Those who spend their wealth [in Allah 's way] by night and by day, secretly and publicly - they will have their reward with their Lord. And no fear will there be concerning them, nor will they grieve.
Jo log apney maalon ko raat din chupay khulay kharach kertay hain unn kay liye unn kay rab taalaa kay pass ajar hai aur na unhen khof hai aur na ghumgeeni.
जो लोग अपने मालों को रात और दिन में, छुप-छुपा कर और खुलेआम ख़र्च करते हैं उनके लिए उनके रब के पास अज्र है, और उन पर न कोई ख़ौफ़ है और न वे ग़मगीन होंगे।
And it is He who takes your souls by night and knows what you have committed by day. Then He revives you therein that a specified term may be fulfilled. Then to Him will be your return; then He will inform you about what you used to do.
Aur woh aisa hai kay raat mein tumhari rooh ko ( aik gona ) qabz ker deta hai aur jo kuch tum din mein kertay ho uss ko janta hai phir tum ko jaga uthata hai takay miyaad-e-moyyen tamam ker di jaye phir ussi ki taraf tum ko jana hai phir tum ko batlaye ga jo kuch tum kiya kertay thay.
और वही है जो रात में तुमको वफ़ात देता है और दिन को जो कुछ तुम करते हो उसको जानता है फिर तुमको उठा देता है उसमें ताकि मुक़र्ररह मुद्दत पूरी हो जाए, फिर उसी की तरफ़ तुम्हारी वापसी है फिर वह तुमको बाख़बर कर देगा उससे जो तुम करते रहे हो।
It is the same [to Him] concerning you whether one conceals [his] speech or one publicizes it and whether one is hidden by night or conspicuous [among others] by day.
Tum mein say kissi ka pani baat ko chupa ker kehna aur ba-aawaz-e-buland ussay kehna aur jo raat ko chupa ho aur jo din mein chal raha ho sab Allah per barabar-o-yaksan hain.
तुम में से कोई शख़्स चुपके से बात कहे और जो पुकार कर कहे और जो रात में छुपा हुआ हो और जो दिन में चल रहा हो अल्लाह के लिए सब बराबर हैं।
Say, "Who can protect you at night or by day from the Most Merciful?" But they are, from the remembrance of their Lord, turning away.
Inn say poochiye kay rehman say din aur raat tumhari hifazat kaun ker sakta hai? Baat yeh hai kay yeh log apnay rab kay zikar say phiray huye hain.
कहो कि "कौन रहमान के मुक़ाबले में रात-दिन तुम्हारी रक्षा करेगा? बल्कि बात यह है कि वे अपने रब की याददिहानी से कतरा रहे हैं
And of His signs is your sleep by night and day and your seeking of His bounty. Indeed in that are signs for a people who listen.
Aur ( bhi ) uss ki ( qudrat ki ) nishani tumhari raton aur din ki neend mein hai aur uss kay fazal ( yani rozi ) ko tumhara talash kerna bhi hai. Jo log ( kaan laga ker ) sunnay kay aadi hain unn kay liye iss mein boht si nishaniyan hain.
और उस की निशानियों में से तुम्हारा रात और दिन का सोना और तुम्हारा उस के अनुग्रह की तलाश करना भी है। निश्चय ही इसमें निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो सुनते हैं
But if they are arrogant - then those who are near your Lord exalt Him by night and by day, and they do not become weary.
Phir bhi agar yeh kibr-o-ghuroor keren to woh ( farishtay ) jo aap kay rab kay nazdeek hain woh to raat din uss ki tasbeeh biyan ker rahen hain aur ( kissi waqt bhi ) nahi uktatay.
लेकिन यदि वे घमंड करें (और अल्लाह को याद न करें), तो जो फ़रिश्ते तुम्हारे रब के पास हैं वे तो रात और दिन उस की तसबीह करते ही रहते हैं और वे उकताते नहीं