The Jews say "The Christians have nothing [true] to stand on," and the Christians say, "The Jews have nothing to stand on," although they [both] recite the Scripture. Thus the polytheists speak the same as their words. But Allah will judge between them on the Day of Resurrection concerning that over which they used to differ.
Yahud kehtay hain kay nasrani haq per nahi aur nasrani kehtay hain kay yahudi haq per nahi halankay yeh sab log toraat parhtay hain issi tarah inn hi jaisi baat bey ilm bhi kehtay hain. Qayamat kay din Allah inn kay iss ikhtilaf ka faisla inn kay darmiyan ker dey ga.
और यहूद ने कहा कि नसारा किसी चीज़ पर नहीं, और नसारा ने कहा कि यहूद किसी चीज़ पर नहीं, हालाँकि वे सब आसमानी किताब पढ़ते हैं, इसी तरह उन लोगों ने कहा जिनके पास इल्म नहीं उन्हीं की सी बात, पस अल्लाह क़यामत के दिन उनके दरमियान उस बात का फ़ैसला करेगा जिसमें वे झगड़ रहे थे।
Indeed, the religion in the sight of Allah is Islam. And those who were given the Scripture did not differ except after knowledge had come to them - out of jealous animosity between themselves. And whoever disbelieves in the verses of Allah , then indeed, Allah is swift in [taking] account.
Be-shak Allah Taalaa kay nazdeek deen islam hi hai aur ehal-e-kitab ney apney pass ilm aa janey kay baad aapas ki sirkashi aur hasad ki bina per hi ikhtilaf kiya hai aur Allah Taalaa ki aayaton kay sath jo bhi kufur keray Allah Taalaa uss ka jald hisab lenay wala hai.
(क़ाबिले-क़बूल) दीन तो अल्लाह के नज़दीक सिर्फ़ इस्लाम ही है, और अहले-किताब ने इख़्तिलाफ़ नहीं किया मगर बाद इसके कि उनको सही इल्म पहुँच चुका था आपस की ज़िद की वजह से, और जो कोई इनकार करे अल्लाह की आयतों का तो अल्लाह यक़ीनन जल्द हिसाब लेने वाला है।
Do you not consider, [O Muhammad], those who were given a portion of the Scripture? They are invited to the Scripture of Allah that it should arbitrate between them; then a party of them turns away, and they are refusing.
Kiya aap ney unhen nahi dekha jinhen aik hissa kitab ki diya gaya hai woh apney aapas kay faislon kay liye Allah Taalaa ki kitab ki taraf bulaye jatay hain phir bhi aik jamat inn ki mun pher ker lot jati hai.
क्या तुमने उन लोगों को नहीं देखा जिनको अल्लाह की किताब का एक हिस्सा दिया गया था, उनको अल्लाह की किताब की तरफ़ बुलाया जा रहा है ताकि वे उनके दरमियान फ़ैसला करे, फिर उनमें का एक गिरोह मुँह फेर लेता है बेरुख़ी करते हुए।
But no, by your Lord, they will not [truly] believe until they make you, [O Muhammad], judge concerning that over which they dispute among themselves and then find within themselves no discomfort from what you have judged and submit in [full, willing] submission.
So qasam hai teray perwerdigar ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap ko haakim na maan len phir jo faisla aap inn mein ker den inn say apney dil mein kissi tarah ki tangi aur na khushi na payen aur farmanbardari kay sath qabool kerlen.
पस आपके रब की क़सम! वे लोग कभी ईमान लाने वाले नहीं हो सकते जब तक वे अपने आपस के झगड़े में आपको फ़ैसला करने वाला न मान लें, फिर जो फ़ैसला आप करें उस पर अपने दिलों में कोई तंगी न पाएं और उसको ख़ुशी से क़बूल कर लें।
And mankind was not but one community [united in religion], but [then] they differed. And if not for a word that preceded from your Lord, it would have been judged between them [immediately] concerning that over which they differ.
Aur tamam log aik hi ummat kay thay phir unhon ney ikhtilaf peda ker liya aur agar aik baat na hoti jo aap kay rab ki taraf say pehlay thehar chuki hai to jiss cheez mein yeh log ikhtilaf ker rahey hain unn ka qataee faisla ho chuka hota.
और लोग एक ही उम्मत थे फ़िर उन्होंने इख़्तिलाफ़ किया, और अगर आपके रब की तरफ़ से एक बात पहले से न ठहर चुकी होती तो उनके दरमियान उस बात का फ़ैसला कर दिया जाता जिसमें वे इख़्तिलाफ़ कर रहे हैं।
And [mention, O Muhammad], the Day We will gather them all together - then We will say to those who associated others with Allah , "[Remain in] your place, you and your 'partners.' " Then We will separate them, and their "partners" will say, "You did not used to worship us,
Aur woh din bhi qabil-e-ziker hai jiss roz hum inn sab ko jama keren gay phir mushrikeen say kahen gay kay tum aur tumharay shareek apni jagah thehro phir hum inn kay aapas mein phoot daal den gay aur inn kay woh shurka kahen gay kay tum humari ibadat nahi kertay thay.
और जिस दिन हम उन सब को जमा करेंगे फिर हम शिर्क करने वालों से कहेंगे कि ठहरो तुम भी और तुम्हारे बनाए हुए शरीक भी, फिर हम उनके दरमियान तफ़रीक़ कर देंगे और उनके शरीक कहेंगे कि तुम हमारी इबादत तो नहीं करते थे।
And on the Day when He will gather them, [it will be] as if they had not remained [in the world] but an hour of the day, [and] they will know each other. Those will have lost who denied the meeting with Allah and were not guided
Aur inn ko woh din yaad dulaiye jiss mein Allah inn ko ( apney huzoor ) jama keray ga ( to inn ko aisa mehsoos hoga ) kay goya woh ( duniya mein ) saray din ki aik aadh ghari rahey hongay aur aapas mein aik doosray ko pehchanney ko thehray hon. Waqaee khasaray mein paray woh log jinhon ney Allah kay pass janey ko jhutlaya aur woh hudayat paney walay na thay.
और जिस दिन अल्लाह उनको जमा करेगा, गोया कि वे बस दिन की घड़ी दुनिया में थे, वे एक-दूसरे को पहचानेंगे, बेशक सख़्त घाटे में रहे वे लोग जिन्होंने अल्लाह से मिलने को झुठलाया और वे राहे-रास्त पर न आए।
And for every nation is a messenger. So when their messenger comes, it will be judged between them in justice, and they will not be wronged
Aur her ummat kay liye aik rasool hai so jab unn kay woh rasool aa chukta hai unn ka faisla insaf kay sath kiya jata hai aur unn per zulm nahi kiya jata.
और हर उम्मत के लिए एक रसूल है, फिर जब उनका रसूल आ जाता है तो उनके दरमियान इंसाफ़ के साथ फ़ैसला कर दिया जाता है और उन पर कोई जु़ल्म नहीं होता।
And if each soul that wronged had everything on earth, it would offer it in ransom. And they will confide regret when they see the punishment; and they will be judged in justice, and they will not be wronged
Aur agar her jaan jiss ney zulm ( shirk ) kiya hai kay pass itna ho kay sari zamin bhar jaye tab bhi uss ko dey ker apni jaan bachaney lagay aur jab azab ko dekhen gay tp pasheymani ko posheeda rakhen gay. Aur inn ka faisla insaf kay sath hoga. Aur inn per zulm na hoga.
और अगर हर ज़ालिम के पास वे सब कुछ हो जो ज़मीन में है तो वह उसको फ़िदये में दे देना चाहेगा, और जब वे अज़ाब को देखेंगे तो अपने दिल में पछताएंगे, और उनके दरमियान इंसाफ़ के साथ फ़ैसला कर दिया जाएगा और उन पर ज़ुल्म न होगा।
And We had certainty settled the Children of Israel in an agreeable settlement and provided them with good things. And they did not differ until [after] knowledge had come to them. Indeed, your Lord will judge between them on the Day of Resurrection concerning that over which they used to differ
Aur hum ney bani israeel ko boht acha thikana rehney ko diya aur hum ney unhen pakeezah cheezen khaney ko den. So unhon ney ikhtilaf nahi kiya yahan tak kay unn kay pass ilm phonch gaya. Yaqeeni baat hai kay aap ka rab unn kay darmiyan qayamat kay din unn umoor mein faisla ker dey ga jinn mein woh ikhtilaf kertay thay.
और हमने बनी-इस्राईल को अच्छा ठिकाना दिया और उनको पाकीज़ा चीज़ें खाने के लिए दीं, फिर उन्होंने इख़्तिलाफ़ नहीं किया मगर उस वक़्त जबकि उनके पास इल्म आ चुका था, यक़ीनन आपका रब क़यामत के दिन उनके दरमियान उस चीज़ का फ़ैसला कर देगा जिस में वे इख़्तिलाफ़ करते रहे।