And I have followed the religion of my fathers, Abraham, Isaac and Jacob. And it was not for us to associate anything with Allah . That is from the favor of Allah upon us and upon the people, but most of the people are not grateful.
Mein apney baap dadon kay deen ka paband hun yani ibrahim-o-ishaq aur yaqoob kay deen ka humen hergiz yeh saza waar nahi kay hum Allah Taalaa kay sath kissi ko bhi shareek keren hum per aur tamam aur logon per Allah Taalaa ka yeh khas fazal hai lekin aksar log na shukri kertay hain.
और मैंने अपने बुज़ुर्गों इब्राहीम और इसहाक़ और याक़ूब (अलैहिमुस्सलाम) के मज़हब की पैरवी की, हमको यह हक़ नहीं कि हम किसी चीज़ को अल्लाह का शरीक ठहराएं, यह अल्लाह का फ़ज़्ल है हमारे ऊपर और सब लोगों के ऊपर मगर अकसर लोग शुक्र नहीं करते।
And He has subjected for you the night and day and the sun and moon, and the stars are subjected by His command. Indeed in that are signs for a people who reason.
Ussi ney raat din aur sooraj chand ko tumharay liye tabey ker diya hai aur sitaray bhi ussi kay hukum kay matehat hain. Yaqeenan iss mein aqal mand logon kay liye kaee aik nishaniyan mojood hain.
और उसने तुम्हारे काम में लगा दिया रात को और दिन को और सूरज और चाँद को, और सितारे भी उसके हुक्म के ताबे हैं, बेशक इसमें निशानियाँ हैं अक़्लमंद लोगों के लिए।
Our Lord, and make us Muslims [in submission] to You and from our descendants a Muslim nation [in submission] to You. And show us our rites and accept our repentance. Indeed, You are the Accepting of repentance, the Merciful.
Aey humaray rab! Humen apne farmanbardar bana ley aur humari aulad mein say bhi aik jamat ko apni ita’at guzaar rakh aur humen apni ibadaten sikha aur humari tauba qabool farma tu tauba qabool farmaney wala aur reham-o-karam kerney wala hai.
ऐ हमारे रब! हमको अपना फ़रमाँबरदार बना, और हमारी नस्ल में से अपनी एक फ़रमाँबरदार उम्मत उठा, और हमको हमारे इबादत के तरीक़े बता, और हमको माफ़ फ़रमा, तू ही माफ़ करने वाला रहम करने वाला है।
And We had certainly given Abraham his sound judgement before, and We were of him well-Knowing
Yaqeenan hum ney iss say pehlay ibrahim ko iss ki samajh boojh bakhshi thi aur hum iss kay ehwaal say ba-khoobi waqif thay.
और इस से पहले हम ने इबराहीम को उस की हिदायत और समझ दी थी - और हम उसे भली-भाँति जानते थे। -
O People of the Scripture, why do you argue about Abraham while the Torah and the Gospel were not revealed until after him? Then will you not reason?
Aey ehal-e-kitab! Tum ibrahim ki babat kiyon jhagartay ho halankay toraat-o-injeel to unn kay baad nazil ki gaeen kiya tum phir bhi nahi samjhtay?
ऐ अहले-किताब! तुम इब्राहीम (अलै॰) के बारे में क्यों झगड़ते हो! हालाँकि तौरात और इंजील तो उसके बाद ही उतरी हैं, क्या तुम इसको नहीं समझते?
And who is better in religion than one who submits himself to Allah while being a doer of good and follows the religion of Abraham, inclining toward truth? And Allah took Abraham as an intimate friend.
Ba-aetbaar deen kay uss say acha kaun hai? Jo apney ko Allah kay tabey ker dey aur ho bhi neko kaar sath hi yaksui walay ibrahim kay deen ki pairwee ker raha ho aur ibrahim ( alh-e-salam ) ko Allah ney apna dost bana liya hai.
और उससे बेहतर किस का दीन है जो अपना चेहरा अल्लाह की तरफ़ झुकादे इस हाल में कि वह नेकी करने वाला हो और वह चले दीने इब्राहीम पर जो सीधी राह पर चलने वाले थे, और अल्लाह ने इब्राहीम को अपना दोस्त बना लिया था।
And he made it a word remaining among his descendants that they might return [to it].
Aur ibrahim ( alh-e-salam ) issi ko apni aulad mein bhi baqi rehney wali baat qaeem ker gaye takay log ( shirk say ) baaz aatey rahen.
और यही बात वह अपने पीछे (अपनी सन्तान में) बाक़ी छोड़ गया, ताकि वे रुजू करें
And We have already sent Noah and Abraham and placed in their descendants prophethood and scripture; and among them is he who is guided, but many of them are defiantly disobedient.
Be-shak hum ney nooh aur ibrahim ( aleh-e-salam ) ko ( payghumber banaker ) bheja aur hum ney inn dono ki olad mein payghumbari aur kitab jari rakhi to inn mein say kuch to raah yafta huye aur inn mein say aksar boht nafarman rahey.
हम ने नूह और इबराहीम को भेजा और उन दोनों की सन्तान में पैग़म्बरी और क़िताब रख दी। फिर उन में से किसी ने तो संमार्ग अपनाया; किन्तु उन में से अधिकतर अवज्ञाकारी हैं
Say, "Indeed, my Lord has guided me to a straight path - a correct religion - the way of Abraham, inclining toward truth. And he was not among those who associated others with Allah ."
Aap keh dijiye kay mujh ko meray rab ney aik seedha raasta bata diya hai kay woh aik deen mustehkum hai jo tareeqa hai ibrahim ( alh-e-salam ) ka jo Allah ki taraf raksoo thay. Aur woh shirk kerney walon mein say na thay.
आप कह दीजिए कि मेरे रब ने मुझको तो सीधा रास्ता बता दिया है दुरुस्त दीन इब्राहीम (अलै॰) की मिल्लत की शक्ल में जो सीधी राह पर चलने वाले थे और शिर्क करने वालों में से न थे।