Degrees [of high position] from Him and forgiveness and mercy. And Allah is ever Forgiving and Merciful.
Apni taraf say martabay ki bhi aur baksish ki bhi aur rehmat ki bhi aur Allah Taalaa bakshish kerney wala aur reham kerney wala hai.
उनके लिए अल्लाह की तरफ़ से बड़े दर्जे हैं और मग़्फ़िरत और रहमत है, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Then We gave Moses the Scripture, making complete [Our favor] upon the one who did good and as a detailed explanation of all things and as guidance and mercy that perhaps in [the matter of] the meeting with their Lord they would believe.
Phir hum ney musa ( alh-e-salam ) ko kitab di thi jiss say achi tarah amal kerney walon per nemat poori ho aur sab ehkaam ki tafseel hojaye aur rehnumaee ho aur rehmat ho takay woh log apney rab kay milney per yaqeen layen.
फिर हमने मूसा (अलै॰) को किताब दी नेक काम करने वालों पर अपनी नेमत पूरी करने के लिए और हर बात की तफ़सील और हिदायत और रहमत; ताकि वे अपने रब से मुलाक़ात का यक़ीन करें।
And We had certainly brought them a Book which We detailed by knowledge - as guidance and mercy to a people who believe.
Aur hum ney inn logon kay pass aik aisi kitab phoncha di hai jiss ko hum ney apney ilm-e-kaamil say boht wazeh ker kay biyan ker diya hai woh zariya-e-hidayat aur rehmat unn logon kay liye hai jo eman laye hain.
और हम उन लोगों के पास एक ऐसी किताब ले आए हैं जिसको हमने इल्म की बुनियाद पर वाज़ेह कर दिया है हिदायत और रहमत बनाकर उन लोगों के लिए जो ईमान लाएं।
So is one who [stands] upon a clear evidence from his Lord [like the aforementioned]? And a witness from Him follows it, and before it was the Scripture of Moses to lead and as mercy. Those [believers in the former revelations] believe in the Qur'an. But whoever disbelieves in it from the [various] factions - the Fire is his promised destination. So be not in doubt about it. Indeed, it is the truth from your Lord, but most of the people do not believe.
Kiya woh shaks jo apney rab kay pass ki daleel per ho aur uss kay sath Allah ki taraf gawah ho aur iss say pehlay musa ki kitab ( gawah ho ) jo paishwa aur rehmat hai ( auron kay barabar ho sakta hai? ) . yehi log hain jo iss per eman rakhtay hain aur tamam firqon mein say jo bhi iss ka munkir ho uss kay aakhri waday ki jagah jahannum hai pus tu iss mein kissi qisam kay shubay mein na reh yaqeenan yeh teray rab ki janib say sirasir bar haq hai lekin aksat log eman laney walay nahi hotay.
भला एक शख़्स जो अपने रब की तरफ़ से एक दलील पर है उसके बाद अल्लाह की तरफ़ से उसके लिए एक गवाह भी आ गया, और उससे पहले मूसा (अलै॰) की किताब रहनुमा और रहमत की हैसियत से मौजूद थी, ऐसे ही लोग उस पर ईमान लाते हैं, और जमातों में से जो कोई उसका इनकार करे तो उसके वादे की जगह आग है, पस आप उसके बारे में शक में ना पड़ें, यह हक़ है आपके रब की तरफ़ से मगर अकसर लोग नहीं मानते।
There was certainly in their stories a lesson for those of understanding. Never was the Qur'an a narration invented, but a confirmation of what was before it and a detailed explanation of all things and guidance and mercy for a people who believe.
Unn kay biyan mein aqal walon kay liye yaqeenan naseehat aur ibrat hai yeh quran jhoot banaee hui baat nahi bulkay yeh tasdeeq hai unn kitabon ki jo iss say pehlay ki hain khol khol ker biyan kerney wala hai her cheez ko aur hidayat ko aur rehmat hai eman daar logon kay liye.
उनके क़िस्सों में समझदार लोगों के लिए बड़ी इबरत है, यह कोई घड़ी हुई बात नहीं बल्कि तसदीक़ है उस चीज़ की जो इससे पहले मौजूद है और तफ़सील है हर चीज़ की और हिदायत और रहमत है ईमान वालों के लिए।
And We have not revealed to you the Book, [O Muhammad], except for you to make clear to them that wherein they have differed and as guidance and mercy for a people who believe.
Iss kitab ko hum ney aap per iss liye utara hai kay aap inn kay liye her uss cheez ko wazeh kerden jiss mein woh ikhtilaf ker rahey hain aur yeh eman daron kay liye rehnumaee aur rehmat hai.
और हमने आप पर किताब सिर्फ़ इसलिए उतारी है कि आप उनको वह चीज़ खोल कर सुना दो जिसमें वे इख़्तिलाफ़ कर रहे हैं, और वह हिदायत और रहमत है उन लोगों के लिए जो ईमान लाएं।
And [mention] the Day when We will resurrect among every nation a witness over them from themselves. And We will bring you, [O Muhammad], as a witness over your nation. And We have sent down to you the Book as clarification for all things and as guidance and mercy and good tidings for the Muslims.
Aur jiss din hum her ummat mein unhi mein say unn kay muqablay mein gawah khara keren gay aur tujhay inn sab per gawah bana ker layen gay aur hum ney tujh per yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri say musalmanon kay liye.
और जिस दिन हम हर उम्मत में एक गवाह उन्हीं में से उठाएंगे और आपको उन लोगों पर गवाह बनाकर लाएंगे, और हमने आप पर किताब उतारी है हर चीज़ को खोल देने के लिए, वह हिदायत और रहमत और बशारत है फ़रमाँबरदारों के लिए।