And when I have proportioned him and breathed into him of My [created] soul, then fall down to him in prostration."
To jab mein ussay poora bana chukon aur iss mein apni rooh phoonk doon to tum sab iss kay liye sajday mein girr parna.
जब मैं उसको पूरा बना लूँ और उसमें अपनी रूह में से फूँक दूँ तो तुम उसके लिए सज्दे में गिर पड़ना।
He sends down the angels, with the inspiration of His command, upon whom He wills of His servants, [telling them], "Warn that there is no deity except Me; so fear Me."
Wohi farishton ko apni wahee dey ker apney hukum say apney bandon mein say jiss per chahata hai utarta hai kay tum logon ko aagah kerdo kay meray siwa aur koi mabood nahi pus tum mujh say daro.
वे फ़रिश्तों को अपने हुक्म से वह्य के साथ उतारता है अपने बंदों में से जिस पर चाहता है कि लोगों को ख़बरदार कर दो कि मेरे सिवा कोई इबादत के लायक़ नहीं, पस तुम मुझसे डरो।
And she took, in seclusion from them, a screen. Then We sent to her Our Angel, and he represented himself to her as a well-proportioned man.
Aur unn logon ki taraf say parda ker liya phir hum ney uss kay pass apni rooh ( jibraeel alh-e-salam ) ko bheja pus woh uss kay samney poora aadmi bann ker zahir hua.
फिर उस ने उन से परदा कर लिया। तब हम ने उस के पास अपनी रूह (फ़रिश्तेप) को भेजा और वह उस के सामने एक पूर्ण मनुष्य के रूप में प्रकट हुआ
And [mention] the one who guarded her chastity, so We blew into her [garment] through Our angel [Gabriel], and We made her and her son a sign for the worlds.
Aur woh pak daman bibi jis ney apni asmat ki hifazat ki hum ney uss kay andar apni rooh say phoonk di aur khud unhen aur unn kay larkay ko tamam jahan kay liye nishani bana diya.
और वह नारी जिस ने अपने सतीत्व की रक्षा की थी, हम ने उस के भीतर अपनी रूह फूँकी और उसे और उस के बेटे को सारे संसार के लिए एक निशानी बना दिया
The Trustworthy Spirit has brought it down
Issay amanatdaar farishta ley ker aaya hai.
इसको लेकर तुम्हारे हृदय पर एक विश्वसनीय आत्मा उतरी है,
O People of the Scripture, do not commit excess in your religion or say about Allah except the truth. The Messiah, Jesus, the son of Mary, was but a messenger of Allah and His word which He directed to Mary and a soul [created at a command] from Him. So believe in Allah and His messengers. And do not say, "Three"; desist - it is better for you. Indeed, Allah is but one God. Exalted is He above having a son. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. And sufficient is Allah as Disposer of affairs.
Aey ehal-e-kitab! Apney deen kay baray mein hadd say na guzar jao aur Allah per ba-juz haq kay aur kuch na kaho maseeh essa bin marium ( alh-e-salam ) to sirf Allah Taalaa kay rasool aur uss kay kalma ( kunn say peda shuda ) hain jisay marium ( alh-e-salam ) ki taraf daal diya tha aur uss kay pass ki rooh hain iss liye tum Allah ko aur uss kay sab rasoolon ko maano aur na kaho kay Allah teen hain iss say baaz aajao kay tumharay liye behtri hai Allah ibadat kay laeeq to sirf aik hi hai aur woh iss say pak hai kay uss ki aulad ho ussi kay liye hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Aur Allah kafi hai kaam bananey wala.
ऐ अहले-किताब! अपने दीन में हद से आगे न बढ़ो और अल्लाह के बारे में कोई बात हक़ के सिवा न कहो, मसीह ईसा बिन मरियम (अलैहिमस्सलाम) तो बस अल्लाह के एक रसूल और उसका एक कलिमा हैं जिसको उसने मरियम (अलै॰) की तरफ़ डाला था और उसकी जानिब से एक रूह हैं, पस अल्लाह पर और उसके रसूलों पर ईमान लाओ और यह न कहो कि (ख़ुदा) तीन हैं, (ऐसी बातें कहने से) बाज़ आ जाओ यही तुम्हारे हक़ में बेहतर है, माबूद तो बस एक अल्लाह ही है, वह पाक है कि उसकी औलाद हो, उसी का है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, और अल्लाह ही का कारसाज़ होना काफ़ी है।
And [the example of] Mary, the daughter of 'Imran, who guarded her chastity, so We blew into [her garment] through Our angel, and she believed in the words of her Lord and His scriptures and was of the devoutly obedient.
Aur ( misal biyan farmaee ) marium bint-e-imran ki jiss ney apney namoos ki hifazat ki phir hum ney apni taraf say uss mein jaan phook di aur ( marium ) uss ney apney rab ki baaton aur uss ki kitabon ki tasdeeq ki aur ibadat guzaron mein say thi.
और इमरान की बेटी मरयम की मिसाल पेश ही है जिस ने अपने सतीत्व की रक्षा की थी, फिर हम ने उस स्त्री के भीतर अपनी रूह फूँक दी और उस ने अपने रब के बोलों और उस की किताबों की पुष्टि की और वह भक्ति-प्रवृत्त आज्ञाकारियों में से थी
The angels and the Spirit will ascend to Him during a Day the extent of which is fifty thousand years.
Jiss ki taraf farishtay aur rooh charhtay hein aik din mein jiss ki miqdaar pachas hazar saal ki hay
फ़रिश्ते और रूह (जिबरील) उस की ओर चढ़ते हैं, उस दिन में जिस की अवधि पचास हज़ार वर्ष है
The Day that the Spirit and the angels will stand in rows, they will not speak except for one whom the Most Merciful permits, and he will say what is correct.
Jiss din roh or faristy safein bandh ker khary hongay to koi kalam na kersakay ga magar jis say rehman ijazat dayday aur wo thek bat zaban say nikalay
जिस दिन रूह और फ़रिश्ते पंक्तिबद्ध खड़े होंगे, वे बोलेंगे नहीं, सिवाय उस व्यक्ति के जिसे रहमान अनुमति दे और जो ठीक बात कहे
The angels and the Spirit descend therein by permission of their Lord for every matter.
Iss ( mein her kaam ) kay siranjam denay ko apney rab kay hukum say farishty aur rooh ( jibrael ) utertay hain
उस में फ़रिश्तें और रूह हर महत्वपूर्ण मामलें में अपने रब की अनुमति से उतरते हैं