Prohibited to you are dead animals, blood, the flesh of swine, and that which has been dedicated to other than Allah , and [those animals] killed by strangling or by a violent blow or by a head-long fall or by the goring of horns, and those from which a wild animal has eaten, except what you [are able to] slaughter [before its death], and those which are sacrificed on stone altars, and [prohibited is] that you seek decision through divining arrows. That is grave disobedience. This day those who disbelieve have despaired of [defeating] your religion; so fear them not, but fear Me. This day I have perfected for you your religion and completed My favor upon you and have approved for you Islam as religion. But whoever is forced by severe hunger with no inclination to sin - then indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Tum per haram kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jiss per Allah kay siwa doosray ka naam pukara gaya ho aur jo gala ghutney say mara ho aur jo kissi zarab say marr gaya ho aur jo oonchi jagah say girr ker marra ho aur jo kissi kay seeng maarney say marra ho aur jissay darindon ney phaar khaya ho lekin ussay tum zibah ker dalo to haram nahi aur jo aastanon per zibah kiya gaya ho aur yeh bhi kay quraa kay teeron kay zariye faal geeri kero yeh sab bad tareen gunah hain aaj kuffaar tumharay deen say na umeed hogaye khabardaar! Tum inn say na darna aur mujh say dartay rehna aaj mein ney tumharay liye deen ko kaamil ker diya aur tum per apna inam bharpoor ker diya aur tumharay liye islam kay deen honey per raza mand hogaya. Pus jo shaks shiddat ki bhook mein bey qarar hojaye ba-shart-e-kay kissi gunah ki taraf uss ka meelaan na ho to yaqeenan Allah Taalaa moaf kerney wala aur boht bara meharban hai.
तुम पर हराम किया गया मुर्दार और ख़ून और सुअर का गोश्त और वह जानवर जो अल्लाह के सिवा किसी और के नाम पर ज़बह किया गया हो और जो मर गया हो गला घोंटने से या चोट लगने से या ऊँचाई से गिरकर या सींग मारे जाने से और वह जिसको दरिंदे ने खाया हो मगर जिसको तुमने ज़बह कर लिया हो, और वह जो बुतों की ख़ास जगहों पर ज़बह किया गया हो और यह कि तुम तक़सीम करो जुए के तीरों से, ये सब गुनाह के काम हैं, आज काफ़िर तुम्हारे दीन की तरफ़ से मायूस हो गए पस तुम उनसे न डरो बल्कि सिर्फ़ मुझ से डरो, आज मैंने तुम्हारे लिए तुम्हारे दीन को पूरा कर दिया और तुम पर अपनी नेमत पूरी कर दी और तुम्हारे लिए इस्लाम को दीन की हैसियत से पसंद कर लिया, पस जो भूख से मजबूर हो जाए लेकिन गुनाह पर माइल न हो तो बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
They ask you, [O Muhammad], what has been made lawful for them. Say, "Lawful for you are [all] good foods and [game caught by] what you have trained of hunting animals which you train as Allah has taught you. So eat of what they catch for you, and mention the name of Allah upon it, and fear Allah ." Indeed, Allah is swift in account.
Aap say daryaft kertay hain kay unn kay liye kiya kuch halal hai? Aap keh dijiye kay tamam pak cheezen tumharay liye halal ki gaee hain aur jin shikar khelney walay janwaron ko tum ney sidha rakha hai yani jinhen tum thora boht woh sikhatay ho jiss ki taleem Allah Taalaa ney tumhen dey rakhi hai pus jiss shikar ko woh tumharay liye pakar ker rok rakhen to tum uss say kha lo aur iss per Allah Taalaa kay naam ka zikar ker liya kero. Aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai.
वे आपसे पूछते हैं कि उनके लिए क्या चीज़ हलाल की गई है, कह दीजिए कि तुम्हारे लिए पाकीज़ा चीज़ें हलाल हैं, और शिकारी जानवरों में से जिनको तुमने सधाया है तुम उनको सिखाते हो उसमें से जो अल्लाह ने तुमको सिखाया है, पस तुम उनके शिकार में से खाओ जो वे तुम्हारे लिए पकड़ कर रखें और उन पर अल्लाह का नाम लो और अल्लाह से डरो, अल्लाह बेशक जल्द हिसाब लेने वाला है।
This day [all] good foods have been made lawful, and the food of those who were given the Scripture is lawful for you and your food is lawful for them. And [lawful in marriage are] chaste women from among the believers and chaste women from among those who were given the Scripture before you, when you have given them their due compensation, desiring chastity, not unlawful sexual intercourse or taking [secret] lovers. And whoever denies the faith - his work has become worthless, and he, in the Hereafter, will be among the losers.
Kul pakeezah cheezen aaj tumharay liye halal ki gaeen aur ehal-e-kitab ka zabeeha tumharay liye halal hai aur tumhara zabeeha unn kay liye halal hai aur pak daaman musalman aurten aur jo log tum say pehlay kitab diye gaye hain unn ki pak daaman aurten bhi halal hain jabkay tum unn kay mehar ada kero iss tarah kay tum unn say ba-qaeeda nikkah kero yeh nahi kay aelaaniya zinna kero ya posheedah bad kaari kero munkireen-e-eman kay aemaal zaya aur ikaarat hain aur aakhirat mein woh haarney walon mein say hain.
आज तुम्हारे लिए सब पाकीज़ा चीज़ें हलाल कर दी गईं, और अहले-किताब का खाना तुम्हारे लिए हलाल है और तुम्हारा खाना उनके लिए हलाल है, (और हलाल हैं तुम्हारे लिए) पाक-दामन औरतें मुसलमान औरतों में से और पाक-दामन औरतें उनमें से जिनको तुमसे पहले किताब दी गई जब तुम उन्हें उनका महर दे दो इस तरह कि तुम निकाह में लाने वाले हों न कि बदकारी करने वाले हों और न ही चोरी-छुपे दोस्ती करने वाले, और जो शख़्स ईमान के साथ कुफ़्र करेगा तो उसका अमल ज़ाया हो जाएगा और वह आख़िरत में से नुक़सान उठाने वालों में से होगा।
And thus We have made for every prophet an enemy - devils from mankind and jinn, inspiring to one another decorative speech in delusion. But if your Lord had willed, they would not have done it, so leave them and that which they invent.
Aur issi tarah say hum ney her nabi kay dushman boht say shetan peda kiya thay kuch aadmi aur kuch jinn, jin mein say baaz baazon ko chikni chupri baaton ka waswasa daaltay rehtay thay takay unn ko dhokay mein daal den aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aisay kaam na ker saktay so inn logon ko aur jo kuch yeh iftra perdaazi ker rahey hain uss ko aap rehney dijiye.
और इसी तरह हमने शरीर इंसानों और शरीर जिन्नात को हर नबी का दुश्मन बना दिया, वे एक-दूसरे को पुर-फ़रेब बातें सिखाते हैं धोका देने के लिए, और अगर आपका रब चाहता तो वे ऐसा न कर सकते, पस आप उन्हें छोड़ दें कि वे झूठ बाँधते हैं।
And [it is] so the hearts of those who disbelieve in the Hereafter will incline toward it and that they will be satisfied with it and that they will commit that which they are committing.
Aur takay uss ki taraf unn logon kay quloob maeel hojayen jo aakhirat per yaqeen nahi rakhtay aur takay uss ko pasand kerlen aur takay murtakib hojayen unn umoor kay jin kay woh murtakib hotay thay.
और ऐसा इसलिए है उसकी तरफ़ उन लोगों के दिल माइल हों जो आख़िरत पर यक़ीन नहीं रखते और ताकि वे उसको पसंद करें और ताकि जो कमाई उन्हें करनी है वे कर लें।
[Say], "Then is it other than Allah I should seek as judge while it is He who has revealed to you the Book explained in detail?" And those to whom We [previously] gave the Scripture know that it is sent down from your Lord in truth, so never be among the doubters.
To kiya Allah kay siwa kissi aur faisla kerney walay ko talash keroon halankay woh aisa hai kay uss ney aik kitab-e-kaamil tumharay pass bhej di hai iss kay mazmeen khoob saaf saaf biyan kiye gaye hain aur jin logon ko hum ney kitab di hai woh iss baat ko yaqeen kay sath jantay hain kay yeh aap kay rab ki taraf say haq kay sath bheji gaee hai so aap shuba kerney walon mein say na hon.
क्या मैं अल्लाह के सिवा किसी और को फ़ैसला करने वाला बनाऊँ; हालाँकि उसने तुम्हारी तरफ़ वाज़ेह किताब उतारी है, और जिन लोगों को हमने पहले किताब दी थी वे जानते हैं कि यह आपके रब की तरफ़ से उतारी गई है हक़ के साथ, पस आप शक करने वालों में से न बनें।
And the word of your Lord has been fulfilled in truth and in justice. None can alter His words, and He is the Hearing, the Knowing.
Aap kay rab ka kalaam sachaee aur insaf kay aetabaar say kaamil hai iss kay kalaam ko koi badalney wala nahi aur woh khoob sunnay wala khoob jannay wala hai.
और आपके रब की बात पूरी सच्ची है और इंसाफ़ की, कोई बदलने वाला नहीं उसकी बात को और वह सुनने वाला, जानने वाला है।
And if you obey most of those upon the earth, they will mislead you from the way of Allah . They follow not except assumption, and they are not but falsifying.
Aur duniya mein ziyada log aisay hain kay agar aap unn ka kehna mannay lagen to woh aap ko Allah ki raah say bey raah ker den woh mehaz bey asal khayalaat per chaltay hain aur bilkul qayassi baaten kertay hain.
और अगर आप लोगों की अक्सरियत के कहने पर चलो जो ज़मीन में हैं तो वे आपको अल्लाह के रास्ते से भटका देंगे, वे महज़ गुमान की पैरवी करते हैं और अंदाज़े लगाया करते हैं।
Indeed, your Lord is most knowing of who strays from His way, and He is most knowing of the [rightly] guided.
Bil yaqeen aap ka rab unn ko khoob janta hai jo iss ki raah say bey raah ho jata hai. Aur woh unn ko bhi khoob janta hai jo uss ki raah per chaltay hain.
बेशक आपका रब ख़ूब जानता है उनको जो अपने रास्ते से भटके हुए हैं और वही ख़ूब जानता है उनको जो राह पाए हुए हैं।
So eat of that [meat] upon which the name of Allah has been mentioned, if you are believers in His verses.
So jiss janwar per Allah ka naam liya jaye uss mein say khao! Agar tum uss kay ehkaam per eman rakhtay ho.
पस तुम खाओ उस जानवर में से जिस पर अल्लाह का नाम लिया जाए अगर तुम उसकी आयात पर ईमान रखते हो।
Say, "I do not find within that which was revealed to me [anything] forbidden to one who would eat it unless it be a dead animal or blood spilled out or the flesh of swine - for indeed, it is impure - or it be [that slaughtered in] disobedience, dedicated to other than Allah . But whoever is forced [by necessity], neither desiring [it] nor transgressing [its limit], then indeed, your Lord is Forgiving and Merciful."
Aap keh dijiye kay jo kuch ehkaam ba-zariya wahee meray pass aaye hain unn mein to mein koi haram nahi pata kissi khaney walay kay liye jo uss ko khaye magar yeh kay woh murdaar ho ya khinzeer ka gosht ho kiyon kay woh bilkul na pak hai ya jo shirk ka zariya ho kay ghair Allah kay liye naamzad ker diya gaya ho. Phir jo shaks majboor hojaye ba-shart-e-kay na to taalib-e-lazzat ho aur na tajawuz kerney wala ho to waqaee aap ka rab ghafoor-ur-raheem hai.
आप कह दीजिए कि मुझ पर वह्य आई है उसमें तो मैं कोई चीज़ नहीं पाता जो हराम हो किसी खाने वाले पर जो उसको खाए सिवाए इसके कि वे मुर्दार हो या बहाया हुआ ख़ून हो या सुअर का गोश्त हो कि वह नापाक है या नाजायज़ ज़बीहा जिस पर अल्लाह के सिवा किसी और का नाम लिया गया हो, लेकिन जो शख़्स भूख से बे-इख़्तियार हो जाए न नाफ़रमानी करे और न ज़्यादती करे तो आपका रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।