Except whom your Lord has given mercy, and for that He created them. But the word of your Lord is to be fulfilled that, "I will surely fill Hell with jinn and men all together."
Ba-juz unn per jin per aap ka rab reham farmaye unhen to issi lie peda kiya hai aur aap kay rab ki yeh baat poori hai kay mein jahannum ko jinno aur insanon sab say pur keroon ga.
सिवाए उनके जिन पर आपका रब रहम फ़रमाए, और उसने इसी लिए उनको पैदा किया है, और आपके रब की बात पूरी हुई कि मैं जहन्नम को जिन्नात और इंसानों से इकट्ठे भर दूँगा।
And We gave him good in this world, and indeed, in the Hereafter he will be among the righteous.
Hum ney ussay duniya mein bhi behtri di thi aur be-shak woh aakhirat mein neko kaaron mein say hain.
और हमने उसको दुनिया में भी भलाई दी और यक़ीनन आख़िरत में भी वे अच्छे लोगों में से होगा।
And your Lord is most knowing of whoever is in the heavens and the earth. And We have made some of the prophets exceed others [in various ways], and to David We gave the book [of Psalms].
Aasamno-o-zamin mein jo bhi hai aap ka rab sab ko bakhoobi janta hai. Hum ney baaz payghumbaron ko baaz per behtari aur bartari di hai aur dawood ko zaboor hum ney ata farmaee hai.
और आपका रब ख़ूब जानता है उनको जो आसमानों और ज़मीन में हैं, और हमने बअज़ नबियों को बअज़ पर फ़ज़ीलत दी और हमने दाऊद (अलै॰) को ज़बूर दी।
When he called to his Lord a private supplication.
Jabkay uss ney apney rab say chupkay chupkay dua ki thi.
जबकि उस ने अपने रब को चुपके से पुकारा
Those messengers - some of them We caused to exceed others. Among them were those to whom Allah spoke, and He raised some of them in degree. And We gave Jesus, the Son of Mary, clear proofs, and We supported him with the Pure Spirit. If Allah had willed, those [generations] succeeding them would not have fought each other after the clear proofs had come to them. But they differed, and some of them believed and some of them disbelieved. And if Allah had willed, they would not have fought each other, but Allah does what He intends.
Yeh rasool hain jin mein say hum ney baaz ko baaz per fazilat di hai inn mein say baaz woh hain jin say Allah Taalaa ney baat cheet ki hai aur baaz kay darjay buland kiye hain aur hum ney essa bin marium ko moajzaat ata farmaye aur rooh-ul-qudus say unn ki taeed ki. Agar Allah Taalaa chahata to unn kay baad aaney walay apney pass daleel aajaney kay baad hegiz aapas mein laraee bhiraee na kertay lekin unn logon ney ikhtilaf kiya inn mein say baaz to momin huye aur baaz kafir aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aapas mein na lartay lekin Allah Taalaa jo chahata hai kerta hai.
उन पैग़म्बरों में से बअज़ को हमने बअज़ पर फ़ज़ीलत दी, उनमें से बअज़ से अल्लाह ने कलाम किया और बअज़ के दरजात बुलंद किए, और हमने ईसा बिन मरियम (अलै॰) को खुली निशानियाँ दीं, और हमने उनकी मदद की रूहुल-क़ुदुस (जिब्राईल) से, अगर अल्लाह चाहता तो आपस में न लड़ते उनके बाद आने वाले बाद इसके कि उनके पास खुली निशानियाँ आ चुकीं, मगर उन्होंने इख़्तिलाफ़ किया, फिर उनमें से कोई ईमान लाया और किसी ने इनकार किया, और अगर अल्लाह चाहता तो वे न लड़ते, मगर अल्लाह करता है जो वह चाहता है।
And He will teach him writing and wisdom and the Torah and the Gospel
Allah Taalaa ussay likhna aur hikmat aur toraat aur injeel sikhaya ga.
और अल्लाह उसको किताब और हिकमत और तौरात और इंजील सिखाएगा।
[All] praise is [due] to Allah , to whom belongs whatever is in the heavens and whatever is in the earth, and to Him belongs [all] praise in the Hereafter. And He is the Wise, the Acquainted.
Tamam tareefen uss Allah kay liye sazawaar hain jiss ki milkiyat mein woh sab kuch hai jo aasmano aur zamin mein hai aakhirat mein bhi tareef ussi kay liye hai woh ( bari ) hikmaton wala aur ( poora ) khabardaar hai.
प्रशंसा अल्लाह ही के लिए है जिस का वह सब कुछ है जो आकाशों और धरती में है। और आख़िरत में भी उसी के लिए प्रशंसा है। और वही तत्वदर्शी, ख़बर रखने वाला है
Indeed, We have revealed to you, [O Muhammad], as We revealed to Noah and the prophets after him. And we revealed to Abraham, Ishmael, Isaac, Jacob, the Descendants, Jesus, Job, Jonah, Aaron, and Solomon, and to David We gave the book [of Psalms].
Yaqeenan hum ney aap ki taraf issi tarah wahee ki hai jaisay kay nooh ( alh-e-salam ) aur inn kay baad walay nabiyon ki taraf ki aur hum ney wahee ki ibrahim aur isamail aur ishaq aur yaqoob aur unn ki aulad per aur essa aur ayub aur younus aur haroon aur suleman ki taraf. Aur hum ney dawood ( alh-e-salam ) ko zaboor ata farmaee.
हमने आप की तरफ़ वह्य भेजी है जिस तरह हमने नूह (अलै॰) और उनके बाद के नबियों की तरफ़ वह्य भेजी थी, और हमने वह्य भेजी थी इब्राहीम और इस्माईल और इसहाक़ और याक़ूब और औलादे-याक़ूब और ईसा और अय्यूब और यूनुस और हारून और सुलेमान (अलैहिमुस्सलाम) की तरफ़, और हमने दाऊद (अलै॰) को ज़बूर अता की।
And protect them from the evil consequences [of their deeds]. And he whom You protect from evil consequences that Day - You will have given him mercy. And that is the great attainment."
Enhen burayion say bhi mehfooz rakh hq to yeh hai kay uss din tu ney jissay burayion say bacha liya uss per tu ney rehmat kerdi aur boht bari kaamyabi to yehi hai.
और उन्हें अनिष्टों से बचा। जिसे उस दिन तूने अनिष्टों से बचा लिया, तो निश्चय ही उस पर तूने दया की। और वही बड़ी सफलता है।"
Indeed, We have given you, [O Muhammad], a clear conquest
Be-shak ( aey nabi ) hum ney aap ko aik khullam khulla fatah di hai.
निश्चय ही हम ने तुम्हारे लिए एक खुली विजय प्रकट की,
And thus did We show Abraham the realm of the heavens and the earth that he would be among the certain [in faith]
Aur hum ney aisay hi tor per ibrahim ( alh-e-salam ) ko aasmanon aur zamin ki makhlooqaat dikhlaeen aur takay kaamil yaqeen kerney walon say hojayen.
और इसी तरह हमने इब्राहीम (अलै॰) को दिखा दी आसमानों और ज़मीन की हुकूमत और ताकि वे यक़ीन करने वालों में से बन जाएं।
And indeed, you are of a great moral character.
Aur be-shak tu both baray ( umda ) ikhlaq per hai.
निस्संदेह तुम एक महान नैतिकता के शिखर पर हो