[All] praise is [due] to Allah , Lord of the worlds -
Sab tareef Allah Taalaa kay liye hai jo tamam jahanon ka palney wala hai.
सब तारीफ़ अल्लाह के लिए है जो सारे जहान का मालिक है।
And [Noah] said, "Embark therein; in the name of Allah is its course and its anchorage. Indeed, my Lord is Forgiving and Merciful."
Nooh ( alh-e-salam ) ney kaha iss kashti mein beth jao Allah hi kay naam say iss ka chalna aur theharna hai yaqeenan mera rab bari bakhsish aur baray reham wala hai.
और नूह (अलै॰) ने कहा कि कश्ती में सवार हो जाओ, अल्लाह के नाम से इसका चलना है और इसका ठहरना भी, बेशक मेरा रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And fulfill the covenant of Allah when you have taken it, [O believers], and do not break oaths after their confirmation while you have made Allah , over you, a witness. Indeed, Allah knows what you do.
Aur Allah kay ehad ko poora kero jabkay tum aapas mein qol-o-qarar aur qasmon ko unn ki pukhtagi kay baad mat toro halankay tum Allah Taalaa ko apna zaamin thehra chukay ho tum jo kuch kertay ho Allah uss ko bakhoobi jaan raha hai.
और तुम अल्लाह के अहद को पूरा करो जबकि तुम आपस में अहद कर लो, और क़समों को पक्का करने के बाद उनको न तोड़ो; हालाँकि तुम अल्लाह को अपने ऊपर ज़ामिन भी बना चुके हो, बेशक अल्लाह जानता है जो कुछ तुम करते हो।
He has only forbidden to you dead animals, blood, the flesh of swine, and that which has been dedicated to other than Allah . But whoever is forced [by necessity], neither desiring [it] nor transgressing [its limit], there is no sin upon him. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Tum per murda aur ( baha hua ) khoon aur sooar ka gosht aur her woh cheez jiss per Allah kay siwa doosron ka naam pukara gaya ho haram hai phir jo majboor hojaye aur hadd say barhney wala aur ziyadti kerney wala na ho uss per inn kay khaney mein koi gunah nahi Allah Taalaa baksish kerney wala meharban hai.
अल्लाह ने तुम पर हराम किया है सिर्फ़ मुर्दार को, और ख़ून को, और सुअर के गोश्त को, और जिस पर अल्लाह के सिवा किसी और का नाम लिया गया हो, फिर जो शख़्स मजबूर हो जाए, वह न उसकी चाहत रखता हो और न हद से आगे बढ़ने वाला हो तो उस पर कोई गुनाह नहीं, बेशक अल्लाह बख़्शने वाला मेहरबान है।
Who establish prayer and give zakah, and of the Hereafter they are certain [in faith].
Jo namaz qaeem kertay hain aur zakat ada kertay hain aur aakhirat per yaqeen rakhtay hain.
जो नमाज़ का आयोजन करते हैं और ज़कात देते हैं और वही हैं जो आख़िरत पर विश्वास रखते हैं
But one who says to his parents, "Uff to you; do you promise me that I will be brought forth [from the earth] when generations before me have already passed on [into oblivion]?" while they call to Allah for help [and to their son], "Woe to you! Believe! Indeed, the promise of Allah is truth." But he says, "This is not but legends of the former people" -
Aur jiss ney apnay maa baap say kaha kay tum say mein tang aagaya tum mujh say yehi kehtay raho gay kay mein marney kay baad phir zindah kiya jaoon ga mujh say pehlay bhi ummaten guzar chuki hain woh dono janab bari mein faryad kertay hain aur kehtay hain tujhay kharabi ho tu eman ley aa be-shak Allah ka wada haq hai woh jawab deta hai kay yeh to sirf aglon kay afsaney hain.
किन्तु वह व्यक्ति जिस ने अपने माँ-बाप से कहा, "धिक है तुम पर! क्या तुम मुझे डराते हो कि मैं (क़ब्र से) निकाला जाऊँगा, हालाँकि मुझ से पहले कितनी ही नस्लें गुज़र चुकी हैं?" और वे दोनों अल्लाह से फ़रियाद करते हैं - "अफ़सोस है तुम पर! मान जा। निस्संदेह अल्लाह का वादा सच्चा है।" किन्तु वह कहता है, "ये तो बस पहले के लोगों की कहानियाँ हैं।"
They ask you, [O Muhammad], what has been made lawful for them. Say, "Lawful for you are [all] good foods and [game caught by] what you have trained of hunting animals which you train as Allah has taught you. So eat of what they catch for you, and mention the name of Allah upon it, and fear Allah ." Indeed, Allah is swift in account.
Aap say daryaft kertay hain kay unn kay liye kiya kuch halal hai? Aap keh dijiye kay tamam pak cheezen tumharay liye halal ki gaee hain aur jin shikar khelney walay janwaron ko tum ney sidha rakha hai yani jinhen tum thora boht woh sikhatay ho jiss ki taleem Allah Taalaa ney tumhen dey rakhi hai pus jiss shikar ko woh tumharay liye pakar ker rok rakhen to tum uss say kha lo aur iss per Allah Taalaa kay naam ka zikar ker liya kero. Aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai.
वे आपसे पूछते हैं कि उनके लिए क्या चीज़ हलाल की गई है, कह दीजिए कि तुम्हारे लिए पाकीज़ा चीज़ें हलाल हैं, और शिकारी जानवरों में से जिनको तुमने सधाया है तुम उनको सिखाते हो उसमें से जो अल्लाह ने तुमको सिखाया है, पस तुम उनके शिकार में से खाओ जो वे तुम्हारे लिए पकड़ कर रखें और उन पर अल्लाह का नाम लो और अल्लाह से डरो, अल्लाह बेशक जल्द हिसाब लेने वाला है।
So eat of that [meat] upon which the name of Allah has been mentioned, if you are believers in His verses.
So jiss janwar per Allah ka naam liya jaye uss mein say khao! Agar tum uss kay ehkaam per eman rakhtay ho.
पस तुम खाओ उस जानवर में से जिस पर अल्लाह का नाम लिया जाए अगर तुम उसकी आयात पर ईमान रखते हो।
Recite in the name of your Lord who created -
Parh apnay rab kay naam say jiss nay peda kiya
पढ़ो, अपने रब के नाम के साथ जिस ने पैदा किया,