Indeed, it is We who sent down the Qur'an and indeed, We will be its guardian.
Hum ney iss quran ko nazil farmaya hai aur hum hi uss kay mohafiz hain.
हमने ही इस क़ुरआन को नाज़िल किया है और हम ही इसके मुहाफ़िज़ हैं।
By Allah , We did certainly send [messengers] to nations before you, but Satan made their deeds attractive to them. And he is the disbelievers' ally today [as well], and they will have a painful punishment.
Wallah! hum ney tumjh say pehlay ki ummaton ki taraf bhi apney rasool bhejay lekin shetan ney unn kay aemaal-e-bad unn ki nighaon mein aaraasta ker diye woh shetan aaj bhi unn ka rafiq bana hua hai aur unn kay liye dard naak azab hai.
अल्लाह की क़सम! हमने आपसे पहले मुख़्तलिफ़ क़ौमों की तरफ़ रसूल भेजे, फ़िर शैतान ने उनके काम उनको अच्छे करके दिखाए, पस वही आज उनका साथी है और उनके लिए एक दर्दनाक अज़ाब है।
[Then Allah said], "It is expected, [if you repent], that your Lord will have mercy upon you. But if you return [to sin], We will return [to punishment]. And We have made Hell, for the disbelievers, a prison-bed."
Umeed hai kay tumhara rab tum per reham keray. Haan agar tum phir bhi wohi kerney lagay to hum bhi doobara aisa hi keren gay aur hum ney munkiron kay qaid khana jahannum ko bana rakha hai.
क़रीब है कि तुम्हारा रब तुम्हारे ऊपर रहम करे, और अगर तुम फिर वही करोगे तो हम भी वही करेंगे, और हमने जहन्नम को मुनकिरीन के लिए क़ैदख़ाना बना दिया है।
Indeed, those who like that immorality should be spread [or publicized] among those who have believed will have a painful punishment in this world and the Hereafter. And Allah knows and you do not know.
Jo log musalmano mein bay hayaee phelaney kay aarzoo mand rehtay hain unn kay liye duniya aur aakhirat mein dard-naak azab hain Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantay.
जो लोग चाहते हैं कि उन लोगों में जो ईमान लाए है, अश्लीहलता फैले, उन के लिए दुनिया और आख़िरत (लोक-परलोक) में दुखद यातना है। और अल्लाह बड़ा करुणामय, अत्यन्त दयावान है
And the ones who disbelieve in the signs of Allah and the meeting with Him - those have despaired of My mercy, and they will have a painful punishment.
Jo log Allah Taalaa ki aayaton aur uss ki mulaqat ko bhulatay hain woh meri rehmat say na umeed ho jayen aur unn kay liye dard naak azab hai.
और जिन लोगों ने अल्लाह की आयतों और उस से मिलने का इनकार किया, वही लोग हैं जो मेरी दयालुता से निराश हुए और वही हैं जिन के लिए दुखद यातना है। -
Before, as guidance for the people. And He revealed the Qur'an. Indeed, those who disbelieve in the verses of Allah will have a severe punishment, and Allah is exalted in Might, the Owner of Retribution.
Iss say pehlay logon ko hidayat kerney wali bana ker aur quran bhi ussi ney utara jo log Allah Taalaa ki aayaton say kufur kertay hain unn kay liye sakht azab hai aur Allah Taalaa ghalib hai badla lenay wala hai.
इससे पहले लोगों की हिदायत के लिए, और अल्लाह ही ने यह फ़र्क़ करने वाली किताब उतारी, बेशक जिन लोगों ने अल्लाह की निशानियों का इनकार किया उनके लिए सख़्त अज़ाब है, और अल्लाह ज़बरदस्त है, बदला लेने वाला है।
Each of them denied the messengers, so My penalty was justified.
Inn mein say aik bhi aisa na tha jiss ney rasoolon ki takzeeb na ki ho pus meri saza inn per sabit hogaee.
उन में से प्रत्येक ने रसूलों को झुठलाया, तो मेरी ओर से दंड अवश्यम्भावी होकर रहा
And some among them believed in it, and some among them were averse to it. And sufficient is Hell as a blaze.
Phir inn mein say baaz ney to iss kitab ko maana aur baaz iss say ruk gaye aur jahannum ka jalana kafi hai.
उनमें से किसी ने इसको माना और कोई इससे रुका रहा, और ऐसे लोगों के लिए जहन्नम की भड़कती हुई आग काफ़ी है।
The cause is only against the ones who wrong the people and tyrannize upon the earth without right. Those will have a painful punishment.
Yeh raasta sirf unn logon per hai jo khud doosron per zulm keren aur zamin mein na haq fasad kertay phiren yehi log hain jinn kay liye dard-naak azab hai.
इलज़ाम तो केवल उन पर आता है जो लोगों पर ज़ुल्म करते हैं और धरती में नाहक़ ज़्यादती करते हैं। ऐसे लोगों के लिए दुखद यातना है
But those who deny Our verses - the punishment will touch them for their defiant disobedience.
Aur jo log humari aayaton ko jhoota batlayen unn ko azab phonchay ga ba-waja iss kay, kay woh na farmani kertay hain.
और जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया तो उनको अज़ाब पकड़ लेगा इस वजह से कि वे नाफ़रमानी करते थे।
O you who have believed, indeed many of the scholars and the monks devour the wealth of people unjustly and avert [them] from the way of Allah . And those who hoard gold and silver and spend it not in the way of Allah - give them tidings of a painful punishment.
Aey eman walo! Aksar ulama aur abid logon ka maal na haq kha jatay hain aur Allah ki raah say rok detay hain aur jo log soney chandi ka khazana rakhtay hain aur Allah ki raah mein kharach nahi kertay unhen dard naak azab ki khabar phoncha dijiye.
ऐ ईमान वालो! बेशक अहले-किताब के अकसर उलमा और मशाइख़ लोगों के माल बातिल तरीक़ों से खाते हैं और लोगों को अल्लाह के रास्ते से रोकते हैं, और जो लोग सोना और चाँदी जमा करके रखते हैं और उनको अल्लाह की राह में ख़र्च नहीं करते उनको एक दर्दनाक अज़ाब की ख़ुश-ख़बरी दे दीजिए।