Praise to Allah , who has granted to me in old age Ishmael and Isaac. Indeed, my Lord is the Hearer of supplication.
Allah ka shukar hai jiss ney mujhay iss burhapay mein ismail ( alh-e-salam ) aur ishaq ( alh-e-salam ) ata farmaye. Kuch shak nahi kay mera palanhaar Allah duaon ka sunnay wala hai.
शुक्र है उस अल्लाह का जिसने मुझको बुढ़ापे में इस्माईल और इसहाक (अलैहिमस्सलाम) दिए, बेशक मेरा रब दुआ का सुनने वाला है।
And mention in the Book, Ishmael. Indeed, he was true to his promise, and he was a messenger and a prophet.
Iss kitab mein ismail ( alh-e-salam ) ka waqiya bhi biyan ker woh bara hi waday ka sacha tha aur tha bhi rasool aur nabi.
और इस किताब में इसमाईल की चर्चा करो। निस्संदेह वह वादे का सच्च, नबी था
And [mention] when We made the House a place of return for the people and [a place of] security. And take, [O believers], from the standing place of Abraham a place of prayer. And We charged Abraham and Ishmael, [saying], "Purify My House for those who perform Tawaf and those who are staying [there] for worship and those who bow and prostrate [in prayer]."
Hum ney bait-ullah ko logon kay liye sawab aur aman-o-aman ki jagah banaee tum muqam-e-ibrahim ko jaye namaz muqarrar ker lo hum ney ibrahim ( alh-e-salam ) aur ismail ( alh-e-salam ) say wada liya kay tum meray ghar ko tawaf kerney walon aur aeytikaaf kerney walon aur rukoo sajda kerney walon kay pak saaf rakho.
और जब हमने काबा को लोगों के इज्तिमा की जगह, और अमन का मक़ाम ठहराया, और (हुक्म दिया कि) मक़ामे-इब्राहीम को नमाज़ पढ़ने की जगह बना लो, और इब्राहीम और इस्माईल को ताकीद की कि मेरे घर को तवाफ़ करने वालों, एतिकाफ़ करने वालों और रुकूअ व सुजूद करने वालों के लिए पाक रखो।
And [mention] Ishmael and Idrees and Dhul-Kifl; all were of the patient.
Aur ismail ( alh-e-salam ) aur idris ( alh-e-salam ) aur zulkifl ( alh-e-salam ) yeh sab sabir log thay.
और इसमाईल और इदरीस और ज़ुलकिफ़्ल पर भी कृपा-स्पष्ट की। इन में से प्रत्येक धैर्यवानों में से था
Say, "We have believed in Allah and in what was revealed to us and what was revealed to Abraham, Ishmael, Isaac, Jacob, and the Descendants, and in what was given to Moses and Jesus and to the prophets from their Lord. We make no distinction between any of them, and we are Muslims [submitting] to Him."
Aap keh dijiye kay hum Allah Taalaa per aur jo kuch hum per utara gaya hai aur jo kuch ibrahim ( alh-e-salam ) aur ismail ( alh-e-salam ) aur yaqoob ( alh-e-salam ) aur unn ki aulad per utara gaya aur jo kuch musa ( alh-e-salam ) aur essa ( alh-e-salam ) aur doosray anbiya Allah Taalaa ki taraf say diya gaye unn sab per eman laye hum inn mein say kissi kay darmiyan farq nahi kertay aur hum Allah Taalaa kay farmanbardar hain.
(ऐ नबी) आप कह दें कि हम अल्लाह पर ईमान लाए और उस पर जो हमारे ऊपर उतारा गया, और जो उतारा गया इब्राहीम और इस्माईल (अलैहिमस्सलाम) पर, और इसहाक़ व याक़ूब (अलैहिमस्सलाम) पर और औलादे-याक़ूब पर, और जो दिया गया मूसा और ईसा (अलैहिमस्सलाम) और दूसरे नबियों को उनके रब की तरफ़ से, हम उनके दरमियान फ़र्क़ नहीं करते और हम उसी के फ़रमाँबरदार हैं।
And when he reached with him [the age of] exertion, he said, "O my son, indeed I have seen in a dream that I [must] sacrifice you, so see what you think." He said, "O my father, do as you are commanded. You will find me, if Allah wills, of the steadfast."
Phir jab woh ( bacha ) itni umar ko phoncha kay uss kay sath chalay phiray to uss ( ibrahim alh-e-salam ) ney kaha meray piyaray bachay! Mein khuwab mein apnay aap ko tujhay zibah kertay huyey dekh raha hun. Abb tu bata kay teri kiya raye hai? Betay ney jawab diya kay abba! Jo hukum hua hai ussay baja layiye inshaAllah aap mujhay sabar kerney walon mein say payen gay.
फिर जब वह उस के साथ दौड़-धूप करने की अवस्था को पहुँचा तो उस ने कहा, "ऐ मेरे प्रिय बेटे! मैं स्वप्न में देखता हूँ कि तुझे क़ुरबान कर रहा हूँ। तो अब देख, तेरा क्या विचार है?" उस ने कहा, "ऐ मेरे बाप! जो कुछ आप को आदेश दिया जा रहा है उसे कर डालिए। अल्लाह ने चाहा तो आप मुझे धैर्यवान पाएँगे।"
And remember Ishmael, Elisha and Dhul-Kifl, and all are among the outstanding.
Ismail, yasa aur zulkifil ( al-e-heem-us-salam ) ka bhi zikar ker dijiye. Yeh sab behtareen log thay.
इसमाईल और अल-यसअ और ज़ुलकिफ़्ल को भी याद करो। इनमें से प्रत्येक ही अच्छा रहा है
Indeed, We have revealed to you, [O Muhammad], as We revealed to Noah and the prophets after him. And we revealed to Abraham, Ishmael, Isaac, Jacob, the Descendants, Jesus, Job, Jonah, Aaron, and Solomon, and to David We gave the book [of Psalms].
Yaqeenan hum ney aap ki taraf issi tarah wahee ki hai jaisay kay nooh ( alh-e-salam ) aur inn kay baad walay nabiyon ki taraf ki aur hum ney wahee ki ibrahim aur isamail aur ishaq aur yaqoob aur unn ki aulad per aur essa aur ayub aur younus aur haroon aur suleman ki taraf. Aur hum ney dawood ( alh-e-salam ) ko zaboor ata farmaee.
हमने आप की तरफ़ वह्य भेजी है जिस तरह हमने नूह (अलै॰) और उनके बाद के नबियों की तरफ़ वह्य भेजी थी, और हमने वह्य भेजी थी इब्राहीम और इस्माईल और इसहाक़ और याक़ूब और औलादे-याक़ूब और ईसा और अय्यूब और यूनुस और हारून और सुलेमान (अलैहिमुस्सलाम) की तरफ़, और हमने दाऊद (अलै॰) को ज़बूर अता की।
[He is] the cleaver of daybreak and has made the night for rest and the sun and moon for calculation. That is the determination of the Exalted in Might, the Knowing.
Woh subha ka nikalney wala hai aur uss ney raat ko rahat ki cheez banaya hai aur sooraj aur chand ko hisab say rakha hai. Yeh thehraee baat hai aisi zaat ki jo kay qadir hai baray ilm wala hai.
वही निकालने वाला है सुबह का और उसने रात को सुकून का वक़्त बनाया और सूरज और चाँद को हिसाब से रखा है, यह मुक़र्रर किया हुआ है बड़े ग़ल्बे वाले, बड़े इल्म वाले की तरफ़ से।