Would one of you like to have a garden of palm trees and grapevines underneath which rivers flow in which he has from every fruit? But he is afflicted with old age and has weak offspring, and it is hit by a whirlwind containing fire and is burned. Thus does Allah make clear to you [His] verses that you might give thought.
Kiya tum mein say koi yeh bhi chahata hai kay uss ka khujooron aur angooron ka baagh ho jiss mein nehren beh rahi hon aur her qisam kay phal mojood hon uss shaks ka burhapa aagaya ho uss kay nannhay nannhay say bachay bhi hon aur achanak baagh ko bagoola lag jaye jiss mein aag bhi ho pus woh baagh jal jaye issi tarah Allah Taalaa tumhara liye aayaten biyan kerta hai takay tum ghor-o-fikar kero.
क्या तुम में से कोई यह पसंद करता है कि उसके पास खजूरों और अंगूरों का एक बाग़ हो, उसके नीचे से नहरें बह रही हों, उसमें उसके लिए हर क़िस्म के फल हों, और वह बूढ़ा हो जाए और उसके बच्चे अभी कमज़ोर हों, तब उस बाग़ पर एक बगूला आए जिसमें आग हो पस वह बाग़ जल जाए, इस तरह अल्लाह तुम्हारे लिए खोल कर निशानियाँ बयान करता है; ताकि तुम ग़ौर करो।
And whoever disobeys Allah and His Messenger and transgresses His limits - He will put him into the Fire to abide eternally therein, and he will have a humiliating punishment.
Aur jo shaks Allah Taalaa aur uss kay rasool ( PBUH ) ki na farmani keray aur uss ki muqarrara haddon say aagay niklay ussay woh jahannum mein daal dey ga jiss mein woh hamesha rahey ga aison hi kay liye ruswa kun azab hai.
और जो शख़्स अल्लाह और उसके रसूल की नाफ़रमानी करेगा और उसके मुक़र्रर किए हुए ज़ाब्तों से बाहर निकल जाएगा, वह उसको आग में दाख़िल करेगा जिसमें वह हमेशा रहेगा, और उसके लिए ज़िल्लत वाला अज़ाब है।
And to Him belongs that which reposes by night and by day, and He is the Hearing, the Knowing.
Aur Allah hi kay mulk hain woh sab kuch jo raat mein aur din mein rehti hain aur wohi bara sunnay wala bara jannay wala hai.
और अल्लाह ही का है जो कुछ ठहरता है रात में और दिन में, और वह सब कुछ सुनने वाला, जानने वाला है।
Indeed, those who are near your Lord are not prevented by arrogance from His worship, and they exalt Him, and to Him they prostrate.
Yaqeenan jo teray rab kay nazdeek hain woh uss ki ibadat say takabbur nahi kertay aur uss ki paki biyan kertay hain aur uss ko sajda kertay hain.
जो (फ़रिश्ते) आपके रब के पास हैं वह उसकी इबादत से तकब्बुर नहीं करते और वे उसकी पाक ज़ात को याद करते हैं और उसी को सज्दा करते हैं।
And to Him belongs whatever is in the heavens and the earth, and to Him is [due] worship constantly. Then is it other than Allah that you fear?
Aasmanon mein aur zamin mein jo kuch hai sab ussi ka hai aur ussi ki ibadat lazim hai kiya phir tum uss kay siwa auron say dartay ho?
और उसी का है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, और उसी की इताअत है हमेशा, तो क्या तुम अल्लाह के सिवा औरों से डरते हो।
To Him belongs whoever is in the heavens and the earth. And those near Him are not prevented by arrogance from His worship, nor do they tire.
Aasmano aur zamin mein jo hai ussi Allah ka hai aur jo uss kay pass hain woh uss ki ibadat say na sirkashi kertay hain aur na thaktay hain.
और आकाशों और धरती में जो कोई है उसी का है। और जो (फ़रिश्ते) उस के पास है वे न तो अपने को बड़ा समझकर उस की बन्दगी से मुँह मोड़ते हैं और न वे थकते हैं
[Say, O Muhammad], "I have only been commanded to worship the Lord of this city, who made it sacred and to whom [belongs] all things. And I am commanded to be of the Muslims [those who submit to Allah ]
Mujhay to bus yehi hukum diya gaya hai kay mein iss shehar kay perwerdigar ki ibadat kerta rahon jiss ney issay hurmat wala banaya hai jiss ki milkiyat her cheez hai aur mujhay yeh bhi farmaya gaya hai kay mein farmanbardaron mein say ho jaon.
मुझे तो बस यही आदेश मिला है कि इस नगर (मक्का) के रब की बन्दगी करूँ, जिस ने इसे आदरणीय ठहराया और उसी की हर चीज़ है। और मुझे आदेश मिला है कि मैं आज्ञाकारी बनकर रहूँ
And to Him belongs whoever is in the heavens and earth. All are to Him devoutly obedient.
Aur aasman-o-zamin ki her her cheez ussi ki milkiyat hai aur her aik ussi kay farman kay ma-tehat hai.
आकाशों और धरती में जो कोई भी है उसी का है। प्रत्येक उसी के निष्ठावान आज्ञाकारी हैं