And We did certainly give Moses the Torah and followed up after him with messengers. And We gave Jesus, the son of Mary, clear proofs and supported him with the Pure Spirit. But is it [not] that every time a messenger came to you, [O Children of Israel], with what your souls did not desire, you were arrogant? And a party [of messengers] you denied and another party you killed.
Hum ney ( hazrat ) musa ko kitab di aur inn kay peechay aur rasool bhejay aur hum ney ( hazrat ) essa ibn-e-marium ko roshan daleelen din aur rooh-ul-qudus say unn ki taeed kerwaee. Lekin jab kabhi tumharay pass rasool woh cheez laye jo tumhari tabiyaton kay khilaf thi tum ney jhat say takabbur kiya pus baaz ko to jhutla diya aur baaz ko qatal bhi ker dala.
और हमने मूसा को किताब दी और उसके बाद पै-दर-पै रसूल भेजे और ईसा बिन मरियम को खुली-खुली निशानियाँ दीं और रूहुल-क़ुद्स से उसकी ताईद की, तो जब भी कोई रसूल तुम्हारे पास वह चीज़ ले कर आया जिसको तुम्हारा दिल नहीं चाहता था तो तुमने तकब्बुर किया, फिर एक जमात को झुटलाया, और एक जमात को मार डाला।
Those messengers - some of them We caused to exceed others. Among them were those to whom Allah spoke, and He raised some of them in degree. And We gave Jesus, the Son of Mary, clear proofs, and We supported him with the Pure Spirit. If Allah had willed, those [generations] succeeding them would not have fought each other after the clear proofs had come to them. But they differed, and some of them believed and some of them disbelieved. And if Allah had willed, they would not have fought each other, but Allah does what He intends.
Yeh rasool hain jin mein say hum ney baaz ko baaz per fazilat di hai inn mein say baaz woh hain jin say Allah Taalaa ney baat cheet ki hai aur baaz kay darjay buland kiye hain aur hum ney essa bin marium ko moajzaat ata farmaye aur rooh-ul-qudus say unn ki taeed ki. Agar Allah Taalaa chahata to unn kay baad aaney walay apney pass daleel aajaney kay baad hegiz aapas mein laraee bhiraee na kertay lekin unn logon ney ikhtilaf kiya inn mein say baaz to momin huye aur baaz kafir aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aapas mein na lartay lekin Allah Taalaa jo chahata hai kerta hai.
उन पैग़म्बरों में से बअज़ को हमने बअज़ पर फ़ज़ीलत दी, उनमें से बअज़ से अल्लाह ने कलाम किया और बअज़ के दरजात बुलंद किए, और हमने ईसा बिन मरियम (अलै॰) को खुली निशानियाँ दीं, और हमने उनकी मदद की रूहुल-क़ुदुस (जिब्राईल) से, अगर अल्लाह चाहता तो आपस में न लड़ते उनके बाद आने वाले बाद इसके कि उनके पास खुली निशानियाँ आ चुकीं, मगर उन्होंने इख़्तिलाफ़ किया, फिर उनमें से कोई ईमान लाया और किसी ने इनकार किया, और अगर अल्लाह चाहता तो वे न लड़ते, मगर अल्लाह करता है जो वह चाहता है।
[And mention] when the angels said, "O Mary, indeed Allah gives you good tidings of a word from Him, whose name will be the Messiah, Jesus, the son of Mary - distinguished in this world and the Hereafter and among those brought near [to Allah ].
Jab farishton ney kaha aey marium! Allah Taalaa tujhay apney aik kalmay ki khushkhabri deta hai jiss kay naam maseeh essa bin marium hai jo duniya aur aakhirat mein zee izzat hai aur woh meray muqarrabeen mein say hai.
जब फ़रिश्तों ने कहाः ऐ मरियम! अल्लाह तुम्हें ख़ुश-ख़बरी देते हैं अपनी तरफ़ से एक कलिमे की, उसका नाम मसीह ईसा बिन मरियम होगा, वह दुनिया और आख़िरत में मर्तबे वाला होगा और अल्लाह के क़रीबी बंदों में से होगा।
And [for] their saying, "Indeed, we have killed the Messiah, Jesus, the son of Mary, the messenger of Allah ." And they did not kill him, nor did they crucify him; but [another] was made to resemble him to them. And indeed, those who differ over it are in doubt about it. They have no knowledge of it except the following of assumption. And they did not kill him, for certain.
Aur yun kehney kay baees kay hum ney Allah kay rasool maseeh essa bin marium ko qatal ker diya halankay na to enhon ney ussay qatal kiya na sooli charhaya bulkay inn kay liye unn ( essa ) ki shabeeh bana diya gaya tha. Yaqeen jano kay hazrat essa ( alh-e-salam ) kay baray mein ikhtilaf kerney walay unn kay baray mein shak mein hain unhen iss ka koi yaqeen nahi ba-juz takhmeeni baaton per amal kerney kay itna yaqeeni hai kay enhon ney unhen qatal nahi kiya.
और उनके यह कहने पर कि हमने मसीह ईसा बिन मरियम (अलैहिमस्सलाम) अल्लाह के रसूल को क़त्ल कर दिया, हालाँकि उन्होंने न उनको क़त्ल किया और न उनको सूली दी बल्कि मामला उनके लिए मुश्तबह कर दिया गया, और जो लोग इसमें इख़्तिलाफ़ कर रहे हैं वे उनके बारे में शक में पड़े हुए हैं, उनको इसका कोई इल्म नहीं सिवाए इसके कि वे सिर्फ़ अंदाज़ों पर चल रहे हैं, और बेशक उन्होंने उनको क़त्ल नहीं किया।
O People of the Scripture, do not commit excess in your religion or say about Allah except the truth. The Messiah, Jesus, the son of Mary, was but a messenger of Allah and His word which He directed to Mary and a soul [created at a command] from Him. So believe in Allah and His messengers. And do not say, "Three"; desist - it is better for you. Indeed, Allah is but one God. Exalted is He above having a son. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. And sufficient is Allah as Disposer of affairs.
Aey ehal-e-kitab! Apney deen kay baray mein hadd say na guzar jao aur Allah per ba-juz haq kay aur kuch na kaho maseeh essa bin marium ( alh-e-salam ) to sirf Allah Taalaa kay rasool aur uss kay kalma ( kunn say peda shuda ) hain jisay marium ( alh-e-salam ) ki taraf daal diya tha aur uss kay pass ki rooh hain iss liye tum Allah ko aur uss kay sab rasoolon ko maano aur na kaho kay Allah teen hain iss say baaz aajao kay tumharay liye behtri hai Allah ibadat kay laeeq to sirf aik hi hai aur woh iss say pak hai kay uss ki aulad ho ussi kay liye hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Aur Allah kafi hai kaam bananey wala.
ऐ अहले-किताब! अपने दीन में हद से आगे न बढ़ो और अल्लाह के बारे में कोई बात हक़ के सिवा न कहो, मसीह ईसा बिन मरियम (अलैहिमस्सलाम) तो बस अल्लाह के एक रसूल और उसका एक कलिमा हैं जिसको उसने मरियम (अलै॰) की तरफ़ डाला था और उसकी जानिब से एक रूह हैं, पस अल्लाह पर और उसके रसूलों पर ईमान लाओ और यह न कहो कि (ख़ुदा) तीन हैं, (ऐसी बातें कहने से) बाज़ आ जाओ यही तुम्हारे हक़ में बेहतर है, माबूद तो बस एक अल्लाह ही है, वह पाक है कि उसकी औलाद हो, उसी का है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, और अल्लाह ही का कारसाज़ होना काफ़ी है।
Said Jesus, the son of Mary, "O Allah , our Lord, send down to us a table [spread with food] from the heaven to be for us a festival for the first of us and the last of us and a sign from You. And provide for us, and You are the best of providers."
Essa ibn-e-marium ney dua ki kay aey Allah aey humaray perwerdigar! Hum per aasman say khana nazil farma! Kay woh humara liye yaani hum mein jo awwal hain aur jo baad kay hain sabb kay liye aik khushi ki baat ho jaye aur teri taraf say aik nishani hojaye aur tu hum ko rizq ata farma dey aur tu sab ata kerney walon say acha hai.
ईसा बिन मरियम ने दुआ कीः ऐ अल्लाह हमारे रब! आप आसमान से हम पर एक दस्तरख़्वान उतारिए जो हमारे लिए एक ईद बन जाए हमारे अगलों के लिए और हमारे पिछलों के लिए और आप की तरफ़ से एक निशानी हो, और हमें अता करिए आप ही बेहतरीन अता फ़रमाने वाले हैं।
That is Jesus, the son of Mary - the word of truth about which they are in dispute.
Yeh hai sahih waiya essa bin marium ( alh-e-salam ) ka yehi hai woh haq baat jiss mein log shak-o-shuba mein mubtila hain.
सच्ची और पक्की बात की स्पष्ट से यह है कि मरयम का बेटा ईसा, जिस के विषय में वे सन्देह में पड़े हुए हैं
And [mention] when Jesus, the son of Mary, said, "O children of Israel, indeed I am the messenger of Allah to you confirming what came before me of the Torah and bringing good tidings of a messenger to come after me, whose name is Ahmad." But when he came to them with clear evidences, they said, "This is obvious magic."
Aur jab marium kay betay essa ney kaha aey ( meri qom ) bani israeel! Mein tum sab ki taraf Allah ka rasool hun mujh say pehlay ki kitab toraat ki mein tasdeeq kerney wala hun aur apney baad aaney walay aik rasool ki mein tumhen khushkhabri sunaney wala hun jin ka naam ahmed hai phir jab woh unn kay pass khuli daleelen laye to yeh kehney lagay yeh to khula jadoo hai.
और याद करो जबकि मरयम के बेटे ईसा ने कहा, "ऐ इसराईल की संतान! मैं तुम्हारी ओर भेजा हुआ अल्लाह का रसूल हूँ। मैं तौरात की (उस भविष्यवाणी की) पुष्टि करता हूँ जो मुझ से पहले से विद्यमान है और एक रसूल की शुभ सूचना देता हूँ जो मेरे बाद आएगा, उस का नाम अहमद होगा।" किन्तु वह जब उन के पास स्पष्ट प्रमाणों के साथ आया तो उन्होंने कहा, "यह तो जादू है।"
O you who have believed, be supporters of Allah , as when Jesus, the son of Mary, said to the disciples, "Who are my supporters for Allah ?" The disciples said, "We are supporters of Allah ." And a faction of the Children of Israel believed and a faction disbelieved. So We supported those who believed against their enemy, and they became dominant.
Aey eman walo! Tum Allah key madadgar bann jao. Jiss tarah hazrat marium kay betay hazrat essa ney hawariyon say farmaya kay kaun hai jo Allah ki raah mein mera madadgar baney? Hawariyon ney kaha hum Allah ki raah mein madadgar hain pus bani israeel mein say aik jamat to eman laee aur aik jamat ney kufur kiya tum hum ney mominon ki unn kay dushman kay muqabley mein madad ki pus woh ghalib aagaye.
ऐ ईमान लाने वालों! अल्लाह के सहायक बनो, जैसा कि मरयम के बेटे ईसा ने हवारियों (साथियों) से कहा था, "कौन है अल्लाह की ओर (बुलाने में) मेरे सहायक?" हवारियों ने कहा, "हम हैं अल्लाह के सहायक।" फिर इसराईल की संतान में से एक गिरोह ईमान ले आया और एक गिरोह ने इनकार किया। अतः हम ने उन लोगों को, जो ईमान लाए थे, उन के अपने शत्रुओं के मुकाबले में शक्ति प्रदान की, तो वे छाकर रहे