And that was Our [conclusive] argument which We gave Abraham against his people. We raise by degrees whom We will. Indeed, your Lord is Wise and Knowing.
Aur yeh humari hujjat thi woh hum ney ibrahim ( alh-e-salam ) ko unn ki qom kay muqablay mein di thi hum jiss ko chahatay hain martabon mein barha detay hain. Be-shak aap ka rab bara hikmat wala bara ilm wala hai.
यह है हमारी दलील जो हमने इब्राहीम को उनकी क़ौम के मुक़ाबले में दी, हम जिसके दर्जे चाहते हैं बुलंद कर देते हैं, बेशक आप का रब हिकमत वाला, इल्म वाला है।
And We gave to Abraham, Isaac and Jacob - all [of them] We guided. And Noah, We guided before; and among his descendants, David and Solomon and Job and Joseph and Moses and Aaron. Thus do We reward the doers of good.
6.84. Aur hum ney unn ko ishaq diya aur yaqoob her aik ko hum ney hidayat ki aur pehlay zamney mein hum ney nooh ko hidayat ki aur unn ki aulad mein say dawood ko aur suleman ko aur ayub ko aur yousuf ko aur musa ko aur haroon ko aur issi tarah hum nek kaam kerney walon ko jaza diya kertay hain.
और हमने इब्राहीम (अलै॰) को इसहाक़ और याक़ूब (अलैहिमस्सलाम) अता किए, हर एक को हमने हिदायत दी और नूह (अलै॰) को भी हमने हिदायत दी उससे पहले, और उसकी नस्ल में से दाऊद और सुलेमान और अय्यूब और यूसुफ़ और मूसा और हारून (अलैहिमुस्सलाम) को भी, और हम नेकूकारों को इसी तरह बदला देते हैं।
And Zechariah and John and Jesus and Elias - and all were of the righteous.
Aur ( naiz ) zakriya ko aur yahya ko aur essa ko aur ilyas ko sab nek logon mein say thay.
और ज़करिया और यहया और ईसा और इलियास (अलैहिमुस्सलाम) को भी, उनमें से हर एक नेक था।
And Ishmael and Elisha and Jonah and Lot - and all [of them] We preferred over the worlds.
Aur naiz ismail ko yasaa ko aur younus ko aur loot ko aur her aik ko tamam jahaan walon per hum ney fazeelat di.
और इस्माईल और अल-यसअ और यूनुस और लूत (अलैहिमुस्सलाम) को भी, और उनमें से हर एक को हमने दुनिया वालों पर फ़ज़ीलत अता की।
And [some] among their fathers and their descendants and their brothers - and We chose them and We guided them to a straight path.
Aur naiz inn kay kuch baap dadon ko aur kuch aulad ko aur kuch bhaiyon ko aur hum ney unn ko maqbool banaya aur hum ney unn ko raah-e-raast ki hidayat ki.
और उनके बाप-दादों और उनकी औलाद और उनके भाइयों में से भी, और उनको हमने चुन लिया और हमने सीधे रास्ते की तरफ़ उनकी रहनुमाई की।
That is the guidance of Allah by which He guides whomever He wills of His servants. But if they had associated others with Allah , then worthless for them would be whatever they were doing.
Allah ki hidayat hi hai jiss kay zariye apney bandon mein say jiss ko chahaye uss ko hidayat kerta hai aur agar farzan yeh hazraat bhi shirk kertay to jo kuch yeh aemaal kertay thay woh sab ikaarat ho jatay.
यह अल्लाह की हिदायत है जिससे वह रहनुमाई करता है अपने बंदों में से जिसकी चाहता है, और अगर वे शिर्क करते तो ज़ाया हो जाता जो कुछ उन्होंने किया था।
Those are the ones to whom We gave the Scripture and authority and prophethood. But if the disbelievers deny it, then We have entrusted it to a people who are not therein disbelievers.
Yeh log aisay thay kay hum ney unn ko kitab aur hikmat aur naboowat ata ki thi so agar yeh log naboowat ka inkar keren to hum ney iss kay liye aisay boht say log muqarrar ker diye hain jo iss kay munkir nahi hain.
ये वे लोग हैं जिनको हमने किताब और हिकमत और नुबुव्वत अता की, पस अगर ये (मक्का वाले) इसका इनकार कर दें तो हमने उसके लिए ऐसे लोग मुक़र्रर कर दिए हैं जो उसके मुनकिर नहीं हैं।
Those are the ones whom Allah has guided, so from their guidance take an example. Say, "I ask of you for this message no payment. It is not but a reminder for the worlds."
Yehi log aisay thay jin ko Allah Taalaa ney hidayat ki thi so aap bhi inn hi kay tareeq per chaliye aap keh dijiye kay mein tum say iss per koi maawza nahi chahata yeh to sirf tamam jahaan walon kay wastay aik naseehat hai.
यही वे लोग हैं जिनको अल्लाह नेक हिदायत बख़्शी पस आप भी उनके तरीक़े पर चलें, कह दीजिए कि मैं इस पर तुम से कोई मुआवज़ा नहीं माँगता, यह तो बस एक नसीहत है दुनिया वालों के लिए।