And they swear by Allah their strongest oaths that if a sign came to them, they would surely believe in it. Say, "The signs are only with Allah ." And what will make you perceive that even if a sign came, they would not believe.
Aur inn logon ney qasmon mein bara zor laga ker Allah Taalaa ki qasam khaee kay agar inn kay pass koi nishani aajaye to woh zaroor hi uss per eman ley aayen gay aap keh dijiye kay nishaniyan sab Allah kay qabzay mein hain aur tum ko iss ki kiya khabar kay woh nishaniyan jiss waqt aajayen gi yeh log tab bhi eman na layen gay.
और ये लोग अल्लाह की क़सम बड़े ज़ोर-शोर से खाकर कहते हैं कि अगर उनके पास कोई निशानी आ जाए तो वे ज़रूर उस पर ईमान ले आएंगे, आप कह दीजिए कि निशानियाँ तो अल्लाह के पास बहुत हैं, और तुम्हें क्या ख़बर कि अगर निशानियाँ आ भी जाएं तब भी ये ईमान नहीं लाएंगे।
And We will have removed whatever is within their breasts of resentment, [while] flowing beneath them are rivers. And they will say, "Praise to Allah , who has guided us to this; and we would never have been guided if Allah had not guided us. Certainly the messengers of our Lord had come with the truth." And they will be called, "This is Paradise, which you have been made to inherit for what you used to do."
Aur jo kuch inn kay dilon mein ( keena ) tha hum uss ko door ker den gay. Inn kay neechay nehren jari hongi. Aur woh log kahen gay kay Allah ka ( lakh lakh ) shukar hai jiss ney hum ko iss moqam tak phonchaya aur humari kabhi rasaee na hoti agar Allah Taalaa hum ko na pehchanta. Waqaee humaray rab kay payghumbar sachi baaten ley ker aaye thay. Aur inn say pukar ker kaha jayega iss jannata kay tum waris banaye gaye ho apney aemaal kay badlay.
और उनके सीने की हर रंजिश को हम निकाल देंगे, उनके नीचे नहरें बह रही होंगी, और वे कहेंगे कि सारी तारीफ़ अल्लाह के लिए है जिसने हमको यहाँ तक पहुँचाया और हम राह पाने वाले न थे अगर अल्लाह हमको हिदायत न देता, हमारे रब के रसूल सच्ची बात लेकर आए थे, और आवाज़ आएगी कि यह जन्नत है जिसके तुम वारिस ठहराए गए हो अपने आमाल के बदले।
Do they await except its result? The Day its result comes those who had ignored it before will say, "The messengers of our Lord had come with the truth, so are there [now] any intercessors to intercede for us or could we be sent back to do other than we used to do?" They will have lost themselves, and lost from them is what they used to invent.
Inn logon ko aur kissi baat ka intizar nahi sirf iss kay akheet nateejay ka intizar hai jiss roz iss ka akheet nateeja paish aaye ga aur uss roz jo log iss ko pehlay say bhoolay huye thay yun kahen gay kay waqaee humaray rab kay payghumbar sachi sachi baaten laye thay so abb kiya koi humara sifarshi hai kay woh humari sifarish ker dey ya kiya hum phir wapis bhejay jaa saktay hain takay hum log unn aemaal kay jo hum kiya kertay thay bar khilaf doosray aemaal keren. Be-shak inn logon ney apney aap ko khasaray mein daal diya aur yeh jo jo baaten tarashtay thay sab gum hogaeen.
क्या अब भी वे इसी के मुंतज़िर हैं कि उसका मज़मून ज़ाहिर हो जाए, जिस दिन उसका मज़मून ज़ाहिर हो जाएगा तो वे लोग जो उसको पहले से भूले हुए थे बोल उठेंगे कि बेशक हमारे रब के पैग़म्बर हक़ लेकर आए थे, पस अब क्या कोई हमारी सिफ़ारिश करने वाले हैं कि हमारी सिफ़ारिश करें या हमको दोबारा वापस ही भेज दिया जाए ताकि हम उस अमल के सिवा दूसरे अमल करें जो हम पहले करते रहे थे, उन्होंने अपने आपको घाटे में डाला और उनसे गुम हो गया जो वह घड़ते थे।
And certainly did Our messengers come to Abraham with good tidings; they said, "Peace." He said, "Peace," and did not delay in bringing [them] a roasted calf.
Aur humaray bhejay huye payghaamber ibrahim kay pass khushkhabri ley ker phonchay aur salam kaha unhon ney bhi jawab-e-salam diya aur baghair kissi takheer kay gaye ka bhuna hua bachra ley aaye.
और इब्राहीम (अलै॰) के पास हमारे फ़रिश्ते ख़ुश-ख़बरी लेकर आए (और) कहा कि तुम पर सलामती हो, इब्राहीम (अलै॰) ने कहाः तुम पर भी सलामती हो, फिर देर न गुज़री कि इब्राहीम एक भुना हुआ बछड़ा ले आए।
And when Our messengers, [the angels], came to Lot, he was anguished for them and felt for them great discomfort and said, "This is a trying day."
Jab humaray bhejay huye farishtay loot kay pass phonchay to woh inn ki waja say boht ghumgeen hogaye aur dil hi dil mein kurhney lagay aur kehney lagay kay aaj ka din bari musibat ka din hai.
और जब हमारे फ़रिश्ते लूत (अलै॰) के पास पहुँचे तो वे घबराए और उनके आने से दिल तंग हुआ, उसने कहाः आज का दिन बड़ा सख़्त है।
So when she arrived, it was said [to her], "Is your throne like this?" She said, "[It is] as though it was it." [Solomon said], "And we were given knowledge before her, and we have been Muslims [in submission to Allah ].
Phir jab woh aagaee to uss say kaha ( daryaft kiya ) gaya kay aisa hi tera ( bhi ) takht hai? Uss ney jawab diya kay yeh goya wohi hai humen iss say pehlay hi ilm diya gaya tha aur hum musalman thay.
जब वह आई तो कहा गया, "क्या तुम्हारा सिंहासन ऐसा ही है?" उस ने कहा, "यह तो जैसे वही है, और हमें तो इससे पहले ही ज्ञान प्राप्त हो चुका था; और हम आज्ञाकारी हो गए थे।"
And when Our messengers came to Abraham with the good tidings, they said, "Indeed, we will destroy the people of that Lot's city. Indeed, its people have been wrongdoers."
Aur jab humaray bhejay huyey farishtay hazrat ibrahim ( alh-e-salam ) kay pass bisharat ley ker phonchay kehnay lagay kay iss basti walon ko hum halak kerney walay hain yaqeenan yahan kay rehney walay gunehgaar hain.
हमारे भेजे हुए जब इबराहीम के पास शुभ सूचना लेकर आए तो उन्होंने कहा, "हम इस बस्ती के लोगों को विनष्ट करने वाले हैं। निस्संदेह इस बस्ती के लोग ज़ालिम हैं।"
And when Our messengers came to Lot, he was distressed for them and felt for them great discomfort. They said, "Fear not, nor grieve. Indeed, we will save you and your family, except your wife; she is to be of those who remain behind.
Phir jab humaray qasid loot ( alh-e-salam ) kay pass phonchay to woh inn ki waja say ghumgeen huyey aur dil hi dil mein ranj kerney lagay. Qasidon ney kaha aap na khof khayiey na aazarda hon hum aap ko maa aap kay mutallaqeen kay bacha len gay magar aap ki biwi kay woh azab kay liye baqi reh janey walon mein say hogi.
जब यह हुआ कि हमारे भेजे हुए लूत के पास आए तो उन का आना उसे नागवार हुआ और उन के प्रति दिल को तंग पाया। किन्तु उन्होंने कहा, "डरो मत और न शोकाकुल हो। हम तुम्हें और तुम्हारे घर वालों को बचा लेंगे सिवाय तुम्हारी स्त्री के। वह पीछे रह जाने वालों में से है