So observe the effects of the mercy of Allah - how He gives life to the earth after its lifelessness. Indeed, that [same one] will give life to the dead, and He is over all things competent.
Pus aap rehmat-e-elahee kay aasaar dekhen kay zamin ki maut kay baad kiss tarah Allah Taalaa ussay zinda ker deta hai? Kuch shak nahi kay wohi murdon ko zinda kerney wala hai aur woh her her cheez per qadir hai.
अतः देखों अल्लाह की दयालुता के चिन्ह! वह किस प्रकार धरती को उस के मृत हो जाने के पश्चात जीवन प्रदान करता है। निश्चय ही वह मुर्दों को जीवत करने वाला है, और उसे हर चीज़ का सामर्थ्य प्राप्ती है
But if We should send a [bad] wind and they saw [their crops] turned yellow, they would remain thereafter disbelievers.
Aur agar hum baad-e-tund chala den aur yeh log inhi kheton ko ( mujahee hui ) zard pari hui dekh len to phir iss kay baad na shukri kerney lagen.
किन्तु यदि हम एक दूसरी हवा भेज दें, जिस के प्रभाव से वे उस (खेती) को पीली पड़ी हुई देखें तो इस के पश्चात वे कुफ़्र करने लग जाएँ
So indeed, you will not make the dead hear, nor will you make the deaf hear the call when they turn their backs, retreating.
Be-shak aap murdon ko nahi suna saktay aur na behron ko ( apni ) awaz suna saktay hain jab kay woh peeth pher ker murr gaye hon.
अतः तुम मुर्दों को नहीं सुना सकते और न बहरों को अपनी पुकार सुना सकते हो, जबकि वे पीठ फेरे चले जा रहे हों
And you cannot guide the blind away from their error. You will only make hear those who believe in Our verses so they are Muslims [in submission to Allah ].
Aur na aap andhon ko unn ki gumrahee say hidayat kerney walay hain aap to sirf unhi logon ko sunatay hain jo humari aayaton per eman rakhtay hain pus wohi itaat kerney walay hain.
और न तुम अंधों को उन की गुमराही से फेरकर मार्ग पर ला सकते हो। तुम तो केवल उन्हीं को सुना सकते हो जो हमारी आयतों पर ईमान लाएँ। तो वही आज्ञाकारी हैं
Allah is the one who created you from weakness, then made after weakness strength, then made after strength weakness and white hair. He creates what He wills, and He is the Knowing, the Competent.
Allah Taalaa wohi hai jiss ney tumhen kamzori ki halat mein peda kiya phir uss kamzori kay baad tawanaee di phir uss tawanaee kay baad kamzori aur burhapa diya jo chahata hai peda kerta hai woh sab say poora waqif aur sab per poora qadir hai.
अल्लाह ही है जिसनें तुम्हें निर्बल पैदा किया, फिर निर्बलता के पश्चात शक्ति प्रदान की; फिर शक्ति के पश्चात निर्बलता और बुढापा दिया। वह जो कुछ चाहता है पैदा करता है। वह जानने वाला, सामर्थ्यवान है
And the Day the Hour appears the criminals will swear they had remained but an hour. Thus they were deluded.
Aur jiss din qayamat barpa ho jayegi gunehgaar log qasmen khayen gay kay ( duniya mein ) aik ghari kay siwa nahi theray issi tarah yeh behkay huyey hi rahey.
जिस दिन वह घड़ी आ खड़ी होगी अपराधी क़सम खाएँगे कि वे घड़ी भर से अधिक नहीं ठहरें। इसी प्रकार वे उलटे फिरे चले जाते थे
But those who were given knowledge and faith will say, "You remained the extent of Allah 's decree until the Day of Resurrection, and this is the Day of Resurrection, but you did not used to know."
Aur jin logon ko ilm aur eman diya gaya woh jawab den gay kay tum to jaisa kitab-ul-llah mein hai yom-e-qayamat tak theray rahey. Aaj ka yeh din qayamat hi ka din hai lekin tum to yaqeen hi nahi mantay thay.
किन्तु जिन लोगों को ज्ञान और ईमान प्रदान हुआ, वे कहेंगे, "अल्लाह के लेख में तो तुम जीवित होकर उठने के दिन तक ठहरे रहे हो। तो यही जीवित हो उठने का दिन है। किन्तु तुम जानते न थे।"
So that Day, their excuse will not benefit those who wronged, nor will they be asked to appease [ Allah ].
Pus uss din zalimo ko unn ka uzur bahana kuch kaam na aaye ga aur na unn say toba aur amal talab kiya jayega.
अतः उस दिन ज़ुल्म करने वालों को उन का कोई उज़्र (सफाई पेश करना) काम न आएगा और न उन से यह चाहा जाएगा कि वे किसी यत्न से (अल्लाह के) प्रकोप को टाल सकें
And We have certainly presented to the people in this Qur'an from every [kind of] example. But, [O Muhammad], if you should bring them a sign, the disbelievers will surely say, "You [believers] are but falsifiers."
Be-shak hum ney iss quran mein logon kay samney kul misaalen biyan ker di hain. Aap inn kay pass koi bhi nishani laayen yeh kafir to yehi kahen gay kay tum ( be-huda go ) bilkul jhootay ho.
हम ने इस क़ुरआन में लोगों के लिए प्रत्येक मिसाल पेश कर दी है। यदि तुम कोई भी निशानी उन के पास ले आओ, जिन लोगों ने इनकार किया है, वे तो यही कहेंगे, "तुम तो बस झूठ घड़ते हो।"
Thus does Allah seal the hearts of those who do not know.
Allah Taalaa unn logon kay dilo per jo samajh nahi rakhtay yun hi mohar ker deta hai.
इस प्रकार अल्लाह उन लोगों के दिलों पर ठप्पा लगा देता है जो अज्ञानी हैं
So be patient. Indeed, the promise of Allah is truth. And let them not disquiet you who are not certain [in faith].
Pus aap sabar keren yaqeenan Allah ka wada sacha hai. Aap ko woh log halka ( bey sabra ) na keren jo yaqeen nahi rakhtay.
अतः धैर्य से काम लो निश्चय ही अल्लाह का वादा सच्चा है और जिन्हें विश्वास नहीं, वे तुम्हें कदापि हल्का न पाएँ