Those are the ones for whom there is not in the Hereafter but the Fire. And lost is what they did therein, and worthless is what they used to do.
Haan yehi woh log hain jin kay liye aakhirat mein siwaye aag kay aur kuch nahi aur jo kuch enhon ney yahan kiya hoga wahan sab ikarat hai aur jo kuch inn kay aemaal thay sab barbad honey walay hain.
यही लोग हैं जिनके लिए आख़िरत में आग के सिवा कुछ नहीं है, उन्होंने दुनिया में जो कुछ बनाया था वह बरबाद हुआ और ख़राब हो गया जो कुछ उन्होंने कमाया था।
And whoever is blind in this [life] will be blind in the Hereafter and more astray in way.
Aur jo koi iss jahan mein andha raha woh aakhirat mein bhi andha aur raastay say boht hi bhatka hua rahey ga.
और जो यहाँ अंधा होकर रहा वह आख़िरत में भी अंधा ही रहेगा, बल्कि वह मार्ग से और भी अधिक दूर पड़ा होगा
Those are the ones who have bought the life of this world [in exchange] for the Hereafter, so the punishment will not be lightened for them, nor will they be aided.
Yeh woh log hai jinhon ney duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay khareed liya hai inn kay na to azab halkay hongay aur na inn ki madad ki jaye gi.
यही लोग हैं जिन्होंने आख़िरत के बदले दुनिया की ज़िंदगी ख़रीदी, पस न उनका अज़ाब हल्का किया जाएगा और न उनको मदद पहुँचेगी।
And of the people is he who worships Allah on an edge. If he is touched by good, he is reassured by it; but if he is struck by trial, he turns on his face [to the other direction]. He has lost [this] world and the Hereafter. That is what is the manifest loss.
Baaz log aisay bhi hain kay aik kinaray per ( kharay ) ho ker Allah ki ibadat kertay hain. Agar koi nafa mill gaya to dilchaspi leney lagtay hain aur agar koi aafat aagaee to ussi waqt mun pher letay hain enhon ney dono jahan ka nuksan utha liya. Waqaee yeh khulla nuksan hai.
और लोगों में कोई ऐसा है, जो एक किनारे पर रहकर अल्लाह की बन्दगी करता है। यदि उसे लाभ पहुँचा तो उस से सन्तुष्ट हो गया और यदि उसे कोई आज़माइश पेश आ गई तो औंधा होकर पलट गया। दुनिया भी खोई और आख़िरत भी। यही है खुला घाटा
Indeed, those who like that immorality should be spread [or publicized] among those who have believed will have a painful punishment in this world and the Hereafter. And Allah knows and you do not know.
Jo log musalmano mein bay hayaee phelaney kay aarzoo mand rehtay hain unn kay liye duniya aur aakhirat mein dard-naak azab hain Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantay.
जो लोग चाहते हैं कि उन लोगों में जो ईमान लाए है, अश्लीहलता फैले, उन के लिए दुनिया और आख़िरत (लोक-परलोक) में दुखद यातना है। और अल्लाह बड़ा करुणामय, अत्यन्त दयावान है
And whoever desires other than Islam as religion - never will it be accepted from him, and he, in the Hereafter, will be among the losers.
Jo shaks islam kay siwa aur deen talash keray uss ka deen qabool na kiya jayega aur woh aakhirat mein nuksan paney walon mein hoga.
और जो शख़्स इस्लाम के सिवा किसी दूसरे दीन को चाहेगा तो वह उससे हरगिज़ क़बूल न किया जाएगा, और वह आख़िरत में नामुरादों में से होगा।
Indeed, those who abuse Allah and His Messenger - Allah has cursed them in this world and the Hereafter and prepared for them a humiliating punishment.
Jo log Allah aur uss kay rasool ko ezza detay hain unn per duniya aur aakhirat mein Allah ki phitkaar hai aur unn kay liye nihayat ruswa kun azab hai.
जो लोग अल्लाह और उस के रसूल को दुख पहुँचाते हैं, अल्लाह ने उन पर दुनिया और आख़िरत में लानत की है और उन के लिए अपमानजनक यातना तैयार कर रखी है
So We sent upon them a screaming wind during days of misfortune to make them taste the punishment of disgrace in the worldly life; but the punishment of the Hereafter is more disgracing, and they will not be helped.
Bil-aakhir hum ney unn per aik tez-o-tund aandhi manhoos dino mein bhej di kay unhen dunyawi zindagi mein zillat kay azab ka maza chakha den aur ( yaqeen mano ) kay aakhirat ka azab iss say boht ziyadah ruswaee wala hai aur woh madad nahi kiyey jayen gay.
अन्ततः हम ने कुछ अशुभ दिनों में उन पर एक शीत-झंझावात चलाई, ताकि हम उन्हें सांसारिक जीवन में अपमान और रुसवाई की यातना का मज़ा चखा दें। और आख़िरत की यातना तो इस से कहीं बढ़कर रुसवा करने वाली है। और उन को कोई सहायता भी न मिल सकेगी
This day [all] good foods have been made lawful, and the food of those who were given the Scripture is lawful for you and your food is lawful for them. And [lawful in marriage are] chaste women from among the believers and chaste women from among those who were given the Scripture before you, when you have given them their due compensation, desiring chastity, not unlawful sexual intercourse or taking [secret] lovers. And whoever denies the faith - his work has become worthless, and he, in the Hereafter, will be among the losers.
Kul pakeezah cheezen aaj tumharay liye halal ki gaeen aur ehal-e-kitab ka zabeeha tumharay liye halal hai aur tumhara zabeeha unn kay liye halal hai aur pak daaman musalman aurten aur jo log tum say pehlay kitab diye gaye hain unn ki pak daaman aurten bhi halal hain jabkay tum unn kay mehar ada kero iss tarah kay tum unn say ba-qaeeda nikkah kero yeh nahi kay aelaaniya zinna kero ya posheedah bad kaari kero munkireen-e-eman kay aemaal zaya aur ikaarat hain aur aakhirat mein woh haarney walon mein say hain.
आज तुम्हारे लिए सब पाकीज़ा चीज़ें हलाल कर दी गईं, और अहले-किताब का खाना तुम्हारे लिए हलाल है और तुम्हारा खाना उनके लिए हलाल है, (और हलाल हैं तुम्हारे लिए) पाक-दामन औरतें मुसलमान औरतों में से और पाक-दामन औरतें उनमें से जिनको तुमसे पहले किताब दी गई जब तुम उन्हें उनका महर दे दो इस तरह कि तुम निकाह में लाने वाले हों न कि बदकारी करने वाले हों और न ही चोरी-छुपे दोस्ती करने वाले, और जो शख़्स ईमान के साथ कुफ़्र करेगा तो उसका अमल ज़ाया हो जाएगा और वह आख़िरत में से नुक़सान उठाने वालों में से होगा।
O you who have believed, do not make allies of a people with whom Allah has become angry. They have despaired of [reward in] the Hereafter just as the disbelievers have despaired of [meeting] the inhabitants of the graves.
Aey musalmano! Tum uss qom say dosti na rakho jin per Allah ka ghazab nazil ho chuka hai jo aakhirat say iss tarah mayyus ho chukay hain jaisay kay murda ehal-e-qabar say kafir na umeed hain.
ऐ ईमान लाने वालो! ऐसे लोगों से मित्रता न करो जिन पर अल्लाह का प्रकोप हुआ, वे आख़िरत से निराश हो चुके हैं, जिस प्रकार इनकार करने वाले क़ब्र वालों से निराश हो चुके हैं