It is You we worship and You we ask for help.
Hum sirf teri hi ibadat kertay hain aur sirf tujh hi say madad chahatay hain.
हम तेरी ही इबादत करते हैं और तुझ ही से मदद चाहते हैं।
Indeed, your Lord is Allah , who created the heavens and the earth in six days and then established Himself above the Throne, arranging the matter [of His creation]. There is no intercessor except after His permission. That is Allah , your Lord, so worship Him. Then will you not remember?
Bila shuba tumhara rab Allah hi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda ker diya phir arsh per qaeem hua woh her kaam ki tadbeer kerta hai. Uss ki ijazat kay baghair koi uss kay pass sifarish kerney wala nahi aisa Allah tumhara rab hai so tum uss ki ibadat kero kiya tum phir bhi nasihat nahi pakartay.
बेशक तुम्हारा रब अल्लाह है जिसने आसमानों और ज़मीन को छः दिनों (अदवार) में पैदा किया फिर वह अर्श पर क़ायम हुआ, वही मामलात का इंतिज़ाम करता है, उसकी इजाज़त के बग़ैर कोई सिफ़ारिश करने वाला नहीं, वही अल्लाह तुम्हारा रब है पस तुम उसी की इबादत करो, क्या तुम सोचते नहीं।
My Lord, You have given me [something] of sovereignty and taught me of the interpretation of dreams. Creator of the heavens and earth, You are my protector in this world and in the Hereafter. Cause me to die a Muslim and join me with the righteous."
Aey meray perwerdigar! Tu ney mujhay mulk ata farmaya aur tu ney mujhay khuwab ki tabeer sikhlaee. Aey aasman-o-zamin kay peda kerney walay! Tu hi duniya aur aakhirat mein mera wali ( dost ) aur kaar saaz hai tu mujhay islam ki halat mein fot ker aur neko mein mila dey.
ऐ मेरे रब! आपने मुझको हुकूमत में से हिस्सा दिया और मुझको ख़्वाबों की ताबीर करना सिखाया, ऐ आसमानों और ज़मीन के पैदा करने वाले! आप ही मेरा काम बनाने वाले हैं दुनिया में भी और आख़िरत में भी मुझको फ़रमाँबरदारी की हालत में वफ़ात दीजिए और मुझको नेक बंदों में शामिल फ़रमाईए।
Say, " Allah is most knowing of how long they remained. He has [knowledge of] the unseen [aspects] of the heavens and the earth. How Seeing is He and how Hearing! They have not besides Him any protector, and He shares not His legislation with anyone."
Aap keh den Allah hi ko unn kay thehray rehney ki muddat ka ba-khoobi ilm hai aasmanon aur zaminon ka ghaib sirf ussi ko hasil hai woh kiya hi acha dekhney aur sunnay wala hai. Siwaye Allah kay unn ka koi madadgaar nahi Allah Taalaa apney hukum mein kissi ko shareeq nahi kerta.
कह दो, "अल्लाह भली-भाँति जानता है जितना वे ठहरे।" आकाशों और धरती की छिपी बात का सम्बन्ध उसी से है। वह क्या ही देखने वाला और सुनने वाला है! उस से इतर न तो उन का कोई संरक्षक है और न वह अपने प्रभुत्व और सत्ता में किसी को साझीदार बनाता है
Do you not know that to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and [that] you have not besides Allah any protector or any helper?
Kiya tujhay nahi maloom kay zamin-o-aasman ka mulk Allah hi kay liye hai aur Allah kay siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi.
क्या तुम नहीं जानते कि अल्लाह ही के लिए आसमानों और ज़मीन की बादशाही है, और तुम्हारे लिए अल्लाह के सिवा न कोई दोस्त है और न कोई मददगार।
Allah witnesses that there is no deity except Him, and [so do] the angels and those of knowledge - [that He is] maintaining [creation] in justice. There is no deity except Him, the Exalted in Might, the Wise.
Allah Taalaa farishtay aur ehal-e-ilm iss baat ki gawahi detay hain kay Allah kay siwa koi mabood nahi aur woh adal ko qaeem rakhney wala hai uss ghalib aur hikmata walay kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi.
अल्लाह की गवाही है और फ़रिश्तों की और अहले-इल्म की कि अल्लाह के सिवा कोई माबूद नहीं, वह क़ायम रखने वाला है इंसाफ़ का, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
And He is the subjugator over His servants. And He is the Wise, the Acquainted [with all].
Aur wohi Allah apney bandon kay upper ghalib hai bar tar hai aur wohi bari hikmat wala aue poori khabar rakhney wala hai.
और उसी का ज़ोर है अपने बंदों पर, और वह हिकमत वाला, सबकी ख़बर रखने वाला है।
And Moses chose from his people seventy men for Our appointment. And when the earthquake seized them, he said, "My Lord, if You had willed, You could have destroyed them before and me [as well]. Would You destroy us for what the foolish among us have done? This is not but Your trial by which You send astray whom You will and guide whom You will. You are our Protector, so forgive us and have mercy upon us; and You are the best of forgivers.
Aur musa ( alh-e-salam ) ney sattar aadmi apni qom mein say humaray waqt-e-moyyen kay liye muntakhib kiye so jab unn ko zalzalay ney aa pakra to musa ( alh-e-salam ) arz kerney lagay kay aey meray perwerdigar! Agar tujh ko yeh manzoor hota to iss say qabal hi inn ko aur mujh ko halak ker deta. Kiya tu hum mein say chand bey waqufon ki harkat per sab ko halak ker dey ga? Yeh waqiya teri taraf say mehaz aik imtehan hai aisay imtehanaat say jiss ko tu chahaye gumrahi mein daal dey aur jiss ko chahaye hidayat per qaeem rakhay. Tu hi to humara kaar saaz hai pus hum per maghfirat aur rehmat farma aur tu sab moafi denay walon say ziyada acha hai.
और मूसा (अलै॰) ने अपनी क़ौम में से सत्तर आदमी चुने हमारे मुक़र्रर किए हुए वक़्त के लिए, फिर जब उनको ज़लज़ले ने पकड़ा तो मूसा (अलै॰) ने कहाः ऐ मेरे रब! अगर आप चाहते तो पहले ही इनको हलाक कर देते और मुझको भी, क्या आप हमको ऐसे काम की वजह से हलाक करेंगे जो हम में से बेवक़ूफ़ों ने किया, यह सब आपकी जानिब से आज़माइश है आप इससे जिसको चाहें गुमराह कर दें और जिसको चाहें हिदायत दें, आप ही हमारे थामने वाले हैं पस हमको बख़्श दीजिए और हम पर रहम फ़रमाइए, आप सबसे बेहतर बख़्शने वाले हैं।
Those are the believers, truly. For them are degrees [of high position] with their Lord and forgiveness and noble provision.
Sachay eman walay yeh log hain inn kay liye baray darjay hain inn kay rab kay pass aur maghfirat aur izzat ki rozi hai.
यही लोग हक़ीक़ी मोमिन हैं, उनके लिए उनके रब के पास दर्जे और मग़्फ़िरत हैं और (उनके लिए) इज़्ज़त की रोज़ी है।
Say, "Never will we be struck except by what Allah has decreed for us; He is our protector." And upon Allah let the believers rely.
Aap keh dijiye kay humen siwaye Allah kay humaray haq mein likhay huye kay koi cheez phonch hi nahi sakti woh humara kaar saaz aur mola hai. Mominon ko to Allah ki zaat pak per hi bharosa kerna chahaiye.
कह दीजिए कि हमें सिर्फ़ वही चीज़ पहुँचेगी जो अल्लाह ने हमारे लिए लिख दी है, वह हमारा कारसाज़ है और अहले-ईमान को अल्लाह ही पर भरोसा करना चाहिए।