And this is a Book which We have sent down, blessed and confirming what was before it, that you may warn the Mother of Cities and those around it. Those who believe in the Hereafter believe in it, and they are maintaining their prayers.
Aur yeh bhi aisi hi kitab hai jiss ko hum ney nazil kiya hai jo bari barkat wali hai apney say pehlay kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur takay aap makkay walon ko aur aas pass walon ko darayen. Aur jo log aakhirat ka yaqeen rakhtay hain aisay log iss per eman ley aatay hain aur woh apni namaz per madawmat rakhtay hain.
और यह एक किताब है जो हमने उतारी है बरकत वाली, तस्दीक़ करने वाली उनकी जो इससे पहले हैं और ताकि आप डराएं मक्का वालों को और उसके आसपास वालों को, और जो आख़िरत पर यक़ीन रखते हैं वही उस पर ईमान लाएंगे और वे अपनी नमाज़ की पाबंदी करने वाले हैं।
That is because your Lord would not destroy the cities for wrongdoing while their people were unaware.
Yeh iss waja say hai kay aap ka rab kissi basti walon ko kufur kay sabab aisi halat mein halak nahi kerta kay uss basti kay rehney walay bey khabar hon.
यह इस वजह से आपका रब बस्तियों को उनके ज़ुल्म की वजह से इस हाल में हलाक करने वाला नहीं कि वहाँ के लोग बेख़बर हों।
Those cities - We relate to you, [O Muhammad], some of their news. And certainly did their messengers come to them with clear proofs, but they were not to believe in that which they had denied before. Thus does Allah seal over the hearts of the disbelievers.
Inn bastiyon kay kuch kuch qissay hum aap say biyan ker rahey hain aur inn sab kay pass unn kay payghumbar mojzaat ley ker aaye phir jiss cheez ko enhon ney ibtidaa mein jhoota keh diya yeh baat nahi hui kay phir iss ko maan letay Allah Taalaa issi tarah kafiron kay dilon per band laga deta hai.
ये वे बस्तियाँ हैं जिनके कुछ हालात हम तुमको सुना रहे हैं, उनके पास उनके रसूल निशानियाँ लेकर आए तो हरगिज़ ऐसा न हुआ कि वे ईमान लाएं उस बात पर जिसको वे पहले झुठला चुके थे, इस तरह अल्लाह मुनकिरीन के दिलों पर मुहर लगा देता है।
That is from the news of the cities, which We relate to you; of them, some are [still] standing and some are [as] a harvest [mowed down].
Bastiyon ki yeh baaz khabren jinhen hum teray samney biyan farma rahey hain inn mein say baaz to mojood hain aur baaz ( ki faslen ) kat gaee hain.
ये बस्तियों के कुछ हालात हैं जो हम आपको सुना रहे हैं, उनमें से बअज़ अब तक क़ायम हैं और बअज़ मिट गईं।
And thus is the seizure of your Lord when He seizes the cities while they are committing wrong. Indeed, His seizure is painful and severe.
Teray perwerdigar ki pakar ka yehi tareeqa hai jabkay woh bastiyon kay rehney walay zalimon ko pakarta hai beshak uss ki pakar dukh denay wali aur nihayat sakht hai.
और आपके रब की पकड़ ऐसी ही है जबकि वह बस्तियों को उनके ज़ुल्म पर पकड़ता है, बेशक उसकी पकड़ बड़ी दर्दनाक और सख़्त है।
And your Lord would not have destroyed the cities unjustly while their people were reformers.
Aap ka rab aisa nahi kay kissi basti ko zulm say halak ker dey aur wahan kay log neko kaar hon.
और आपका रब ऐसा नहीं कि वह बस्तियों को नाहक़ तबाह कर दे; हालाँकि उसके रहने वाले इस्लाह करने वाले हों।