[Say], "Then is it other than Allah I should seek as judge while it is He who has revealed to you the Book explained in detail?" And those to whom We [previously] gave the Scripture know that it is sent down from your Lord in truth, so never be among the doubters.
To kiya Allah kay siwa kissi aur faisla kerney walay ko talash keroon halankay woh aisa hai kay uss ney aik kitab-e-kaamil tumharay pass bhej di hai iss kay mazmeen khoob saaf saaf biyan kiye gaye hain aur jin logon ko hum ney kitab di hai woh iss baat ko yaqeen kay sath jantay hain kay yeh aap kay rab ki taraf say haq kay sath bheji gaee hai so aap shuba kerney walon mein say na hon.
क्या मैं अल्लाह के सिवा किसी और को फ़ैसला करने वाला बनाऊँ; हालाँकि उसने तुम्हारी तरफ़ वाज़ेह किताब उतारी है, और जिन लोगों को हमने पहले किताब दी थी वे जानते हैं कि यह आपके रब की तरफ़ से उतारी गई है हक़ के साथ, पस आप शक करने वालों में से न बनें।
And Allah presents an example of two men, one of them dumb and unable to do a thing, while he is a burden to his guardian. Wherever he directs him, he brings no good. Is he equal to one who commands justice, while he is on a straight path?
Allah Taalaa aik aur misal biyan farmata hai do shakson ki jin mein say aik to goonga hai aur kissi cheez per ikhtiyar nahi rakhta bulkay woh apney malik per bojh hai kahin bhi ussay bhejay woh koi bhalaee nahi lata kiya yeh aur woh jo adal ka hukum deta hai aur hai bhi seedhi raah per barabar ho saktay hain?
और अल्लाह एक और मिसाल बयान करता है कि दो शख़्स हैं जिनमें से एक गूंगा है कोई काम नहीं कर सकता है और वह अपने मालिक पर बोझ है, वह उसको जहाँ भेजता है वह कोई काम दुरुस्त करके नहीं लाता, क्या वह और ऐसा शख़्स बराबर हो सकते हैं जो इंसाफ़ की तालीम देता है और वह एक सीधी राह पर है।
Say, "In whose hand is the realm of all things - and He protects while none can protect against Him - if you should know?"
Poochiye kay tamam cheezon ka ikhtiyar kiss kay hath mein hai? Jo panah deta hai aur jiss kay muqablay mein koi panah nahi diya jata agar tum jantay ho to batla do?
कहो, "हर चीज़ की बादशाही किस के हाथ में है, वह जो शरण देता है और जिस के मुक़ाबले में कोई शरण नहीं मिल सकती, बताओ यदि तुम जानते हो?"
When you received it with your tongues and said with your mouths that of which you had no knowledge and thought it was insignificant while it was, in the sight of Allah , tremendous.
Jabkay tum issay apni zabano say naqal dar naqal kerney lagay aur apnay mun say woh baat nikalney lagay jiss ki tumhen mutlaq khabar na thi go tum issay halki baat samajhtay rahey lekin Allah Taalaa kay nazdeek woh boht bari baat thi.
सोचो, जब तुम एक-दूसरे से उस (झूठ) को अपनी ज़बानों पर लेते जा रहे थे और तुम अपने मुँह से वह कुछ कहे जा रहे थे, जिस के विषय में तुम्हें कोई ज्ञान न था और तुम उसे एक साधारण बात समझ रहे थे; हालाँकि अल्लाह के निकट वह एक भारी बात थी
And when one of them is given good tidings of that which he attributes to the Most Merciful in comparison, his face becomes dark, and he suppresses grief.
( Halankay ) inn mein say kissi ko jab uss cheez ki khabar di jaye jiss ki misal uss ney ( Allah ) rehman kay liye biyan ki hai to uss ka chehra siyah parr jata hai aur woh ghumgeen hojata hai.
और हाल यह है कि जब उन में से किसी को उस की मंगल सूचना दी जाती है, जो वह रहमान के लिए बयान करता है, तो उस के मुँह पर कलौंस छा जाती है और वह ग़म के मारे घुटा-घुटा रहने लगता है
And those who believe and do righteous deeds and believe in what has been sent down upon Muhammad - and it is the truth from their Lord - He will remove from them their misdeeds and amend their condition.
Aur jo log eman laye aur achay kaam kiye aur uss per bhi eman laye jo Muhammad ( PBUH ) per utari gaee hai aur darasal inn kay rab ki taraf say sacha ( deen ) bhi wohi hai Allah ney inn kay gunah door ker diye aur inn kay haal ki islaah kerdi
रहे वे लोग जो ईमान लाए और उन्होंने अच्छे कर्म किए और उस चीज़ पर ईमान लाए जो मुहम्मद पर अवतरित किया गया - और वही सत्य है उन के रब की ओर से - उस ने उस की बुराइयाँ उन से दूर कर दीं और उन का हाल ठीक कर दिया