And thus will your Lord choose you and teach you the interpretation of narratives and complete His favor upon you and upon the family of Jacob, as He completed it upon your fathers before, Abraham and Isaac. Indeed, your Lord is Knowing and Wise."
Aur issi tarah tujhay tera perwerdigar bargazeedah keray ga aur tujhay moamla fehmi ( ya khuwabon ki tabeer ) bhi sikhaye ga aur apni nemat tujhay bharpoor ata farmaye ga aur yaqoob kay ghar walon ko bhi jaisay kay uss ney iss say pehlay teray dada aur per-dada yani ibrahim-o-ishaq ko bhi bhar poor apni nemat di yaqeenan tera rab boht baray ilm wala aur zabardast hikmat wala hai.
और इसी तरह तुम्हारा रब तुमको मुंतख़ब करेगा और तुमको बातों की हक़ीक़त तक पहुँचना सिखाएगा और तुम पर और आले-याक़ूब पर अपनी नेमत पूरी करेगा जिस तरह वह इससे पहले तुम्हारे बाप-दादा इब्राहीम और इसहाक़ (अलैहिमस्सलाम) पर अपनी नेमत पूरी कर चुका है, यक़ीनन तुम्हारा रब जानने वाला, हिकमत वाला है।
And He has subjected for you the night and day and the sun and moon, and the stars are subjected by His command. Indeed in that are signs for a people who reason.
Ussi ney raat din aur sooraj chand ko tumharay liye tabey ker diya hai aur sitaray bhi ussi kay hukum kay matehat hain. Yaqeenan iss mein aqal mand logon kay liye kaee aik nishaniyan mojood hain.
और उसने तुम्हारे काम में लगा दिया रात को और दिन को और सूरज और चाँद को, और सितारे भी उसके हुक्म के ताबे हैं, बेशक इसमें निशानियाँ हैं अक़्लमंद लोगों के लिए।
And We had certainly given Abraham his sound judgement before, and We were of him well-Knowing
Yaqeenan hum ney iss say pehlay ibrahim ko iss ki samajh boojh bakhshi thi aur hum iss kay ehwaal say ba-khoobi waqif thay.
और इस से पहले हम ने इबराहीम को उस की हिदायत और समझ दी थी - और हम उसे भली-भाँति जानते थे। -
Indeed, Allah chose Adam and Noah and the family of Abraham and the family of 'Imran over the worlds -
Be-shak Allah Taalaa ney tamam jahaan kay logon mein say aadam ( alh-e-salam ) ko aur nooh ( alh-e-salam ) ko aur ibrahim ( alh-e-salam ) kay khandan aur imran kay khandanon ko muntakhib farma liya.
बेशक अल्लाह ने आदम (अलै॰) को और नूह (अलै॰) को और आले-इब्राहीम और आले-इमरान (अलैहिमुस्सलाम) को पूरी दुनिया के ऊपर मुंतख़ब कर लिया है।
And who is better in religion than one who submits himself to Allah while being a doer of good and follows the religion of Abraham, inclining toward truth? And Allah took Abraham as an intimate friend.
Ba-aetbaar deen kay uss say acha kaun hai? Jo apney ko Allah kay tabey ker dey aur ho bhi neko kaar sath hi yaksui walay ibrahim kay deen ki pairwee ker raha ho aur ibrahim ( alh-e-salam ) ko Allah ney apna dost bana liya hai.
और उससे बेहतर किस का दीन है जो अपना चेहरा अल्लाह की तरफ़ झुकादे इस हाल में कि वह नेकी करने वाला हो और वह चले दीने इब्राहीम पर जो सीधी राह पर चलने वाले थे, और अल्लाह ने इब्राहीम को अपना दोस्त बना लिया था।
And he made it a word remaining among his descendants that they might return [to it].
Aur ibrahim ( alh-e-salam ) issi ko apni aulad mein bhi baqi rehney wali baat qaeem ker gaye takay log ( shirk say ) baaz aatey rahen.
और यही बात वह अपने पीछे (अपनी सन्तान में) बाक़ी छोड़ गया, ताकि वे रुजू करें
And We have already sent Noah and Abraham and placed in their descendants prophethood and scripture; and among them is he who is guided, but many of them are defiantly disobedient.
Be-shak hum ney nooh aur ibrahim ( aleh-e-salam ) ko ( payghumber banaker ) bheja aur hum ney inn dono ki olad mein payghumbari aur kitab jari rakhi to inn mein say kuch to raah yafta huye aur inn mein say aksar boht nafarman rahey.
हम ने नूह और इबराहीम को भेजा और उन दोनों की सन्तान में पैग़म्बरी और क़िताब रख दी। फिर उन में से किसी ने तो संमार्ग अपनाया; किन्तु उन में से अधिकतर अवज्ञाकारी हैं
And [mention, O Muhammad], when Abraham said to his father Azar, "Do you take idols as deities? Indeed, I see you and your people to be in manifest error."
Aur woh waqt bhi yaad kerney kay qabil hai jab ibrahim ( alh-e-salam ) ney apney baap aazar say farmaya kay kiya tu button ko mabood qarar deta hai? Be-shak mein tujh ko aur teri sari qom ko sareeh gumrahi mein dekhta hun.
और जब इब्राहीम (अलै॰) ने अपने बाप आज़र से कहा कि क्या तुम बुतों को ख़ुदा मानते हो? मैं तुमको और तुम्हारी क़ौम को खुली हुई गुमराही में देखता हूँ।