And We have placed over their hearts coverings, lest they understand it, and in their ears deafness. And when you mention your Lord alone in the Qur'an, they turn back in aversion.
Aur inn kay dilon per hum ney pardey daal diye hain kay woh issay samjhen aur inn kay kano mein bojh aur jab tu sirf Allah hi ka zikar uss ki toheed kay sath iss quran mein kerta hai to woh roo gardani kertay peeth pher ker bhag kharay hotay hain.
और हम उनके दिलों पर पर्दा रख देते हैं कि वे उसको न समझें और उनके कानों में गिरानी पैदा कर देते हैं, और जब आप क़ुरआन में तन्हा अपने रब का ज़िक्र करते हो तो वे नफ़रत के साथ पीठ फेर लेते हैं।
So We cast [a cover of sleep] over their ears within the cave for a number of years.
Pus hum ney unn kay kano per ginti kay kaee saal tak issi ghaar mein pardey daal diye.
फिर हम ने उस गुफा में कई वर्षो के लिए उन के कानों पर परदा डाल दिया
Or [it is] like a rainstorm from the sky within which is darkness, thunder and lightning. They put their fingers in their ears against the thunderclaps in dread of death. But Allah is encompassing of the disbelievers.
Ya aasmani barsaat ki tarah jiss mein andheriyan aur garaj aur bijli ho maut ki darr say karakay ki waja say apni ungliyan apney kaanon mein daal letay hain. Aur Allah Taalaa kafiron ko gherney wala hai.
या फिर (उन मुनाफ़िक़ों की मिसाल ऐसी है) जैसे आसमान से बरसती एक बारिश हो, जिसमें अंधेरियाँ भी हों और गरज भी और चमक भी, वे कड़कों की आवाज़ पर मौत के ख़ौफ़ से अपनी उंगलियाँ अपने कानों में दे लेते हैं, और अल्लाह ने काफ़िरों को घेरे में ले रखा है।
So have they not traveled through the earth and have hearts by which to reason and ears by which to hear? For indeed, it is not eyes that are blinded, but blinded are the hearts which are within the breasts.
Kiya enhon ney zamin mein sair-o-sayyaahat nahi ki jo inn kay dil inn baton kay samajhney walay hotay ya kano say hi inn ( waqeeyaat ) ko sunn letay baat yeh hai kay sirf aankhen hi andhi nahi hotin bulkay woh dil andhay ho jatay hain jo seeno mein hain.
क्या वे धरती में चले फिरे नहीं हैं कि उन के दिल होते जिनसे वे समझते या (कम से कम) कान होते जिनसे वे सुनते? बात यह है कि आँखें अंधी नहीं हो जातीं, बल्कि वे दिल अंधे हो जाते हैं जो सीनों में होते हैं
And when our verses are recited to him, he turns away arrogantly as if he had not heard them, as if there was in his ears deafness. So give him tidings of a painful punishment.
Jab iss kay samney humari aayaten tilawat ki jati hain to takabbur kerta hua iss tarah say mun pher leta hai goya uss ney suna hi nahi goya kay uss kay dono kano mein daat lagay huyey hain aap issay dardnaak azab ki khabar suna dijiye.
जब उसे हमारी आयतें सुनाई जाती हैं तो वह स्वयं को बड़ा समझता हुआ पीठ फेरकर चल देता है, मानो उस ने उन्हें सुना ही नहीं, मानो उस के कान बहरे हैं। अच्छा तो उसे एक दुखद यातना की शुभ सूचना दे दो
Among the Jews are those who distort words from their [proper] usages and say, "We hear and disobey" and "Hear but be not heard" and "Ra'ina," twisting their tongues and defaming the religion. And if they had said [instead], "We hear and obey" and "Wait for us [to understand]," it would have been better for them and more suitable. But Allah has cursed them for their disbelief, so they believe not, except for a few.
Baaz yahud kalmaat ko unn ki theek jagah say hair pher ker detay hain aur kehtay hain kay hum ney suna aur na farmani ki aur sunn iss kay baghair kay tu suna jaye aur humari riyayat ker! ( lekin iss kay kehney mein ) apni zaban ko paich detay hain aur deen mein taana detay hain aur agar yeh log kehtay kay hum ney suna aur hum ney farmanbardari ki aur aap suniye aur humen dekhiye to yeh inn kay liye boht behtar aur nihayat hi munasib tha lekin Allah Taalaa ney inn kay kufur ki waja say enhen laanat ki hai. Pus yeh boht hi kum eman latay hain.
यहूद में से एक गिरोह बात को उसके ठिकाने से हटा देता है और कहता है कि हमने सुना लेकिन उसे नहीं माना, और कहते हैं कि सुनो और तुम्हें सुनवाया न जाए, वह अपनी जु़बान को मोड़ कर कहते हैं (राअि़ना) दीन में ऐब लगाने के लिए, हालाँकि अगर वे कहते कि हमने सुना और हमने मान लिया और सुनो और हम पर नज़र करो तो यह उनके हक़ में ज़्यादा बेहतर और दुरुस्त होता, मगर अल्लाह ने उनके इनकार की वजह से उनपर लानत कर दी, पस वे ईमान न लाएंगे मगर बहुत कम।
And they say, "Our hearts are within coverings from that to which you invite us, and in our ears is deafness, and between us and you is a partition, so work; indeed, we are working."
Aur enhon ney kaha kay tu jiss ki taraf humen bula raha hai humaray dil to iss say parday mein hain aur humaray kaano mein giraani hai aur hum mein aur tujh mein aik hijab hai acha tu abb apna kaam kiyey ja hum bhi yaqeenan kaam kerney walay hain.
और उन का कहना है कि "जिस की ओर तुम हमें बुलाते हो उस के लिए तो हमारे दिल आवरणों में हैं। और हमारे कानों में बोझ है। और हमारे और तुम्हारे बीच एक ओट है; अतः तुम अपना काम करो, हम तो अपना काम करते हैं।"
And among them are those who listen to you, but We have placed over their hearts coverings, lest they understand it, and in their ears deafness. And if they should see every sign, they will not believe in it. Even when they come to you arguing with you, those who disbelieve say, "This is not but legends of the former peoples."
Aur inn mein baaz aisay hain kay aap ki taraf kaan lagatay hain aur hum ney inn kay dilon per parda daal rakha hai iss say kay woh iss ko samjhen aur inn kay kanon mein daat dey rakhi hai aur agar woh log tamam dalaeel ko dekh len to bhi inn per kabhi eman na layen yahan tak kay jab yeh log aap kay pass aatay hain to aap say khuwa ma-khuwa jhagartay hain yeh log jo kafir hain yun kehtay hain kay yeh to kuch bhi nahi sirf bey sanad baaten hain jo pehlon say chali aarahi hain.
और उनमें से बअज़ लोग ऐसे हैं जो आपकी तरफ़ कान लगाते है; हालाँकि हमने उनके दिलों पर पर्दा डाल दिए हैं कि वे उसको न समझें और उनके कानों में बोझ है, अगर वे तमाम निशानियाँ भी देख लें तब भी उन पर ईमान न लाएंगे, यहाँ तक कि जब वे आपके पास आपसे झगड़ने आते हैं तो वे मुनकिर कहते हैं कि ये तो बस पहले लोगों की कहानियाँ हैं।
And We have certainly created for Hell many of the jinn and mankind. They have hearts with which they do not understand, they have eyes with which they do not see, and they have ears with which they do not hear. Those are like livestock; rather, they are more astray. It is they who are the heedless.
Aur hum ney aisay boht say jinn aur insan dozakh kay liye peda kiye hain jin kay dil aisay hain jin say nahi samajhtay aur jin ki aankhen aisi hain jin say nahi dekhtay aur jin kay kaam aisay hain jin say nahi suntay. Yeh log chopayon ki tarah hain bulkay yeh unn say bhi ziyada gumrah hain. Yeho log ghafil hain.
और हमने जिन्नात और इंसान में से बहुतों को जहन्नम के लिए पैदा किया है, उनके दिल हैं जिनसे वे समझते नहीं, उनकी आँखें हैं जिनसे वे देखते नहीं और उनके कान हैं जिनसे वे सुनते नहीं, वे ऐसे हैं जैसे चौपाये बल्कि उनसे भी ज़्यादा बे-राह, यही लोग ग़ाफ़िल हैं।
And indeed, every time I invited them that You may forgive them, they put their fingers in their ears, covered themselves with their garments, persisted, and were arrogant with [great] arrogance.
Mein ney jab khabi unhein teri bakhsish kay liye bulaya unhon ney apni ungliyan apney kaano mein daal lein aur apney kapron ko orh liya aur urh gaye aur bara takabur kiya
"और जब भी मैंने उन्हें बुलाया, ताकि तू उन्हें क्षमा कर दे, तो उन्होंने अपने कानों में अपनी उँगलियाँ दे लीं और अपने कपड़ो से स्वयं को ढाँक लिया और अपनी हठ पर अड़ गए और बड़ा ही घमंड किया
And among them are those who abuse the Prophet and say, "He is an ear." Say, "[It is] an ear of goodness for you that believes in Allah and believes the believers and [is] a mercy to those who believe among you." And those who abuse the Messenger of Allah - for them is a painful punishment.
Inn mein say woh bhi hain jo payghumbar ko ezza detay hain kehtay hain kay kaan ka kacha hai aap keh dijiye kay woh kaan tumharay bhalay kay liye hai woh Allah per eman rakha hai aur musalamanon ki baaton ka yaqeen kerta hai aur tum mein say jo ehal-e-eman hain yeh unn kay liye rehmat hai rasool Allah ( PBUH ) ko jo log ezze detay hain unn kay liye dukh ki maar hai.
और उनमें वे लोग भी हैं जो नबी को दुख देते हैं और कहते हैं कि यह शख़्स तो कान का कच्चा है, कह दीजिए कि वह तुम्हारी भलाई के लिए कान है, वे अल्लाह पर ईमान रखते हैं और अहले-ईमान पर एतमाद करते हैं और वे रहमत हैं उनके लिए जो तुम में अहले-ईमान हैं, और जो लोग अल्लाह और उसके रसूल को दुख देते हैं उनके लिए दर्दनाक सज़ा है।