara bakhsish kerney wala aur bohat mohabat kernay wala hay
वह बड़ा क्षमाशील, बहुत प्रेम करने वाला है,